Posts

Showing posts from June, 2016

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 25-Ramzan-1437 01  -  July  - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs Ramzan me imaan ki haalat me sawaab ki niyyat se (ibadat ke liye) khada ho toa wo gunahon se istarah paak ho jata he jis tarah uski Maa ne usko jana (जना) ho. 🔹🔹🔹🔹🔹 NASAAI -2210 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (508)

*🍁Raat ko ALLAH se ye dua kro🍁*_

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ _*🍁Raat ko ALLAH se ye dua kro🍁*_ 📚Hadith: Ibn Abbas RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam raat ko ALLAH se ye dua kiya karte the Eh ALLAH tere hi liye taarif hai, tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai. Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tera qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai, dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai, Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya, Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu, tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain, jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye (wo maaf farma) Tu hi mera maab

🔴RAMAZAN KE AAKHRI JUMA KE BAARE ME EK GALAT HADIS KI TARDEED🔴 

🔴RAMAZAN KE AAKHRI JUMA KE BAARE ME EK GALAT HADIS KI TARDEED🔴  Assalamu alaykum  w.w, ⭕Pichhle kuchh saalo se Jaise hi Ramazan ka aakhri Jumuah aata hai social media me aik galat aur juthi hadis badi tezi se chal padti hai jis ka khulasa hai ki 👉🏻"jis aadmi ki zindagi me  bahut si namaze qaza huyi ho aur use uski ta'dad bhi na maalum ho to agar wo ramazan ke aakhri jumuah ko 4 ra'kat qaza e umri ki niyyat se parh le aur usme ye surah itni baar aur ye surat itni baar parhe to pichli qazaa namazo ka kaffarah ho jayega......." 🔴Awwal to yeh baat masail k aitibaar se bilkul durust nahin hai kyunki qazaa namazo ko pura parhna bilkul zaruri hai,  Neez is hadis ke baare me Ulama e hadees ke aqwaal bhi dekh le:  قال الشيخ العلامة عبد الحي اللكنوي: "حديث من قضى صلوات من الفرائض في آخر جمعة من رمضان كان ذلك جابراً لكل صلاة فائتة من عمره إلى سبعين سنة. قال علي القاري في موضوعاته الصغرى والكبرى باطل قطعياً........ (الآثار المرفوعة في الأخبار الموضوعة ص 85)  Haz

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 24-Ramzan-1437 30 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jis shakhs ke paas achchhi sawaari ho, jo aaraam se usey manzil tak pahucha dey, toa usko chahiye ke wo Ramzan ke rozey rakhey. 🔹🔹🔹🔹🔹 ABU DAWOOD  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH          

🍁Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar🍁 ♥Al Qur'aan: Allah Ta’ala Qur'an mein farmaate hai (Tarjama): Beshak humne is (Quran) ko Shab-e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur Aapko kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai ismein farishte aur rooh nazeel hote hain, Apne Rab ke hukm se har kaam par, wo subah Roshan hone tak salamati ki raat hai. - 📖 {Surah Al-Qadr (97)} ●════════════════════●     👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 23-Ramzan-1437 29 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs Allah T'aala ki raza ke liye eik din ka roza rakhega, Toa Allah T'aala uus ke aur jahannam ke darmiyaan eik aisee khandaq bana dengey, Jiski masaafat (चौड़ाई) aasmaan wa zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi 🔹🔹🔹🔹🔹 TIRMIZI-1624 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾🌿Islamic GrouP🌿 (492)    

_*🍁 Shab e Qadr ki Fazilat 🍁*_

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    _*🍁 Shab e Qadr ki Fazilat 🍁*_ 📚Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo koi Shab e Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichle gunaah baksh diye jayenge aur jisne Ramadan mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath roze rakhe uske pichle tamam gunaah maaf ho jayenge. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol3, 1901) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 31, No. 125) ●════════════════════●                 🌿Islamic GrouP🌿               📲+918486520329📱      👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 22-Ramzan-1437 28 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs (qasdan,janbujh kar) kisi shar'ee uzr ke bagair Ramzan ke eik rozey ko toud dey, Toa umr bhar roza rakhna bhi uus (eik rozey) ka badal nahi ho sakta. 🔹🔹🔹🔹🔹 ABU DAWOOD -2396 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾🌿Islamic GrouP🌿 (488) 

🍁 *Shab-e-Qadr ki dua* 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔      🍁 *Shab-e-Qadr ki dua* 🍁 📚Hadith: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam agar Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni (Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma) - 📔 (Sunan ibn Majah, Vol 3, 731-Sahih) (Tirmizi, 3513) ●════════════════════●                     👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 21-Ramzan-1437 27 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL   🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN  💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Shab e Qadr ko Ramzan ke aakhri ashrey ki taaq raaton me yani 21-23-25-27-29 me talaash karo. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂BUKHARI🍂  Rasulullah Sallallahu alaihi w sallam har saal Ramzan ke aakhri ashrey me eatikaf farmaya kartey the. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂BUKHARI🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH         

*Kisi ke yaha iftar kre to ye dua de*

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ *Kisi ke yaha iftar kre to ye dua de* 📚Hadith: Abdullah bin Zubair Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Muadh Radi Allahu Anhu ke wahan roza iftar kiya to (unko ye) dua di ki أَفْطَرَ عِنْدَكُمُ الصَّائِمُونَ وَأَكَلَ طَعَامَكُمُ الأَبْرَارُ وَصَلَّتْ عَلَيْكُمُ الْمَلاَئِكَةُ Aftara ‘indakumus-saimun, wa akala ta’amakumul-abrar, wa sallat ‘alaikumul- mala’ikah. (Rozedar tumhare yahan iftar kare, Neik log tumhara khana khaye aur farishte tumhare liye dua kare) - 📔 Urdu Ref: (Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1747-Sahih) - 📔 Eng Ref: (Sunan Ibn Majah, Book 7, 1747-Sahih) ●════════════════════●     👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 20-Ramzan-1437 26 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Hazrat Aaesha (Rd.) farmati hai ke jab Ramzan ka aakhri ashrah aata toa Rasulullah sallallahu alaihi w sallam apney tehband ko mazbut baandh letey, raaton ko (ibadat ke liye) jaagtey aur apney ghar walon ko jagaatey. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂BUKHARI🍂 🍂 MUSLIM🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁 Shab-e-Qadr ki talaash 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    🍁 Shab-e-Qadr ki talaash 🍁 📚Hadith: Umm Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Shab-e-Qadr ko Ramazan ki Aakhri Ashre ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, 2017) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 32, 234) ●════════════════════●                     👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 19-Ramzan-1437 25 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Hazrat Aaesha (rd.) farmati hai: Mo'atakif (eatikaaf karney wala) ke liye sunnat ye he ke Wo na mareez ki iyaadat karey, Na janaazey me shirkat karey, Na biwi ko hath lagaey, Na uus se mubashirat (sohbat) karey, Aur na kisi aur zarurat ke liye masjid se baahar nikley, illa ye ke uus ke bagair chaarah e kaar na ho. 🔹🔹🔹🔹🔹 ABU DAWOOD -2473  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (SWA/236)

*Ramzan k Aakhri Ashre me Eitkaaf*

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ *Ramzan k Aakhri Ashre me Eitkaaf* 📚Hadith: Abdullah bin Umar Raziyallahu anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ramazan ke Aakhri Ashre mein Eitkaaf karte they. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 3, 2025) 📚Hadith: Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha farmati hai ki Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke aakhri ashre ka Aitkaaf farmaya karte the, Yaha tak k Allah ta’ala ne aapko wafaat de di, Fir aapke baad aapki Azwaaj Mutahraat Raziyallahu Anhum Aitkaaf farmati rahi. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 3, 2026) ●════════════════════●                   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 18-Ramzan-1437 24 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Hazrat Aaesha (rd.) farmati hai ke (Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ke zamaaney me) jab ham logon ko mahwari aati (aur uus ki wajah se namaz - roza kuchh nahi kar saktey toa) hamein uun dino ke qaza rozon ko rakhney ka hukm diya jata aur qaza namazein padhney ka hukm nahi diya jata tha. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM -763  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (537)

🍁Ramazan ka Aakhri Ashrae (Last 10 days) mein ziyada Ibadat kijiye🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Ramazan ka Aakhri Ashrae (Last 10 days) mein ziyada Ibadat kijiye🍁 📚Hadith: Umm Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki jab (Ramazan ka) Aakhri ashra aata to Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam apna tehband mazboot baandh (yani ibadat ke liye apni kamar kas letey) aur un raaton mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud bhi jagtey aur apney ghar walon ko bhi jagaya kartey they. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, 2024) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 32, 241) ●════════════════════●       👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 17-Ramzan-1437 23 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo aadmi soney chaandi ka maalik ho aur uus ka haq (yaani zakaat) adaa na karey, Toa Qayamat ke din uus soney chaandi ke patrey bana kar jahannam ki aag me tapaaya jaega, Phir uus shakhs ke pehlu, peshaani aur kamar ko daaga jaega, Aur ye daagney ka amal Qayamat ke din tak baraabar jaari rahega, Jiski miqdaar pachaas hazaar saal ke baraabar hogi, Yahaan tak ke bandon ke darmiyaan faisla ho jaega, Phir uus ka thikana Jannat ya Jahannam hoga. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM-2290 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (526)

🍁Ramazan ki raato me Namaz padhne ki fazilat🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Ramazan ki raato me Namaz padhne ki fazilat🍁 📚Hadith: Abu huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney Ramadan ki raato mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath namaz padi uskey pichley tamam gunaah maaf ho jayenge. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, 2009) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Vol. 3, Book 32, 227) ●════════════════════●                       👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 16-Ramzan-1437 22 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs (rozey ki haalat me bhi) jhuthi baatein aur burey aamaal na chhodey, Toa Allah T'aala ko uus ke bhuka pyasa rehney ki koee zarurat nahi. 🔹🔹🔹🔹🔹 BUKHARI-1903 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾   (SWA/233)

🍁Musafir aur Hamila ke Rozey🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Musafir aur Hamila ke Rozey🍁 📚Hadith: Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ne Musafir ke liye aadhi namaz maaf farma di hai aur Musafir aur Hamila (pregnant) aur doodh peelaney wali aurat ko Rozey maaf farma diye hain. - 📔 Urdu Ref: (Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1667 -Hasan) - 📔 Eng Ref: (Sunan Ibn Majah, Book 7, 1667 -Hasan) ●════════════════════ 👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 15-Ramzan-1437 21 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Aap Sallallahu alaihi w sallam ne (Ramzan ke mutaallliq) irshaad farmaya: Aur chaar chizon ki iss (Ramzan) me kasrat rakha karo, Kalimah Taiyebah Aur Istighfaar ki kasrat karo, Jannat ki talab karo Aur aag se panaah maango. 🔹🔹🔹🔹🔹 IBNEY KHUZAIMAH -1887 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (SWA/230)

🍁Agar Roze me bhul se khaya🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Agar Roze me bhul se khaya🍁 📚Hadith: Abu huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi bhul gaya aur kha liya aur pi liya to usey chahiye ki apna roza pura karey kyunki usey Allah taala ne khilaya aur pilaya. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, 1933) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, Book 31, 154) ●════════════════════●     👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 14-Ramzan-1437 20 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Ramzanul mubarak me Allah T'aala ke yahan har musalman ke liye har raat-din me eik duaa zarur qubul hoti he. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂TABRANI🍂  Huzur sallallahu alyhi wasallm ne irshad farmaya: Log uus waqt tak bhalaai me rahengey jabtak iftaari jaldi karenge. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂MISHKAT🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁Qayamat ke din us darwaze se sirf rozedaar hi jannat mein dakhil honge🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Qayamat ke din us darwaze se sirf rozedaar hi jannat mein dakhil honge🍁 📚Hadith: Sahal bin Sad radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jannat mein ek darwaza hai jisey Ar-Raiyan kahtey hain Qayamat ke din us darwazey se sirf rozedaar hi jannat mein dakhil honge unkey siwa aur koi usmein se dakhil nahi hoga, pukara jayega ki rozedar kaha hain ? wo khadey ho jayenge, unkey siwa us sey aur koi andar nahi jane payega aur jab ye log andar chaley jayengey to ye darwaza band kar diya jayega phir us se koi andar nahi ja sakega. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, 1896) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 31, 120) ●════════════════════●   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 13-Ramzan-1437 19 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Hazrat Aaisha (rd.) farmati hai: Allah ke Rasul Sallallahu alaihi w sallam wafaat tak Ramzan ke aakhri ashrey ka eatikaaf farmaya kartey the, Phir Aap ke baad aap ki biwiyon ne (apney apney hujron me) eatikaaf karna shuru kar diya. 🔹🔹🔹🔹🔹 BUKHARI-2026 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾     (SWA/235)

🍁Rozedar jahalat ki bate na kare🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Rozedar jahalat ki bate na kare🍁 📚Hadith: Abu Huraira radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Roza Dozakh se bachney ke liye ek dhaal hai isliye (jo rozedar ho) wo na to biwi se hambistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun do baar (kahey), us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi ziyada pasandeeda aur pakeeza hai (Allah taala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 3, 1894) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 31, No.118) ●════════════════════●                 👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 12-Ramzan-1437 18 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Roza aadmi ke liye dhaal he jab tak usko phaad na daaley. sahaba (Rd.) ne arz kiya: Ya Rasulallah ! Roza kis chiz se phat jata he? Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: jhuth aur ghibat se. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂NASAAI🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 12-Ramzan-1437 18 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Roza aadmi ke liye dhaal he jab tak usko phaad na daaley. sahaba (Rd.) ne arz kiya: Ya Rasulallah ! Roza kis chiz se phat jata he? Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: jhuth aur ghibat se. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂NASAAI🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁Jo Rozedar ka Roza iftar kraye🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Jo Rozedar ka Roza iftar kraye🍁 📚Hadith: Hazrat Zaid bin Khalid Radi Allahu Anha se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi. - 📔 Urdu Ref: (Sunan Ibn Majah, Vol 1, 1746-Sahih) - 📔 Eng Ref: (Sunan Ibn Majah, Book 7, 1746-Sahih) ●════════════════════●   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 11-Ramzan-1437 17 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jab tumharey paas zakaat lenewala aaey toa wo tumharey paas se iss haal me jaey ke wo tum se raazi ho. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂MUSLIM🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁Iftari ke waqt dozakh se aazad🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Iftari ke waqt dozakh se aazad🍁 📚Hadith: Jaber Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya iftari ke waqt Allah subhanahu bahut se logo ko (dozakh se) aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai. - 📔 Urdu Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, 1643- Hasan) - 📔 Eng Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, 1643- Hasan) ●════════════════════●      👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 10-Ramzan-1437 16 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo Ramzanul mubarak ki raat me Allah T'aala ke waadon par yaqeen kartey huvey aur uskey ajr w sawaab ke shouq me namaz (Taraveeh) padhta he, uskey sab pichhley gunah muaaf ho jatey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 BUKHARI -37 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾

🍁 Roza Dozakh se Dhal 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔     🍁 Roza Dozakh se Dhal 🍁 📚Hadith: Hazrat Uthman bin Abu Aas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Roza Dozakh se aisee dhal hain jaise ladaii mein tumhare pass dhal hoti hai. - 📔 Urdu Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, 1639-sahih) - 📔 Eng Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, 1639-sahih) ●════════════════════●                   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 09-Ramzan-1437 15 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ke paas eik shakhs aaey aur kehney lagey: Ya Rasulullah ! Mai toa halaaq ho gaya, Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne puchha: Kya huwa ? uunho ne kaha ke mainey rozey ki haalat me biwi se sohbat karli Toa Rasulullah Sallallahu alaihi w sallam ne unhein kaffarah adaa karney ka hukm diya. 🔹🔹🔹🔹🔹 TIRMIZI - 724  🌹FAIDAH 🌹 Agar kisi shakhs ne Ramzan ke rozey ki haalat me biwi se sohbat karli toa uus par musalsal saath (60) rozey rakhna aur agar iski taaqat na ho toa saath (60) miskino ko peit bhar kar do waqt ka khaana khilana waajib he. 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (525)

🍁 Ramazan ke Roze ki fazilat 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Ramazan ke Roze ki fazilat 🍁 📚Hadith: Abu huraira Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramazan ke roze rakhe uske pichle sare gunah bakhsh diye jayenge - 📔 Urdu Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, 1641-Sahih) - 📔 Eng Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, Book 7, 1641-Sahih) ●════════════════════●   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 08-Ramzan-1437 14 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs roza ki haalat me kuchh kha-pee le toa wo roza ko pura karey (bhul kar khaya piya wo) Allah ne usey khilaya pilaya he. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂BUKHARI🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁 Iftaar mein jaldi karna 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔     🍁 Iftaar mein jaldi karna 🍁 📚Hadith: Sahal bin saad radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi karte rahenge. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Jild 3, 1957) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari Book 31, Number 178) ●════════════════════●              👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 07-Ramzan-1437 13 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs halaal kamaai se Ramzan mubarak me rozadar ko iftaar karaey, uss par Ramzan ki raaton me farishtey rahmat bhejtey hai, aur shab e Qadr me Jibra'eel (a.s.) uus se musaafah kartey hai, aur jis se Jibra'eel (a.s.) musaafah kartey hai uski pehchan ye he ke uska dil naram ho jata he aur aankhon se aansu behtey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 TARGIB -1411  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁Sehri ke khane mein barkat🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Sehri ke khane mein barkat🍁 📚Hadith: Anas radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Sehri khaya karo kyuki Sehri ke khane mein barkat hai, hamare aur Ahal-e-Kitab ke Roze mein Sehri ke luqme ka farq hai. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Muslim, Vol 3, 2549, 2550) - 📔 Eng Ref: (Sahih Muslim, Book 6, 2412, 2413) ●════════════════════   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 06-Ramzan-1437 12 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: jis shakhs ke paas maal ho aur wo uski zakaat adaa na karta ho toa wo maal kal Qayamat ke din eik aisa saanp (સાંપ) bana diya jaega jo ganja hoga aur uski aankhon par do nuqtey hongey phir wo saanp uus ko uus waqt tak nigalta rahega jab tak bandon ke darmiyan faisla na ho jaey. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSNAD E AHMAD -7698 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (502)

🍁Iftar ke waqt Rozedar ki Dua🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Iftar ke waqt Rozedar ki Dua🍁 📚Hadith: Abdullah bin Amr bin As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti. - 📔 Urdu Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, 1753 - Hasan) - 📔 Eng Ref: (Ibne Maaja, Vol 1, Book 7, 1753 - Hasan) ●════════════════════● 👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 05-Ramzan-1437 11 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Paancho namazein, Jumaa ki namaz pichhley jumaa tak, aur Ramzan ke rozey pichhley Ramzan tak Darmiyaani owqaat ke tamaam gunahon ke liye kaffarah hai, Jab ke inn aamaal ko karney wala kabirah gunahon se bachey. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM -552 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 04-Ramzan-1437 10 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jannat ke aanth (8) darwazey hai, jinmey se eik ka naam Babur Raiyaan hai, uus darwazey me se (sirf) roza rakhney waley daakhil hongey. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂BUKHARI🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 03-Ramzan-1437 09 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: jo shakhs kisi rozadar ko iftaar karaey uus ke liye gunahon ke muaaf honey aur aag se khalaasi ka sabab hoga aur rozadar ke sawaab ke maanind uus ko sawaab milega Magar rozadar ke sawaab me se kuchh km nahi kiya jaega. Sahaba (rd.) ne arz kiya : Ham me har shakhs itnee wus'at nahi rakhta ke iftaar karaey toa Aap Sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Ye sawaab toa Allah T'aala eik khajoor se koee iftaar karaey ya eik ghunt paani pila dey ya eik ghunt dudh pila dey uus ko bhi ataa kar deitey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 IBNEY KHUZAIMA -1780 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (502)

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 02-Ramzan-1437 08 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs Allah T'aala ki raza ke liye eik din ka rozah rakhega Toa Allah T'aala uus ke aur jahannam ke darmiyaan eik aisee khandaq bana dega Jis ki masaafat (distance) aasmaan w zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi. 🔹🔹🔹🔹🔹 TIRMIZI-1624 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (492)

RAMAZAN KI FAZILAT

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 01-Ramzan-1437 07 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻  RAMZAN 🌻 🍄        KI       🍄 💝   FAZILAT  💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Agar bandon ko malum ho jaey  ke Ramzan kya he ? Toa meri Ummat tamanna karti ke  kaash pura Saal Ramzan hi ho jaey. 🔹🔹🔹🔹🔹 IBNEY KHUZAIMA -1886 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾📲

ALLAH KI TAARIF

🔶      ﷽    🔶 💐    (0318)   💐 💌💌💌💌💌 29-Shaban- 1437 06 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 💝   ALLAH    💝 🌋       KI        🌋 🌻   TAARIF   🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Sab se pehley Jannat ki taraf wo log pukarey jaengey Jo khushi aur ghamee, aasaani aur pareshani me Allah ki taarif aur hamd bayaan kartey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSTDRK-1851 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (596)

🍁Kalonji har Bimari ki Dawaa hai Siway Mout ke🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Kalonji har Bimari ki Dawaa hai Siway Mout ke🍁 📚Hadith: Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Nabee Kareem SallAllahu alaihi wasallam ne farmaya ki Kalonji har bimari ki dawaa hai siway saam ke, meine kaha saam kay hai ? Farmaya Mout. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol.7, 5687) 📚Hadith: Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya kaale dane (Kalonji) mein har bimari se shifa hai, siway saam (mout) ke. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol.7, 5688) 📚Hadith: Abu Hurirah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki Allah subhanahu ne koi aisee bimari nahi utari jiski dawaa bhi nazil na ki ho. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol.7, 5678) ●════════════════════●     👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁

🍁 Musalman kon hain 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔       🍁 Musalman kon hain 🍁 📚Hadith: Abdullah bin Amr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Musalman wo hai jo musalman ko Apni Zuban aur haath se (Takleef pahunchney se) mahfooz rakhe aur Muhajir wo hai jo un cheezon se ruk jaye jis se ALLAH ne mana kiya. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Vol 7, 6484) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 76, 491) ●════════════════════●   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

FAZAAIL E ZIKR

🔶      ﷽    🔶 💐    (0315)   💐 💌💌💌💌💌 26-Shaban- 1437 03 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 💜  FAZAAIL  💜 🌋       E         🌋 💝     ZIKR     💝 💌💌💌💌💌 Hazrat Sa'ad (rd.) farmatey hai ke ham Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ki khidmat me baithey huey the, Aap Sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Kya tum me se koee shakhs har roz eik hazaar (1000) nekiyan kamaaney se aajiz he ? Aap Sallallahu alaihi w sallam ke paas baithey huey logon me se eik ne sawaal kiya: Ham me se koee aadmi eik hazaar nekiyan kis tarah kama sakta he? Aap Sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: SUB'HANALLAH 100 martaba padhey uus ke liye eik hazaar (1000) nekiyan likh di jaegi, Aur uus ke eik hazaar gunah muaaf kar diye jaengey. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM-6852 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/385)

🍁Juma mein ek ghadi aisee aati🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Juma mein ek ghadi aisee aati🍁 📚Hadith: Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo musalman bhi us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko jarur dega - 📔 Urdu Ref: (Sahih Bukhari, Jild 6, 5294) - 📔 Eng Ref: (Sahih Bukhari, Book 63, Hadith 216) ●════════════════════●   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁

ANMOL IMAAN

🔶      ﷽    🔶 💐    (0314)   💐 💌💌💌💌💌 25-Shaban- 1437 02 -  June - 2016 💌💌💌💌💌 🌻   ANMOL   🌻 💝   IMAAN    💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Agar koee apni paidaeesh ke din se mout ke din tak baraabar Allah T'aala ko khush karney ke liye sajdey me pada rahey, Toa Qayamat ke din apney iss amal ko bhi bahot km samjhega, aur tamanna karega ke usko duniya me bhej diya jaaey, taaki ziyadah se ziyadah ajr w sawaab haasil kar sakey. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSNAD E AHMAD -17198  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (450)            

🍁 Jo ek din Roza rakhe 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    🍁 Jo ek din Roza rakhe 🍁 📚Hadith: Abu Said khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar (70) baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai. - 📔 Urdu Ref: (Sahih Muslim , Vol 3, 2713) - 📔 Eng Ref: (Sahih Muslim, Book 6, 2570) ●════════════════════●   👥  *Plz Share to others also* 👥 ●════════════════════●                          ❁ ❁ ❁