Posts

Showing posts from December, 2016

01-01-2017​

Aur tum ek doosre ko taana na diya karo aur na ek doosre ko bure naamon se pukaaro. (Sura-e-Hujuraat: 11)

31-12-2016.

Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain. (Musnade Ahmad : 17483)

Azaan Aur Pehli Saf

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦​  Azaan Aur Pehli Saf​  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Agar logon ko maalum ho jaey ke azaan deney me aur saf e awwal (pehli saf me namaaz padhney) me kitna sawaab hai to wo saf e awwal aur azaan deney ke liye talwaaron se muqabla kar ke aagey badhney ke liye koshish karney lagey.   - 📗 [Sahih Bukhaari: 615]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-12-2016.

Tum zulm-o-sitam karne se bacho! Is liye ke zulm-o-sitam ki saza doosri sazaaon ke muqaable mein jaldi milti hai. (Tabraani Ausat : 5664)

Deendari ki buniyad par Shadi

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Deendari ki buniyad par Shadi ​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya Tum aurton se (Sirf) un ke husn-o-jamaal ki wajah se shaadi na karo. Kyun ke husn-o-jamaal khatm hone waala hai aur na un ki maaldaari ki wajah se shaadi karo, mumkin hai ye maaldaari un ko nafarmaani mein mubtala karde. Albatta un se deendaari ki buniyaad par shaadi karo.   - 📗 [Ibne Maaja: 1859]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Gunah

🌷  ▫  *بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ* ▫ 🌷 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰 🍁 Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Agar Tum Bade Bade Gunah se jin se tum ko mana kiya jata hai bacho ge, Toh Hum Tumare (Chote) Gunah maaf kardenge. (Al Nisa 4: 31) 〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

29-12-2016.

Rahman (Allah) ke bande woh hain jo zameen par aajizi se chalte hain. (Sura-e-Furqaan : 63)

Yateem Ka Ikraam

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​ Yateem Ka Ikraam ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jab koi shakhs sirf Allah ki khushnudi ke liye yateem ke sar par hath pheirta hai, To Allah Ta'ala har baal ke badley me neikiyaan ataa farmatey hai, Aur jo yateem ke sath achchha bartaa'o karega mai aur wo jannat me do ungliyon ki tarah hongey, Rasoolullah ﷺ ne shahaadat aur bich ki ungliyon ko pheila kar bataya. - 📗 [Musnad e Ahmad: 21649]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-12-2016.

Bhali baat sikhaana behtar hai khaamooshi se aur khaamooshi behtar hai buri baat sikhaane se. (Shoabul Imaan : 4993)

Pyare Nabi ﷺ ki Sunnatein

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *Pyare Nabi ﷺ ki Sunnatein* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Jis ne meri Sunnat zinda ki us ne mujhse muhabbat ki aur jis ne mujhse muhabbat ki woh (Jannat mein) mere saath hoga.   - 📗 [Tirmizi : 2678]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

27-12-2016.

Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar hai. (Shoabul Imaan : 4993)

26-12-2016.

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton se farmaaya ke aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein. (Abu Daaood : 5272)

Main to sirf Allah ka banda hu

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Main to sirf Allah ka banda hu​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Umar Raziy Allahu anhu se rivayat hai ki Nabee Kareem ﷺ ne farmaya mujhe mere martabe se zyada na badao jaise Esa ibn mariyam Alaihi salam ko nasara (Christian) ne inke martabe se jiyada bada diya hai main to sirf ALLAH ka banda hun isliye yahi kaha karo (mare bare mein) ki Mein ALLAH ka banda hun aur uska Rasool hun.   - 📗 [Sahih Bukhari : 3445]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-12-2016.

Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo. (Sura-e-Nisa : 2)

24-12-2016.

Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho. (Shoabul Imaan : 3427)

Milte aur Juda hote waqt Salam

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Milte aur Juda hote waqt Salam​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab tum mein se koi majlis mein pauche to unhe salam kare aur phir agar waha baithna ho to baith jaye aur jab (jane ke liye) khada ho to phir salam kare.   - 📗 [Tirmizi: 602, 2706]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-12-2016.

Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho. (Muslim : 6680)

Jisne apne kisi bhai pr zulm kiya

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Jisne apne kisi bhai pr zulm kiya​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey) nahi honge, is se pahle (maaf karwa le warna) uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par daal di jayegi.   - 📗 [Sahih Bukhari: 6534]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

22-12-2016.

Kaanjoosi aur fuzool kharchi se bachte huwe kharch karna aadhi kamaai hai. (Shoabul Imaan : 6568)

Jab Banda Beemar hota hai

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Jab Banda Beemar hota hai​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki jab banda beemar hota hai ya safar karta hai to uske liye un tamam ibadaton ka sawab likha jata hai jinhe Sehat ke waqt apne ghar mein kiya karta tha..   - 📗 [Sahih Bukhari: 2996]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Jab Banda Beemar hota hai​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki jab banda beemar hota hai ya safar karta hai to uske liye un tamam ibadaton ka sawab likha jata hai jinhe Sehat ke waqt apne ghar mein kiya karta tha..   - 📗 [Sahih Bukhari: 2996]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-12-2016.

Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo. (Sura-e-Nahl : 91)

Qubuliyat k Yaqin k sath dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Qubuliyat k Yaqin k sath dua​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ ka ye irshad naqal farmate hain: Allah Ta'ala se Qubuliyat ke Yaqeen ke saath Dua maanga karo aur Jaan lo ke Allah Ta'ala gaflat aur laparwahi me pade hue Dil ke saath Dua qubool nahi farmate.   - 📗 [Tirmizi : 3479]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-12-2016.

Tum mein se koi shakhs (bila ijaazat) apne bhaai ka saamaan na mazaaq mein le aur na hi haqeeqat mein le. (Abu Daaood : 5003)

Maut ke baad ka afsos

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Maut ke baad ka afsos ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba Raziyallahu anhuma ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega..   - 📗 [Tirmizi : 2403]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-12-2016.

Tum achchhe akhlaaq aur khaamooshi ki aadat banaalo. Qasam us zaat ki jis ke qabze mein Muhammad (Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jaan hai makhlooq ne in donon jaisi khoobiyon ko apne andar paida nahin kiya. (Shoabul Imaan : 4941)

Jo aurat dikhaawe ke liye Sone ka Zewar pahenegi

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Dikhawe ke liye Sone ka Zewar* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Huzoor ﷺ ne farmaaya ke aye Aurto! Kya chaandi ke zewar se tumhaari tumhaari zeenat ka kaam nahin chal sakta. Khabardaar! Tum mein se jo aurat dikhaawe ke liye sone ka zewar pahenegi us ki wajah se zaroor us ko azaab diya jaayega. - 📗 [Abu Dawood: 4237]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

18-12-2016.

Agar kisi ne tumhaare paas koi cheez amaanat rakhi to (maangne par) us ko amaanat waapas kar do. (Abu Daaood : 3535)

Dua-o-Sunnat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄             *✦​ ​​​​ Dua-o-Sunnat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ke yahaan sab se ziyaada pasandeeda amal dua hai. - 📗 [Mustadrak: 1801] *📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Jis ne meri Ummat mein bigaad ke waqt meri sunnat ko mazbooti se pakda, to us ke liye Shaheed ka sawaab hai. - 📗 [Mu'ajam-e-Kabeer: 1320]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

17-12-2016.

Aye Imaan waalo ! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaaein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un se (mazaaq udaane waalon se) behtar hon. (Sura-e-Hujuraat : 11)

Imaan ki Halaawat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​ ​​​​ Imaan ki Halaawat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Imaan ki halaawat us ko naseeb hogi jis ke andar yeh baatein hongi. (1) Allah aur us ke Rasool ki muhabbat tamaam maasiwa se ziyaada ho. (2) Jis aadmi se us ko muhabbat ho sirf Allah ke liye ho. (3) Imaan ke baad kufr ki tarf palatne se us ko aisi hi aziyat aur takleef hoti ho jaisi ke aag mein daale jaane se hoti hai. - 📗 [Sahih Bukhari : 16]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

16-12-2016.

3 cheezon ko waapas nahin karna chaahiye : 1- Takiya, 2- Itr, 3- Doodh. (Trimizi : 2790)

Badey (Kabira) Gunaah

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦​ ​​​​Badey (Kabira) Gunaah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Anas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ se badey (kabira) gunahon ke baarey mein pucha gaya to Aap ﷺ ne farmaya: (1) Allah ke saath kisi ko Sharik karna, (2) Waaldein ki nafarmani karna, (3) Kisi ki jaan lena, (4) Aur Jhooti gawahi dena. - 📗 [Sahih Bukhari : 2653]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

15-12-2016.

Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan : 10722)

14-12-2016.

Jab kisi ko (halaal riqz ka) koi zariya mil jaaye to woh us ko (khushi se) ikhtiyaar kar le (chaahe kam hi kyun na ho). (Ibne Maaja : 2147)

Asmaa-e-Husna

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦ ​​​​​​ Asmaa-e-Husna  ✦​​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤ Al Quraan :* Allah Ta'ala ke achchhe achchhe naam hain tum in naamon se use pukaaro. - 📖 [Sura-e-A’araaf: 180] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya : Be shak Allah Ta'ala ke ninaanve naam hain, jo Allah Ta'ala ke in naamon ko yaad karega, Jannat mein daakhil hoga. - 📗 [Sahih Muslim: 6986]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-12-2016.

Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhaare tamaam kaamon se poori tarah baakhabar hai. (Sura-e-Maaidah : 8)

12-12-2016.

Jo shakhs kisi tang dast maqrooz ko mohlat de ya maaf karde to Allah Ta'ala qayaamat ke din aise shakhs ko apni rahmat ke saaye mein jagah dega. (Muslim : 7704)

​​​​Jo log taswer (morti) bnaty hai

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *​​​​Jo log taswer (morti) bnaty hai* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin Umar RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jo log tasweer banatey hain unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega aur unsey kaha jayega ki jisko tumney banaya hai usmein ab jaan bhi daalo. - 📗 [Sahih Bukhari : 5951]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

11-12-2016.

Jo shakhs maal-o-daulat badhaane ke liye (logon se) maangna shuru karta hai to Allah Ta'ala us ki daulat ko us se bhi kam kar denge. (Musnade Ahmad : 9624)

Pyare Nabi ﷺ pr jhoot na bolo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *​​​​Pyare Nabi ﷺ pr jhoot na bolo* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya mujh par jhoot na bolo kyunki jo mujh par jhoot bolega wo Jahannam mein dakhil hoga. - 📗 [Sahih Bukhari : 106] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki jo shaksh mere naam se wo baat bayan karey jo mainey nahi ki to wo Apna thikana Jahannam mein bana le. - 📗 [Sahih Bukhari : 109]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

10-12-2016.

Allah Ta'ala ki rahmat ho us bande par jo bechne, khareedne aur apna haq wusool karne mein narmi ikhtiyaar kare. (Bukhaari : 2076)

09-12-2016.

Kisi qaum ki dushmani tumhein (un ke saath) naainsaafi karne par na ubhaare, (balke us waqt bhi tum) insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai. (Sura-e-Maaidah : 8)

08-12-2016.

Jo shakhs rishtedaaron ka haq ada karne ke liye sadqe ka darwaaza kholta hai to Allah Ta'ala us ki daulat ko badha deta hai. (Musnade Ahmad : 9624)

Qabr ki Aazmayesh se Mehfooz

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *​​Qabr ki Aazmayesh se Mehfooz​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi (achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAH usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega.   - 📗 [Ibn Majah : 924, 2767]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

07-12-2016.

Insaan mein paai jaane waali sab se buri aadatein; intihaai darje ka laalach aur buzdili hai. (Abu Daaood : 2511)

Zikr aur Durud wali Majlis

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *​​Zikr aur Durud wali Majlis​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jis majlis (mehfil) mein ALLAH subhanahu ka zikr na kiya jaye aur Rasoolullah ﷺ par durud na bheja jaye us majlis wale nuqsan mein hai, Ab agar Allah chahe to unhe azab de aur chahe to unhe bakhs de.   - 📗 [Tirmizi : 1304, 3380]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

MO'AJIZA E RASUL (Sallallahu alaihi wa sallam)

🔶      ﷽      🔶 💐    (0471)     💐 💌💌💌💌💌 06-R.Awwal - 1438 06-December-2016 💌💌💌💌💌 🌻 MO'AJIZA 🌻 🍂       E         🍂 💝    RASUL   💝 (Sallallahu alaihi wa sallam) 💌💌💌💌💌 Hazrat Ali (rd.) kehtey hai: Eik martaba mujhey sakht dard laahiq huwa ke mai mout ko yaad karney laga Aur Aap Sallallahu alaihi wa sallam ki khidmat me haazir huwa Aap Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya: Aey Allah ! isey shifa ataa farma. Hazrat Ali (rd.) kehtey hai: Mai uusi waqt achchha ho gaya Phir aaj tak wo dard mujhey nahi huwa. 🔹🔹🔹🔹🔹 BAIHAQI Dalaail e Nubuwwah -2426 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNE KI GUZARISH ♦🌷♦ (175)

06-12-2016.

Koi mard doosre mard ka aur koi aurat doosri aurat ka satar na dekhe. (Muslim : 794)

Ehsaan krne walo ko ye dua de

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *​​Ehsaan krne walo ko ye dua de​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Aap ﷺ ne farmaaya ke jis aadmi par kisi ne koi ehsaan kiya aur us ne ehsaan karne waalon ko yeh dua di:                          جَزَاكَ اللهُ خَيْرًا "Jazaakallaahu khairaa" (yaani Allah Ta'ala aap ko is ka behtar badla ata farmaaye), to us ne us shakhs ki poori taareef kar di.   - 📗 [Tirmizi : 2035]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

05-12-2016.

Aye Imaan waalo! Allah se daro aur sachche logon ke saath raha karo. (Sura-e-Tauba : 119)

04-12-2016.

Munaafiq ki 3 nishaaniyaan hain: 1- Jhoot bolna, 2- Waada khilaafi karna, 3- Amaanat mein khayaanat karna. (Bukhaari : 33)

Ek harf ke badle ek neki hai Aur ek neki ka ajr das neki ke baraabar milta hai.

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​​ Ek harf ke badle Ek Neki ✦​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin Masood RaziyAllahu anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Allah Ta‘ala ki kitaab ka ek harf padhe us ke liye ek harf ke badle ek neki hai. Aur ek neki ka ajr das neki ke baraabar milta hai. Main yeh nahin kehta ke saara "Alif Laam Meem" ek harf hai, balke alif ek harf hai, laam ek harf hai aur meem ek harf hai (Yaani teen huroof huwe is par tees nekiyaan mileingi).   - 📗 [Tirmizi : 2910]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

03-12-2016.

Jis ne zahar kha kar khudkushi ki hogi, to us ke haath mein zahar hoga aur woh Jahannam mein hamesha hamesh use phaankta rahega. (Bukhaari : 5778)

Khana Khilao Aur Salam karo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Khana Khilao Aur Salam karo* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin Amr RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasoolullah ﷺ se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya khana khilao aur salam karo use jise tum pahchante ho use bhi aur jise tum nahi pahchante ho use bhi. - 📗 [Sahih Bukhari : 6236]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

NASIHAT E RASUL (Sallallahu alaihi w sallam)

🔶      ﷽      🔶 💐    (0467)     💐 💌💌💌💌💌 02-R.Awwal - 1438 02-December-2016 💌💌💌💌💌 🌻 NASIHAT  🌻 🍂        E        🍂 💝   RASUL    💝 (Sallallahu alaihi w sallam) 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo bandah ye chahta ho ke Allah T'aala ranj we musibat ke waqt uus ki duaa qubul karey Toa uus ko chahiye ke aaraam w raahat me bhi khub duaa kiya karey. 🔹🔹🔹🔹🔹 TIRMIZI -3382  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (544)

3 gunah

🔶      ﷽      🔶 💐    (0466)     💐 💌💌💌💌💌 30  -  Safar  -  1438 01-December -2016 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: 3 gunah aisey hai jo sab se pehley wujud me aaey, lihaza insey bacho. ♨ 1-Takbbur se bacho, isliye ke takbbur ne hi shaitan ko Hazrat Aadam (A.S.) ka sajdah karney se roka tha. ♨ 2-Hirs (laalach) se apney aap ko bachao, isliye ke hirs ne hi Hazrat Aadam (A.S.) ko darakht (ke phal) khaaney par ubhara tha. ♨ 3-Hasad se bacho, isliye ke Aadam (A.S.) ke eik beitey ne dusrey beitey ko hasad me qatl kar  diya tha. 🔹🔹🔹🔹🔹 IBNEY ASAKIR jild -40 safah -49 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ♦🌷♦ (462)

02-12-2016.

Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samjhna takabbur hai. (Shobul Imaan : 8152)

01-12-2016.

Jab Allah Ta'ala kisi ghar waalon ke liye bhalaai ka iraada farmaate hain, to un mein narmi paida farma dete hain. (Muanade Ahmad : 24427)