Posts

Showing posts from May, 2017

01-06-2017​

​ Isi wajah se ham ne Bani Israail ko yeh farmaan likh diya tha ke jo shakhs kisi ko sharaee haq aur zameen mein fasaad ke bagair qatl kar de to goya us ne tamaam insaanon ko qatl kar diya. (Sura-e-Maaidah: 32)

31-05-2017​

​ Dunyawi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doosre par martabe ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe. (Sura-e-Zukhruf: 32)

Rozey ki haalat me Jhoot

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Rozey ki haalat me Jhoot ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs (rozey ki haalat me bhi) Jhuthi baatein aur burey aamaal na chhodey, To Allah Ta'ala ko us ke bhuka pyasa rehney ki koi Zarurat nahi.   - 📔 [Sahih Bukhari: 1903]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Agar Roze me bhul se khaya

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Agar Roze me bhul se khaya ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu huraira RaziyAllahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab koi bhul gaya aur kha liya aur pi liya to usey chahiye ki apna roza pura karey kyunki usey Allah taala ne khilaya aur pilaya.   - 📔 [Sahih Bukhari: 1933]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-05-2017​

​ Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada izzat waala banda woh hai jo badla le sakta ho phir bhi maaf kar de. (Shoabul Imaan: 8327)

Rozedar ka Roza iftar kraye

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Rozedar ka Roza iftar kraye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Zaid bin Khalid RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi.   - 📔 [Ibne Maaja: 1746]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

29-05-2017​

​ Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi ho kar pesh hoga. (Abu Daaood: 3244)

Ramzan ​​​​ke Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Ramzan ​​​​ke Roze ki fazeelat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Huraira RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramzan ke roze rakhe uske pichle sare gunah bakhsh diye jayenge. - 📔 [Ibne Maaja: 1641]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-05-2017​

​ Jo aurat duniya se is haal mein chali jaaye ke us ka shohar us se raazi tha, to woh Jannat mein daakhil hogi. (Mustadrak: 884)

Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs Allah Ta'ala ki raza ke liye ek din ka rozah rakhega To Allah Ta'ala us ke aur jahannam ke darmiyaan eik aise khandaq bana dega Jis ki masaafat (distance) aasmaan wa zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi. - 📔 [Tirmizi: 1624]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​27-05-2017​

Jab tum kisi zarooratmand aadmi ko dekho, to us ki madad karo. (Tabraani Kabeer: 414)

Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Huzoor-e-Aqdas ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi ke har achchhe amal ka sawaab das guna se saat sau guna tak badha diya jaata hai siwaaye roze ke, us ke baare mein Allah Ta'ala irshaad farmaate hain ke woh bande ki taraf se khaas mere liye ek tohfa hai aur main hi apni marzi ke mutaabiq us ka inaam wa sawaab doonga, mera banda meri raza ke waaste apni khwaahish-e-nafs aur apna khaana peena chhod deta hai. Rozedaar ke liye do khushyaan hain: Ek iftaar ke waqt aur doosri Allah Ta'ala se mulaaqaat ke waqt aur rozedaar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushbu se behtar hai. - 📔 [Sahih Muslim: 2763]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​26-05-2017​

Agar tum neki karoge to apne hi (faaide ke) liye karoge. (Sura-e-Bani Israail: 7)

Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📖 Al Qur'aan:* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye imaan waalo ! Tum par roze farz kar diye gaye hain, jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tumhaare andar taqwa paida ho. - 📔 [Sura-e-Baqarah: 183] *📚 Hadees:* Rasool Akram ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo aadmi sharai uzr aur beemaari ke bagair Ramazaan ka ek rozah bhi chhod de, phir woh us ki jagah umr bhar bhi roze rakhe, to jo cheez faut ho gai woh poori ada nahin ho sakti. - 📔 [Tirmizi: 723]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-05-2017​

​ Jab bahot ziyaada zina hone lagega to gareebi aur mohtaajgi aam ho jaayegi. (Shobul Imaan: 7369)

24-05-2017​

​ Apni maaldaari ki qadr karo, gareebi aane se pahle. (Mustadrak: 7846)

23-05-2017​

​ Rasoolullah (s.a.w.) ne mardon jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waali aurton par laanat farmaayi hai. (Bukhaari: 5885)

22-05-2017​

​ Rasoolullah (s.a.w.) ne aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaayi hai. (Bukhaari: 5885)

21-05-2017​

​ Aye Imaan waalo! Bahot se gumaanon se bacho, (kyun ke) baaz gumaan gunaah hote hain. (Sura-e-Hujuraat: 12)

20-05-2017​

​ Allah ko raazi karne ke liye takleef dene waali cheez ko raaste se hata dena aadmi ko Jannat mein le jaayega. (Kanzul Ummaal: 16402)

​19-05-2017​

Jo shakhs narmi se mehroom raha woh saari bhalaai se mehroom raha. (Muslim: 6763)

18-05-2017​

​ Neki (bhalaai) ka raasta batlaane waala neki karne waale ki tarah hai. (Tirmizi: 2670)

17-05-2017​

Jo shakhs kuchh (rishwat) le kar tarafdaari karte huwe faisla karega Allah Ta'ala use itni gehri Jahannam mein daalega ke 500 baras tak girta rahega, magar us ki teh tak na pahonch sakega. (Mustadrak: 7069)

16-05-2017​

​Yeh haqeeqat hai ke jo koi sabr se kaam le aur dar guzar kar jaaye to yeh badi himmat ki baat hai. (Sura-e-Shoora: 43)

15-05-2017​

Meri ummat ke behtareen log woh hain ke jab un ko gussa aaye to bardaasht kar lein. (Tabraani Ausat: 5793)

Saamaan ka aib na chupaana

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Saamaan ka aib na chupaana * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Poori sachchaai aur imaandaari ke saath kaarobaar karne waala taajir Nabiyon, Siddeeqon aur Shohada ke saath hoga. - 📗 [Tirmizi : 1209] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai ke jis shakhs ne koi aib waali cheez kisi ke haath farokht ki aur khareedaar ko woh aib batla nahin diya to us par hamesha Allah ka gazab rahega. Aur Allah ke farishte hamesha us par laanat karte raheinge. - 📗 [Ibne Maaja : 2247]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​14-05-2017​

Allah Ta'ala sakhi hai aur sakhaawat ko pasand karta hai. (Tirmizi: 2799)

13-05-2017​

​ Ta'ajjub hai us shakhs par, jo duniya haasil karne main laga huwa hai, halaanke maut us ko talaash kar rahi hai. (Kanzul Ummaal: 43961)

12-05-2017​

​ Apne mehmaan ke saath khaao, kyun ke woh tanha khaane mein sharm mehsoos karta hai. (Shoabul Imaan: 9633)

11-05-2017​

​ (Aye Imaan waalo!) kisi ke uyoob ki talaash mein mat raho. (Sura-e-Hujuraat: 12)

​10-05-2017​

Allah ke Rasool (Hazrat Muhammad) Sallallahu Alaihi Wasallam ne khade ho kar paani peene se mana farmaaya hai. (Ibne Maajah: 3424)

09-05-2017​

​ Apni jawaani ki qadr karo budhaapa aane se pahle. (Mustadrak: 7846)

Shabaan ke Roze

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦​ ​​​Shabaan ke Roze ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:*  Hazrat Anas RaziyAllahu anhu se riwaayat hai ke Nabi-e-Akram ﷺ se sawaal kiya gaya ke ramzaan ke rozon ke baad kaunsa roza afzal hai? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Ramzaan ki ta'zeem ki garz se shabaan ke roze. - 📗 [Tirmizi: 663]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-05-2017​

​Tum mein sab se bure woh log hain jo chugliyaan karte hain, doston ke darmiyaan dushmani daalte hain, paak saaf logon par tohmat lagaate hain. (Shoabul Imaan: 11108)

Pyare Nabi ﷺ pr jhoot na bolo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *​​​​Pyare Nabi ﷺ pr jhoot na bolo * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya mujh par jhoot na bolo kyunki jo mujh par jhoot bolega wo Jahannam mein dakhil hoga. - 📗 [Sahih Bukhari : 106] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaya ki jo shaksh mere naam se wo baat bayan karey jo mainey nahi ki to wo Apna thikana Jahannam mein bana le. - 📗 [Sahih Bukhari : 109]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Shabaan ke Maheene ko Gaflat ke Saath Mat Guzaariye

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *​​​​Shabaan ke Maheene ko*    *Gaflat ke Saath Mat Guzaariye * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Usama Bin Zaid RaziyAllahu anhu kehte hain ke maine kaha: Aye Allah ke Rasool ! main aap ko shabaan mein jis qadar roza rakhte huwe dekhta hoon kisi aur maheene mein nahein dekhta? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Rajab aur Ramzaan ke darmiyaan yeh aisa maheena hai, jis ko log gaflat aur laaparwaahi ke saath guzaarte hain, haalaanke is maheene mein bandon ke aamaal Rabbul aalameen ke darbaar mein pesh kiye jaate hain aur main chaahta hoon ke mere aamal rozedaar hone ki haalat mein pesh kiye jaayen. - 📗 [Nasai: 2357]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁