Posts

Showing posts from February, 2017

​01-03-2017

Jo bhi bura amal karega, woh us ki saza paayega. (Sura-e-Nisaa: 123)

​28-02-2017​

Tum log qarz lena kam kardo, aazaadi ke saath zindagi guzaaroge. (Shoabul Imaan: 5557)

27-02-2017​

​ Jab kisi gunehgaar ki taareef ki jaati hai, to Allah Ta'ala gussa hota hai aur arsh kaanp uthhta hai. (Shoabul Imaan: 4886)

​26-02-2016​

Aye Imaan waalo ! Aapas mein ek doosre ke maal naahaq tareeqe se mat khaao, magar jo maal aapas ki razaamandi se ki huwi khareed-o-frokht se haasil ho. (Sura-a-Nisa: 29)

25-02-2017​

Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ko ajr ata farmaayega. (Sahih Ibne Khuzaima: 1292)

​24-02-2017​

Rasoolullah (s.a.w) jab kisi ke yahaan tashreef le jaate to darwaaze ke saamne khade na hote, balke daaein baaein khade hote aur farmaate : As salaamu alaikum, As salaamu alaikum. (Abu Daaood: 5186)

23-02-2017​

​ Rasoolullah (s.a.w) is baat ko pasand nahin farmaate the ke as'haab (saathiyon) ki majlis mein khushbu lagaaye bagair tashreef le jaaein. (Subulul Huda War Rashaad: 7/337)

​22-02-2017​

Jis aadmi mein 3 cheezein hongi Allah Ta'ala us ko apni rahmat mein le lenge aur us ko Jannat mein daakhil karenge: 1. Kamzoron ke saath narmi karna, 2. Waalidain ke saath maherbaani karna, 3. Gulaaamon (naukar chaakar) ke saath ehsaan karna. (Tirmizi: 2494)

21-02-2017​

​ Jab koi baat kaho to insaaf se kaam lo, chaahe muaamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho. (Surah-e-An'aam : 152)

20-02-2017​

Jo shakhs shohrat ke liye koi kaam karega, to Allah Ta'ala us ke (aib ko)  mash'hoor kar dega. (Bukhaari : 7152)

19-02-2017​

​ Beshak gussa shaitaan ki taraf se hota hai, shaitaan aag se paida kiya gaya hai aur aag ko paani se bujbaaya jaata hai, lihaaza jab tum mein se kisi ko gussa aaye to us ko wuzu kar lena chaahiye. (Abu Daaood : 4784)

18-02-2017​

​ Tum log qaidiyon ko chhudaao, bhookon ko khaana khilaao aur beemaaron ki iyaadat karo. (Bukhaari : 3046)

17-02-2017​

​ Aye logo! Allah Ta'ala se daro, aur rozi talaash karne mein neki aur parhezgaari ka tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de. (Shoabul Imaan: 10376)

16-02-2017​

​ Momin mardon se keh do ke woh apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein. Yahi un ke liye paakeezah tareen tareeqa hai. (Sura-e-Noor: 30)

15-02-2017​

​ Aadmi ka apne bachche ko achchhe akhlaaq sikhaana ek saa (weight) sadqa karne se behtar hai. (Tirmizi: 1951)

Hisaab e Aakhirat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Hisaab e Aakhirat   ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: (Qayamat ke din) Tum me se koi shakhs bhi aisa na hoga ke jis se Allah Ta'ala is tarah baat na karey ke uskey aur Allah Ta'ala ke darmiyaan me na koi pardah hoga na koi waasta hoga, Apne daaein (right) taraf deikheyga toa wo aamaal hongey jo duniya me kiye the, (yaani neik aamaal) baaein (left) taraf deikhega toa wo aamaal hongey jo duniya me kiye the, (yaani burey aamaal) Wo jahannam ki aag apney saamney paeyga.   - 📗 [Sahih Bukhari: 7512]      *www.IslamicGrp.weebly.com* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​14-02-2017​

Naap tol mein kami karne waale log qahat saali (baarish ka na hona), pareshaaniyon aur baadshaah ke zulm ke shikaar ho jaate hain. (Ibne maaja: 4019)

13-02-2017​

​ Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunaah yeh hai ke aadmi kisi se kaam le aur us ko us ki mazdoori na de. (Mustadrak: 2743)

​12-02-2017​

Jo dhoka de woh ham mein se nahin. (Tirmizi: 1315)

11-02-2017​

​ Aye Imaan waalo! Apne gharon ke alaawa doosre gharon mein us waqt tak daakhil na ho jab tak ijaazat na le lo aur us mein basne waalon ko salaam na kar lo, yahi tareeqa tumhaare liye behtar hai, ummeed  hai ke tum khayaal rakhoge. (Sura-e-Noor: 27)

​10-02-2017​

Hazrat Ibrahim Alahissalam par Allah ne wahi naazil farmaai ke achchhe akhlaaq ka bartaao karo,chaahe kaafiron (gair muslimon) ke saath hi kyun na ho, nek logon ke maqaam (Jannat) mein daakhil ho jaaoge. (Moajame Ausat: 6506)

Zyaada Mehboob

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Zyaada Mehboob   ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Anas Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Sahaba ke nazdeek koi shakhs bhi Rasool Allah ﷺ se zyaada mehboob nahi tha. Iske bawajood wo Rasool Allah ﷺ ko dekhkar khade nahi hote the kyunke wo jaante the Aap ﷺ isko na pasand farmaate hain.   - 📗 [Tirmizi: 2754]      *www.islamicgrp.weebly.com* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

09-02-2017​

​ Jo shakhs is baat ko pasand kare ke log us ki izzat ke liye khade hon to woh apna thhikaana Jahannam mein bana le. (Tirmizi: 2755)

Noor ki khush khabri

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Noor ki khush khabri ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Buraidah Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo log andheron mein bakasrat masjidon ko jaate rehte hain unko Qayaamat ke din poore poore Noor ki khush khabri suna dijiye.   - 📗 [Abu Dawud: 561]      *www.islamicgrp.weebly.com* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-02-2017​

​ Tum apni aulaad ki tarah apne maatahaton (naukar chaakar) aur yateemon ke saath achchha sulook karo aur jo tum khaate ho un ko bhi khilaao.   (Ibne Maaja: 3691)

Safon ko seedha karna

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Safon ko seedha karna ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Apni safon ko seedha kiya karo, kyunki Namaaz ko achchhi tarah adaa karne mein safon ko seedha karna shaamil hai.   - 📗 [Sahih Bukhari: 723]    *​Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​07-02-2017​

2 mard ek saath aur 2 aurtein ek saath ek hi lihaaf (chaadar aur bistar) mein (bagair kapda pehne) na letein. (Muslim: 794)

06-02-2017​

​ Agar waalidain mein se koi ek ya donon tumhaare pass budhaape ko pahonch jaaein to tum unhein uf tak na kaho aur na unhein jhidko; balke un se izzat ke saath baat karo. (Sure-e-Bani Israai: 23)

05-02-2017

Allah Ta'ala ne kuchh bandon ko logon ki zaroorat poori karne ke liye paida kiya hai, log un ke pass apni zaroorat le kar jaate hain, logon ki zaroorat poori karne waale yeh log Allah ke azaab se mehfooz rahenge. (Tabraani Kabeer: 13334)

04-02-2017​

​ Ek doosre se dushmani na rakho aur ek doosre se hasad na karo. (Muslim: 6690)

03-02-2017​

​ Jo shakhs apne biwi bachchon aur khaandaan waalon par kharch karta hai, to us ko sadqa karne ka sawaab milega. (Tabraani Ausat: 3897)

Haya Imaan se hai

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦  Haya Imaan se hai   ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Haya Imaan se hai aur Imaan Jannat se hai, buri baat bolne se dil mein sakhti paida hoti hai aur dil ka sakht hona Jahannam mein jaane ka sabab hai.    - 📗 [Tirmizi: 2009]       *​Update App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

02-02-2017​

​ Jo aurat bila wajah apne shohar se talaaq maange, us par Jannat ki khushbu haraam hai. (Abu Daaood: 2226)

Apne bhai ki kisi Musibat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Apne bhai ki kisi Musibat ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Waasila Bin Aqsa Raziyallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne Irshaad farmaya: Tum apne bhai ki kisi musibat par khushi ka izhaar na kiya karo ho sakta hai ke Allah Ta'ala us par rahem farmakar usko is museebat se nijaat de dein aur tum ko museebat mein mubtela kardein.    - 📗 [Tirmizi: 2506]       *​Update App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁