Posts

Showing posts from August, 2017

31-08-2017​

​ Allah Ta'ala ne tijaarat ko halaal aur sood (interest) ko haraam qaraar diya hai. (Sura-e-Baqarah: 275)

AZAAN AUR PEHLI SAF

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ AZAAN AUR PEHLI SAF ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Agar logon ko maalum ho jaey ke azaan deney me aur saf e awwal (pehli saf me namaaz padhney) me kitna sawaab hain to wo saf e awwal aur azaan deney ke liye talwaaron se muqabla kar ke aagey badhney ke liye koshish karney lagey.    - ๐Ÿ“” [Sahih Bukhari: 615]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-08-2017​

Logon ko Deen sikhaao aur aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo. (Musnade Ahmad: 2136)

EK AMAL

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                *✦  EK AMAL   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs har Farz namaz ke baad 33 martaba SUB'HANALLAH, 33 martaba ALHAMDULILLAH, aur 34 martaba ALLAHU AKBAR kehta he wo kabhi mahrum (nuqsaan me) nahi rehta.    - ๐Ÿ“” [Sahih Muslim: 1349]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​29-08-2017​

Woh musalmaan jis ki (logon ko) maaf karne ki aadat thi, woh Jannat mein jaane ka haqdaar hai. (Kanzul Ummaal: 7015)

BOHTAAN KI SAZA

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  BOHTAAN KI SAZA   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jis ne kisi mo'min ke baarey me aisi baat kahi, Jo us me nahi thi, To Allah Ta'ala usko dozakhiyon ke peep me daal dengey, Yahaan tak ke uski saza paa kar us se nikal jaey.     - ๐Ÿ“” [Abu Dawood: 3597]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-08-2017​

​ Tum mein sab se behtar woh shakhs hai jo (mohtaajon ko) khaana khilaaye. (Musnade Ahmad: 23929)

ISLAM KI KHUBI

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦  ISLAM KI KHUBI   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Aadmi ke islam ki khubi aur kamaal ye hain ke wo fuzul kaamo aur baaton ko chhod dey.     - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 2317]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​27-08-2017​

Rasoolullah (s.a.w) ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya: Woh aadmi (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho. (Bukhaari: 6061)

HOUZ E KAWSAR

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  HOUZ E KAWSAR   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Houz e kawsar ke bartan sitaron ki baraabar hongey, us se jo bhi insaan ek ghunt pee lega to hamesha ke liye us ki pyaas bujh jaeygi.     - ๐Ÿ“” [Ibney Maajah: 4303]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

26-08-2017​

​ Zameen mein fasaad machaane ki koshish na karo, yaqeen jaano Allah fasaad machaane waalon ko pasand nahin karta. (Sura-e-Qasas: 77)

Sari Raat Ibadat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦  Sari Raat Ibadat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya:  jo shaksh Isha ki Namaz Jamaat se ada karega, wo aisa hai jaisey ki aadhi raat tak ibadat ki, aur jo shaksh Isha aur fajar ki Namaz Jamaat se ada karega to wo aisa hai jaise ki usney Sari raat ibadat mein Guzari.     - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 221]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-08-2017​

​ Murdon ko gaali mat do; is liye ke is se us ke zinda rishtedaaron ko takleef pohnchegi. (Tirmizi: 1982)

​24-08-2017​

Jab koi shakhs Allah ko raazi karne ke liye kisi yateem bachche ya bachchi ke sar par haath pherta hai, toh jitne baal par us ka haath guzarta hai, us ke har baal ke badle mein us ke liye nekiyaan likhi jaati hain. (Musnade Ahmad: 22284)

DUNIYA KI HIRS

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦ DUNIYA KI HIRS ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Agar insaan ko soney (gold) se bhara huwa ek jangal mil jaey to wo dusrey ki khwahish karega Aur agar dusra jangal mil jaey to tisrey ki khwahish karega, insaan ka peit to sirf qabar ki mitti hi bhar sakti hai Albatta Allah Ta'ala us bandey par maherbani farmatey hai jo apney dil ka rukh duniya ki doulat ke bajaey Allah Ta'ala ki taraf karley usey Allah Ta'ala duniya me dil ka itminaan naseeb farmatey hai aur maal ke badhaney ki hirs se us ki hifaazat farmatey hai.    - ๐Ÿ“” [Sahih Bukhaari: 6438]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-08-2017​

​ Jo shakhs apne bhai ko bechi huwi cheez waapas le le, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kar dega. (Tabraani Ausat: 889)

22-08-2017​

​ Mubaarak hai woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne waala) ho, us ki kamaai achchhi wa paakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir shareefaana ho, log us ki buraai se mehfooz hon. (Shoabul Imaan: 3388)

​21-08-2017​

Jo log khush haali mein bhi aur bad haali mein bhi (Allah ke liye) kharch karte hain aur jo log gusse ko pee jaane aur logon ko maaf kar dene ke aadi hain, Allah aise nek logon se muhabbat karta hai. (Sura-e-Aale Imraan: 134)

Rahmat Wa Maghfirat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Rahmat Wa Maghfirat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Tum me koi shakhs namaz ke baad apni jagah par betha rahey, to farishtey us waqt tak us ke liye maghfirat ki duaa kartey rehtey hai, jab tak us ka wuzu na toot jaey, farrishtey ye duaa kartey hai, Aey Allah ! is bandey ki maghfirat farma, Aey Allah ! is bandey par raham farma.    - ๐Ÿ“” [Sahih Bukhaari: 445]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Duniya ki Ne'amate

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Duniya ki Ne'amate ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Tum me se jis shakhs ko sehat aur tandrusti haasil ho, Aur apney ghar walon ki taraf se uska dil mutmaeen ho, Aur ek din ka khaana uskey paas moujud ho, To samajh lo ke duniya ki tamaam ne'amat uskey paas moujud hain.    - ๐Ÿ“” [Ibne Maajah: 4141]     *๐Ÿ“ฒ Please Forward To Others* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-08-2017​

​ (Na mahram ko dekhne waali) Har aankh zina kaar hai. (Tirmizi: 2786)

NIND ME MUHAFIZ

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ NIND ME MUHAFIZ ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo bhi musalman bistar par ja kar Quran e kareem ki koi si bhi surat padh leta hai, to Allah Ta'ala us ki hifazat ke liye ek farishta muqarrar farma detey hai, Phir jab bhi wo bedaar hota hai us ke bedaar honey tak koi takleef deney wali chiz us ke qareeb bhi nahi aati.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 3407] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-08-2017​

​ Jis shakhs ko yeh baat pasand ho ke Allah Ta'ala use qayaamat ke din ki pareshaaniyon se najaat de, to woh faqeer aur tangdast logon ko (qarz ki adaaigi mein) mohlat de ya maaf karde. (Muslim: 4083)

DUNIYA KI HAQIQAT

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ DUNIYA KI HAQIQAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Allah ki Qasam! Duniya Aakhirat ke muqabley me itni si hai, ke tum me se koi apni ungali samandar me daaley phir nikaaley aur dekhey ke us ungali par kitna paani laga hai.    - ๐Ÿ“” [Sahi Muslim: 7197] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

18-08-2017​

​ Jis aadmi ne kisi se qarz liya, phir us ki niyyat qarz ada karne ki na ho (aur na hi us ne zindagi mein qarz ada kiya), to woh Allah se chor hone ki haalat mein milega. (Ibne Maaja: 2410)

Buri aur qabile nafrat cheez

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Buri aur qabile nafrat cheez ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Jaaiz cheezon mein sab se ziyaada buri aur qaabile nafrat cheez Allah ke nazdeek talaaq hai.. - ๐Ÿ“— (Abu Daawood: 2178) *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Saubaan Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Nabiye Kareem ๏ทบ ne farmaaya: Jo aurat bagair sakht majboori ke khud talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai.. - ๐Ÿ“— (Abu Daawood: 2226) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

17-08-2017​

​ Jo shakhs kharch karne mein na kanjoosi karta hai aur na fuzool kharchi karta hai, to Allah Ta'ala us ko maaldaar bana deta hai. (Musnade Bazzaar: 946)

Jab kisi ko naya kapda pehne dekhe to yeh dua de

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Jab kisi ko naya kapda*      *pehne dekhe to yeh dua de ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Nazrah Raziyallahu anhu farmaate hain ke jab Sahaaba-e-kiraam Raziyallahu anhuma naya kapda pahente to un ko yeh dua di jaati :                         ุชُุจْู„ِูŠ ูˆَูŠُุฎْู„ِูُ ุงู„ู„ู‡ُ ‏         *Tublee wa yukhlifullaah.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Tum pehno aur puraana karo, Allah tumhein aur de. - ๐Ÿ“— (Abu Dawood : 4020)        Youtube.com/IslamicGroup​ ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

16-08-2017​

​ Jo shakhs muaamle ke galat hone ka ilm hone ke baawajood naahaq jhagda kare, woh hamesha Allah ke gazab mein rehta hai. (Abu Daaood: 3597)

15-08-2017​

​ Apne marne waalon ki achchhaiyon ko yaad kiya karo aur un ki buraaiyon ko bayaan na karo. (Abu Daaood: 4900)

Musibat ke Waqt Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Musibat ke Waqt Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo bandah ye chahta ho ke Allah Ta'ala ranj w musibat ke waqt us ki duaa qubul karey, To us ko chahiye ke aaraam w raahat me bhi khub duaa kiya karey.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 3382] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

NEKIYAN HI NEKIYAN

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ NEKIYAN HI NEKIYAN ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs momin mardon aur momin aurton ke liye maghfirat ki duaa karta hai, Allah Ta'ala us ke liye har momin mard aur har momin aurat ke badley ek neki likh detey hai.    - ๐Ÿ“” [Tabrani: 5306]       Youtube.com/IslamicGroup ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​14-08-2017​

Jab tum kisi mareez ke paas jaao, to us ko tasalli ki baat kaho, is liye ke us ke ranj wa gam ko door karna Allah ke faisle ko to nahin taal sakte lekin mareez ke dil ko zaroor khush kar deta hai. (Tirmizi: 2087)

NARMI IKHTIYAR KARO

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ NARMI IKHTIYAR KARO ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Kya mai tum ko aisey shakhs ki khabar na dun Jo Dozakh ke liye haraam hai, Aur Dozakh ki aag us par haraam hai, Har aisey shakhs par jo teez mizaaj na ho, Balki narm ho, Logon se qareeb honey wala ho, Narm tabiyat ho.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 2488]       ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​13-08-2017​

Aye Imaan waalo! Jab tum kisi mutayyan muddat ke liye udhaar ka koi muaamlaa karo to use likh liya karo. (Sura-e-Baqarah: 282)

QARZ ADAA KAR DO

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ QARZ ADAA KAR DO ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi se qarz ley, Aur dil me ye pakka iradah kar rakhey Ke qarz pura pura nahi loutaega To wo Allah Ta'ala se ek chor ki haalat me mulaqat karega.    - ๐Ÿ“” [Ibne Majah: 2410]       Youtube.com/IslamicGroup ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-08-2017​

​Gareebon se muhabbat karo aur un ke saath baithha karo. (Mustadrak: 7947)

ALLAH KI RAHMAT

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ ALLAH KI RAHMAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din un farishton ko jo Dozakh par muqarrar hongey Hukm dengey ke jis ne mujhey Kabhi yaad kiya, Ya kisi mouqey par jo bandah mujh se daraa us ko Dozakh se nikaal diya jaey.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 2594]       ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

11-08-2017​

​ Allah Ta'ala maan baap ki khidmat wa farmaanbardaari aur un ke saath achchha sulook karne ki wajah se aadmi ki umr badha (barkat) deta hai. (Kanzul Ummaal: 45467)

HAJJ AUR UMRAH

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ HAJJ AUR UMRAH ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Haj aur umrah karney waley log Allah ki jamaat hai, Jab wo log duaa kartey hai to Allah Ta'ala un ki duaa qubul farmatey hai, Aur jab maghfirat talab kartey hai to Allah Ta'ala un ki maghfirat farma detey hai.    - ๐Ÿ“” [Ibne Majah: 2892] *๐Ÿ“ฒDownload App- Goo.gl/EPMFeM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

10-08-2017​

​ Jo shakhs apne aap ko bada samajhta hai ya takabbur ke saath akad kar chalta hai, qayaamat ke din woh Allah Ta'ala se is haal mein milega ke Allah Ta'ala us se naaraaz honge. (Al Adabul Mufrad: 549)

ISHRAAQ KI FAZILAT

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ ISHRAAQ KI FAZILAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Fajr ki namaaz baa jamaat padhey, Phir (usi jagah par) beith kar Allah Ta'ala ka zikr karta rahey, Yahaan tak ke suraj tulu'a ho jaey, Phir wo do rakaat (ishraaq ki) namaaz padhey, To usey ek kaamil Hajj aur umrah ka sawaab ataa kiya jaega.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 586] *๐Ÿ“ฒDownload App- Goo.gl/EPMFeM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

09-08-2017​

​ Maan baap mein maan ka haq baap se ziyaada hai. (Bukhaari: 5971)

DUAA KHUB KARO

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦  DUAA KHUB KARO   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Be'shak tumhara Rabb Sharm w haya wala aur bada sakhi hai, Wo apney bandey se is baat par sharmata hai Ke bandah us ki taraf apney hath uthaey aur wo usey khaali loutaey.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 3556] *๐Ÿ“ฒDownload App-Goo.gl/EPMFeM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-08-2017​

​ Jo shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar mein ziyaada nafa kamaane ki garz se cheezein jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai. (Muslim: 4206)

ALLAH KA AZAAB

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ ALLAH KA AZAAB ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jab logon ka ye haal ho jaey ke wo shariat ke khilaaf kaam hotey huey dekhein, Aur us ki islah ke liye kuchh na karein, To andesha he ke Allah ki taraf se un sab hi par azaab aa jaey.    - ๐Ÿ“” [Ibne Majah: 4009] *๐Ÿ“ฒDownload App - Goo.gl/EPMFeM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​07-08-2017​

Jo log sood khaate hain, woh (qayaamat mein) us shakhs ki tarah uthhenge, jise shaitaan ne chhukar paagal bana diya ho. (Sura-e-Baqarah: 275)

Hajj Aur Umrah

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  Hajj Aur Umrah   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne Farmaaya Hajj aur Umrah ko ek saath kiya karo, is liye ke yeh donon faqr aur gunaahon ko is tarah khatam kar dete hain, jaise bhatti lohe aur sone chaandi ke mail ko khatam kar deti hai, Aur hajj-e-Mabroor (maqbool) ka badlah to sirf Jannat hi hai.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi : 810]       Youtube.com/IslamicGroup ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​06-08-2017​

Rasoolullah (s.a.w) ne ek aurat ko naseehat karte huwe farmaaya: Aisi baatein na kaho jo doosron ko sunne mein buri lage. (Musnade Ahmad: 16701)

​05-08-2017​

Rasoolullah (s.a.w) ne Hazrat Anas ko naseehat karte huwe farmaaya ke aye mere bete! Jab apne ghar waalon ke paas jaao to unhein salaam karo, is se tum par aur tumhaare ghar waalon par barkatein naazil hongi. (Tirmizi: 2698)

04-08-2017​

​ Khush naseeb hai woh shakhs jo doosron se naseehat haasil kare. (Ibne Maajah: 46)

Achche Suluq ka Haqdar

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Achche Suluq ka Haqdar ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasoolullah ๏ทบ ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ๏ทบ mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai? farmaya ki tumhari Maa, pucha ki iskey baad kaun hai? farmaya tumhari Maa, unhoney phir pucha iskey baad kaun hai? Aap ๏ทบ ne phir farmaya tumhari Maa, unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap ๏ทบ ne farmaya tumharey walid (father).    - ๐Ÿ“” [Sahih Bukhari : 5971]       Youtube.com/IslamicGroup ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

MUSALMAN KA QATL

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ MUSALMAN KA QATL ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musalman ko qatl karney me madad karey, Agarchey ek lafz bol kar hi ho. To wo Qayamat ke din is haalat me aaega Ke us ki peshaani par likha hoga ke ye shakhs Allah ki rahmat se mehroom hain.    - ๐Ÿ“” [Ibne Majah: 2620]       Youtube.com/IslamicGroup ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

IBAADAT PAR IN'AAM

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ IBAADAT PAR IN'AAM ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala farmatey hai, Aey ibney Aadam ! Tu meri ibaadat ke liye faarigh hoja, Main terey siney ko ghina (เคฎाเคฒเคฆाเคฐी) se bhar dunga, Aur teri mohtaji ko khatm kar dunga, Aur agar aisa nahi karega, To mai tere siney ko mashghuli se bhar dunga, Aur teri mohtaji ko dur nahi karunga.    - ๐Ÿ“” [Tirmizi: 2466]     *{Subscribe Youtube Channel}*       Youtube.com/IslamicGroup ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

03-08-2017​

​ Jab tumhaare paas kisi qaum ka baaizzat aadmi aaye to tum us ka ikraam karo. (Ibne Maaja: 3712)

AULAAD E SALEH

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ AULAAD E SALEH ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jannat me aadmi ke darjaat buland kiye jaengey, To wo kahega: Mujhey ye martaba kaisey mil gaya? Phir usey bataya jaega ke (ye maqaam) tum ko tumhari aulaad ke istighfaar karney ki wajah se mila hain.    - ๐Ÿ“” [Ibne Majah: 3660]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

02-08-2017​

​ (Bagair majboori) Qarz lene se bacho; is liye ke qarz raat mein ranj-o-gam aur din mein zillat wa ruswaai ka sabab hai. (Shoabul Imaan: 5554)