Posts

Lambi Umar Allah Ki Neymat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Lambi Umar Allah Ki Neymat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ πŸ“šHadees: Ek Aadmi ne Pucha Ae Allah ke Rasool (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) logo me sab se Behtar Aadmi kaun hai, Aap ο·Ί ne farmaya "Jiski Zindagi lambi ho aur uska Amal Nek ho," Usne pucha logo me sab se Bura kaun hai, Aap ο·Ί ne farmaya "Jis ki Umar lambi ho aur Amal Bura ho."    - πŸ“” (Sunan Tirmizi: 2330) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sab se Afzal Amal

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ Sab se Afzal Amal ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Umme Farwah Raziyallahu anha farmaati hain ke Rasoolullah ο·Ί se poocha gaya ke sab se afzal amal kya hai? Aap ο·Ί ne irshaad farmaaya: Awwal waqt mein namaz padhna.      - πŸ“” [Abu Dawood: 426] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Apne Bhai ki Haajat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Apne Bhai ki Haajat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu Riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ο·Ί ne Irshaad farmaaya: Jo koi apne bhai ki haajat puri karta hai Allah Ta'ala us ki haajat poori farmaate hain.   - πŸ“” [Abu Dawood: 4893] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

ALLAH KI RAHMAT

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ ALLAH KI RAHMAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din un farishton ko jo Dozakh par muqarrar hongey Hukm dengey ke jis ne mujhey Kabhi yaad kiya, Ya kisi mouqey par jo bandah mujh se daraa us ko Dozakh se nikaal diya jaey.    - πŸ“” [Tirmizi: 2594] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Dusro ki bat chupkar na sune

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Dusro ki bat chupkar na sune ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo shakhs dusre logo ki baat sunne ke liye kaan lagaye (yani chup kar suney) jo usko pasand nahi karte ya us se bhagte hain to Qayamat ke din uske kaano mein sheesha pighla kar daala jayega.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 7042] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

ALLAH KA AZAAB

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ ALLAH KA AZAAB ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jab logon ka ye haal ho jaey ke wo shariat ke khilaaf kaam hotey huey dekhein, Aur us ki islah ke liye kuchh na karein, To andesha he ke Allah ki taraf se un sab hi par azaab aa jaey.    - πŸ“” [Ibne Majah: 4009] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Apne Mehmaan ki izzat kare

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Apne Mehmaan ki izzat kare ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai use chahiye ki achchi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai wo apne Padosi (neighbor) ko takleef na pahunchaye aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par yakeen rakhta ho wo apne mehmaan ki izzat kare.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 6475] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁