Posts

Showing posts from March, 2017

​29-03-2017​

2 gunnah aise hain jin ki saza Allah Ta'ala duniya hi mein jaldi de dete hain; 1- Zulm, 2- Waalidain ki naafarmaani. (Jaamiul Ahaadees : 583)

​28-03-2017

​Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal ke mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge. (Sura-e-Nahl : 97)

27-03-2017​

Naahaq faisla karne waala qaazi (Judge) Jahannam mein jaayega. (Abu Daaood : 3573)

​26-03-2017​

Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (Judge) Jannat mein jaayega. (Abu Daaood : 3573)

25-03-2017​

​ Logon mein bura aadmi woh hai jise gussa jaldi aaye aur der se jaaye. (Trimizi : 2191)

24-03-2017​

​ Logon mein achchha aadmi woh hai jise gussa der se aaye aur jaldi chala jaaye. (Tirmizi : 2191)

23-03-2017​

​ Maaldaari maal-o-daulat ki kasrat ka naam nahin hai ; balke asal maaldaari to dil ki maaldaari hai. (Ibne Maaja : 4137)

22-03-2017​

​ Sab se ziyaada Jahannam mein le jaane waali cheez pet aur sharmgaah hai. (Ibne Maaja :4246)

​21-03-2017​

Tum apni qasmon ko aapas mein fasaad daalne ka zariya na banao. (Sura-e-Nahl : 94)

20-03-2017

​ ​Sab se ziyada Jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain. (Ibne Maaja : 4246)

19-03-2017​

​ Raaste par baithhne ka haq yeh hai ke nigaah neechi rakho, salaam ka jawaab do, neki ka hukm karo aur bure kaamon se roko. (Bukhaari: 2465)

​18-03-2017​

Kisi par Allah ki laanat na bhejo aur na us ke gazab ki bad dua do aur na hi dozakh ki bad dua do. (Abu daaood : 4906)

17-03-2017​

​ Jab aadmi koi baat bataate waqt idhar udhar dekhe to woh baat sunne waale ke pass (raaz aur) amaanat hai. (Abu Daaood : 4868)

​16-03-2017​

Apne kapdon ko paak rakho aur (har tarah ki) gandagi se door raho. (Sura-e-Muddassir : 4,5)

15-03-2017​

​ Jo shakhs koi aibdaar cheez us ka aib bataaye bagair bechega, woh baraabar Allah ki naaraazgi mein rahega aur malaaika us par baraabar laanat bhejte rehte hai. (Ibne Maaja : 2247)

​14-03-2017​

Aurat par sab se ziyaada haq us ke shohar ka hai aur mard par sab se ziyada haq us ki maan ka hai. (Nasa'ee: 9148)

​13-03-2017​

Makr wa fareb aur dhokaadahi ka anjaam jahannam hai. (Shoabul Imaam: 6978)

12-03-2017​

​ Jis qaum ki naap tol mein kami karne ki aadat ban jaati hai, Allah Ta'ala un se baarish rok lete hain. (Al Kabaair Liz Zehbi: 1/61)

​11-03-2017​

Jo shakhs apne biwi bachchon aur khaandaan waalon par kharch karta hai, to us ko sadqa karne ka sawaab milega. (Tabraani Ausat: 3897)

10-03-2017​

​ Jo shakhs chori ka maal khareede aur use maaloom ho ke woh chori ka hai, to woh us ki buraai aur gunaah mein shareek hai. (Mustadrak:  2235)

09-03-2017​

​ Jo shakhs sood ke zariye apna maal badhaata hai to us ka anjaam tang dasti hota hai. (Ibne Maaja: 2279)

​08-03-2017​

Tum mein sab se achchhe log woh hain jo qarz ki adaaigi ke muaamle mein achchhe hon. (Muslim: 4195)

07-03-2017​

​ Tum par waajib hai ke tum apni aurton ke liye achchhe tareeqe par rozi aur kapde ka intizaam karo. (Muslim: 3009)

​06-03-2017​

Aur zameen par akad kar mat chalo, na tum zameen ko phaad sakte ho aur na pahaadon ki bulandi tak pahonch sakte ho. (Sura-e-Bani Israail: 37)

​05-03-2017​

Waada bhi ek tarah ka qarz hai (jis ko poora karna zaroori hai). (Tabraani Ausat: 3513)

Ummat Mein Bigaad

💐💐 *✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *Hadees 📚:-*Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaaya: Jis Ne Meri Ummat Mein Bigaad Ke Waqt Meri Sunnat Ko Mazbooti Se Pakda To Us Ke Liye Shaheed Ka Sawaab Hai  ! *📓 [Mu'ajam-e-Kabeer:- 1320] 📓*        •─━━━━━══════━━━━━─•          →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others

​04-03-2017​

Tumhaari woh ladki jo (talaaq ya shohar ke mar jaane ke baad) laut kar tumhaare hi paas aagayi ho aur tumhaare alaawa us ka koi kamaane waala na ho to tumhaara aisi ladki par kharch karna behtareen sadqa hai. (Ibne Maaja: 3667)

Jo Shakhs Gawaahi De

💐💐 *✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *Hadees 📚:-* Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaaya: Jo Shakhs Gawaahi De Ke Allah Ke Alaawa Koi Ma'abood Nahin Aur Hazrat Muhammad ﷺ Allah Ke Rasool Hai, To Allah Ta'ala Us Par Jahannam Ki Aag Ko Haraam Kar Denge !            *📓 [Muslim:- 151] 📓*        •─━━━━━══════━━━━━─•          →ρLѕ  ƒoʀwαʀd to others

​03-03-2017​

Jo shakhs haraam tareeqa (sood, rishwat wagaira) se maal jama kar ke sadqa kare, us ko is sadqe ka koi sawaab nahin hai, balke is haraam kamaai ka wabaal usi par hai. (Mustadrak: 1440)

​02-03-2017​

Jaan boojh kar sood ka ek dirham bhi khaana, 36 martaba zina karne se ziyaada sakht gunaah hai. (Musnade Ahmad: 21957)