Posts

Showing posts from September, 2017

01-10-2017​

​ Tum (aurtein) apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha. (Sura-e-Ahzaab: 33)

Waalidain ko na Satana

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Waalidain ko na Satana ✦​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚Hadees:​* Aap ﷺ ne farmaaya tamaam gunaahon mein se Allah Ta'ala jitna chaahte hain maaf farma dete hain, lekin maan baap ko sataane ka gunaah aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah ke karne waale ko maut se pehle duniya hi ki zindagi mein saza de dete hain. - 📗 [Sho'abul Imaan: 7890] *​📚Hadees:* Aap ﷺ ne farmaaya Waalidain ki naafarmaani karne se bacho, kyun ke jannat ki khushbu ek hazaar saal ki doori se mahsoos hoti hai. Allah ki qasam! Waalidain ka naa-farmaan us ki khushbu bhi nahin soongh paayega. - 📗 [Tabraani Ausat: 5664]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-09-2017​

​ Pahelwaan woh nahin hai jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (khud) par qaabu rakhe. (Bukhaari: 6114)

Walidain ka Adab-o-Ehteram​​

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Walidain ka Adab-o-Ehteram​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚Hadees:​* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jo farmaanbardaar aulaad apne maan baap ko muhabbat ki nazar se dekhe, to use har nigaah par ek maqbool haj ka sawaab milega . Logon ko bada taajjub huwa, unhon ne poochha: Agar woh din mein sau martaba dekhe (to har martaba maqbool haj ka sawaab milega?). Aap ﷺ ne farmaaya: Haan! - 📗 [Sho'abul Imaan, 7856]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​29-09-2017​

(Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi. (Abu Daaood: 4799)

Parde ka Ehtemaam

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Parde ka Ehtemaam ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *​❤ Al Quran:​* Aye Nabi! Aap apni beewiyon, apni betiyon aur musalmaanon ki aurton se keh do ke woh apni chaadarein apne (munh ke) ke oopar jhuka liya karein.   - 📖 {Sura-e-Ahzaab : 59} *​📚 Hadees:​* Huzoor ﷺ ne farmaaya Aurat chhupa kar rakhne ki cheez hai, yeh baat yaqeeni hai ke jab woh apne ghar se baahar nikalti hai, to  shaitaan takne lagta hai, aur bila shubah aurat us waqt Allah Ta'ala se ziyaada qareeb hoti hai jab ke woh ghar ke andar hoti hai. - 📗 [Sahi ibne Hubbaan, 5599]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-09-2017​

​ Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin. (Shoabul Imaan: 4354)

Sagira Gunaho se Maafi ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Sagira Gunaho se Maafi ki Dua * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *​📚 Hadees:​* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya Jis ne rozaana 100 martaba yeh dua padhi us ke tamaam (sageera) gunaah maaf kar diye jaayeinge, agar che woh kasrat mein samandar ke jhaag ke baraabar hon.                       سُبْحَانَ اللَّهِ وَبِحَمْدِهِ‏   *"Subhaanallaahi wa bihamdihi"​* *​📃 Tarjama:​* Allah ki zaat tamaam uyoonbon se paak hai aur ta'areef usi ke liye hai.   - 📗 [Sahih Bukhaari: 6405]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

27-09-2017​

​ (Musalmaano!) Jab tum logon ke darmiyaan faisla karo to insaaf ke saath faisla karo. (Sura-e-Nisa: 58)

26-09-2017​

​ (Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) Tum (logon ko) khaana khilaao, aur har ek ko salaam karo, jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahin jaante. (Bukhaari: 6236)

Toba wa Istigfaar

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ Toba wa Istigfaar ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *​❤ Al Quran:​* Aye Imaan waalo Allah se sachchi pakki toba karo, ummeed hai ke tumhaara Rab tumhaare gunah ko mita dega aur aisi Jannat mein  daakhil karega jis ke neeche nehrein behti hon gi.   - 📖 {Sura-e-Tehreem: 8} *​📚 Hadees:​* Huzoor ﷺ ka irshaad hai ke Allah Ta'ala farmate hain: Tum raat din khataaein karte ho sirf main tumhaare tamaam gunaahon ko maaf kar sakta hoon, mujh se magfirat Talab karo main tumhaare saare gunaahon ko maaf kardoonga.   - 📗 [Sahih Muslim: 6737]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-09-2017​

​ 3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain: 1) Nafs ki khwaahishaat par chalna, 2) Laalach wa kanjoosi ko aadat bana lena, 3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai. (Shoabul Imaan: 7252)

9 Aur 10 Muharram ka Roza

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *9 Aur 10 Muharram ka Roza * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:​* Hazrat Abu Qatada al-Ansari RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ se Ashura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap ﷺ ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.. - 📗 (Muslim, Vol 3, 2747, 2528) *​📚 Hadees:​* Hazrat Abdullah Bin Abbas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolullah ﷺ Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz kiya Ya RasoolAllah ﷺ ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap ﷺ Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha-Allah Hum 9 ka Roza Rakhege, Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap ﷺ Duniya se wafat pa gaye.. - 📗 (Muslim, Vol 3, 2666, 2603)   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

24-09-2017​

​ Hamesha sach bolo, chaahe us mein nuqsaan nazar aaye, kyun ke sachchaai mein najaat hai. (Makaarimul Akhlaaq: 137)

Jo 40 hadeesein yaad karega

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Jo 40 hadeesein yaad karega * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs meri Ummat ke nafe ke liye chaalees hadeesein yaad karega to us se (Qayaamat ke din) kaha jaayega, Jannat ke jis darwaaze se chaaho daakhil ho jaao. - 📗 [Kanzul Ummal : 29186]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-09-2017​

​ Jo banda kisi ko (badla lene par qudrat ke baawajood) maaf kar deta hai, Allah is ke badle us ki izzat badha deta hai. (Muslim: 6757)

Nahaq Zameen Lene Wale

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *Nahaq Zameen Lene Wale * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Nabi kareem ﷺ ne irshaad farmaya: Jis shakhs ne thodi si zameen bhi nahaq leli qayamat ke din wo iski wajha se saat zameenon tak dhansa diya jayega. - 📗 [Sahih Bukhaari: 2454] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jis shakhs ne baalisht bhar zameen ka koi hissa zulm ke taur par daba liya, to qayaamat ke din us ke gale mein 7 zameenon ka tauq daala jaayega. - 📗 [Sahih Bukhaari: 3198]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

22-09-2017​

​ Aapas mein ek doosre ka maal na haq tareeqon se na khaao. (Sura-e-Baqarah: 188)

Zameen Walo par Rahem karo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Zameen Walo par Rahem karo * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤ Al Qur'aan :* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aur tum logon se achchhi baat kaho. - 📖 {Sura-e-Baqrah: 84} *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Tum log zameen waalon par rahem karo, aasmaan waala rab tum par rahem karega. - 📗 [Abu Daawood: 4941]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​21-09-2017​

Tum apne kisi bhai se jhagda na karo aur na us se mazaaq karo (jis se us ko takleef ho) aur us se aisa waada na karo jis ko poora na kar sako. (Tirmizi: 1995)

Us se Jodo jo Tum se Tode

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *Us se Jodo jo Tum se Tode * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Uqba Bin Aamir RaziyAllahu Anhu kehte hain ke main Rasoolullah ﷺ ke paas aaya, to Aap ﷺ ne mujh se farmaaya: Aye Uqba Bin Aamir! Us se jodo jo tum se tode, us ko do jo tumhein mahroom kare aur use maaf kar do jo tum par zulm wa ziyaadati kare. - 📗 [Musnade Ahmad: 17452]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-09-2017​

​ Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai. (Tirmizi: 2022)

Padosi ko takleef na pohnchaye

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Padosi ko takleef na pohnchaye* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya : Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! Allah ki qasam woh shakhs momin nahin! kisi ne poochha: Aye Allah ke Rasool! Kaun shakhs momin nahin? Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Woh shakhs jis ki takleef wa sharaarat se us ka padosi mahfooz na ho. - 📗 [Sahih Bukhaari: 6016]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-09-2017​

​Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed karein aur us ke shar se mehfooz hon. (Tirmizi: 2263)

Rishtedaron k sath achcha bartao

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *Rishtedaron k sath achcha bartao * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ka farmaan hai: Jo shakhs yeh chaahe ke us ki rozi mein badhotri (aur barkat) ho aur us ki umar lambi ho, us ko chaahiye ke apne rishtedaaron ke saath achchha bartaao kare. - 📗 [Bukhaari: 2067]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​18-09-2017​

Tum mein bad tareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed na karein aur us ke shar se mehfooz na hon. (Tirmizi: 2263)

​17-09-2017​

Jo shakhs koi buri sifaarish karta hai use us buraai se hissa (gunah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne waala hai. (Sura-e-Nisa: 85)

16-09-2017​

​ Jo shakhs (kisi ke liye) koi achchhi sifaarish karta hai us ko us mein se hissa (sawaab) milta hai. (Sura-e-Nisa: 85)

15-09-2017​

​ Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuchh sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire. (Muslim: 7)

JHOOT KI BADBU

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ JHOOT KI BADBU ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai.    - 📔 [Tirmizi: 1972]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​14-09-2017​

Tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hai. (Tirmizi: 1162)

Jab teen Shakhs Sath ho

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Jab teen Shakhs Sath ho ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab teen shakhs saath ho to teesre shakhs ko chor kar Do aapas mein Kaanafusi (chupke se baat) na karey.    - 📔 [Sahih Bukhaari: 6288]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​13-09-2017​

Jis qaum mein zina jaisi buri cheez phail jaati hai, us mein kasrat se maut hone lagti hai. (Moatta Maalik: 1670)

ISHAQ E RASOOL ﷺ

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦  ISHAQ E RASOOL ﷺ ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum me se Koi shakhs us waqt tak (kaamil) momin nahi ho sakta jab tak main us ke nazdeek us ke baap, beitey aur tamaam logon se ziyadah mehbub na ban jaun.    - 📔 [Sahih Bukhaari: 15]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-09-2017​

​ Takabbur karne waala aur bad akhlaaq Jannat mein daakhil nahin hoga. (Abu Daaood: 4801)

ZULM W SITAM

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  ZULM W SITAM   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum Zulm w Sitam karney se bacho ! Kyun ki Zulm w Sitam ki Saza dusri Sazaon ke muqabley me sabsey jaldi milti hai, aur Waaliden ki nafarmani se bacho! Allah ki Qasam ! Waaliden ka nafarman Jannat ki Khushbu bhi nahi paaega, jab ki Jannat ki khushbu ek hazaar saal ki doori se mehsus hoti hai.    - 📔 [Tabrani: 5825]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​11-09-2017​

Maan baap ke saath achchha sulook karo, aur rishtedaaron, yateemon, miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne (ya khade rehne) waale shakhs, musaafir aur apne gulaam baandiyon ke saath bhi (achchha bartaao karo). (Sura-e-Nisa: 36)

Taklif deney Wali Chiz

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Taklif deney Wali Chiz ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Burzah RaziyAllahu Anhu ne Rasoolullah ﷺ se arz kiya: Ya Rasoolullah ! Mujhey koi aisi chiz shikha dijiye jiss se mai faaidah uthata rahun, To Aap ﷺ ne irshaad farmaya: Musalmano ke raastey se taklif deney wali chizon ko hata diya karo.    - 📔 [Sahih Muslim: 6673]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

10-09-2017​

​ Jo shakhs tum par zulm kare, us ko tum maaf karo. (Musnade Ahmad: 17334)

IJAAZAT ZARURI

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦  IJAAZAT ZARURI   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Do aadmiyon ke darmiyaan me un ki ijaazat ke bagair na beitha jaey.    - 📔 [Abu Dawood: 4844]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

09-09-2017​

​ Jo shakhs tum ko mahroom kare, us ko tum do. (Musnade Ahmad: 17334)

08-09-2017​

​ Apne rishtedaaron ke saath achchha sulook karo, agarche woh tum se munh modein. (Musnade Ahmad: 17334)

07-09-2017​

​ Jo shakhs (logon se) maangne ka darwaaza kholta hai, (kamaata nahin hai aur logon se maangta phirta hai) to Allah Ta'ala us par tangi ka darwaaza khol deta hai. (Tirmizi: 2325)

06-09-2017

​ ​Yaqeen rakho ke jo log yateemon ka maal naahaq khaate hain, woh apne pet mein aag bhar rahe hain, aur unhein jald hi ek dahekti huwi aag mein daakhil hona hoga. (Sura-e-Nisa: 10)

Allah Ta'ala Se Dur

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ Allah Ta'ala Se Dur ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke zikr ke alaawah ziyadah baatein na kiya karo, Kyun ki is se dil me sakhti paida hoti hai, Aur logon me Allah Ta'ala se ziyadah dur wo aadmi hai jiska dil sakht ho.      - 📔 [Tirmizi: 2411]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

CHUPEY HUE AIB

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ CHUPEY HUE AIB ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Kisi ke chupey hue aibon ke pichhey na pada karo, kyun ki jo aisa karega, Allah Ta'ala ka muaamla bhi us ke sath waisa hi hoga, jis ke sath Allah Ta'ala ki taraf se ye muaamla hoga to Allah us ko us ke ghar me zaleel kar dega.      - 📔 [Tirmizi: 2032]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

05-09-2017​

​ Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunaah yeh hai ke aadmi kisi aurat se shaadi kare aur phir jab us ji zaroorat poori ho jaaye, to us ko talaaq de de aur maher bhi na de. (Mustadrak: 2743)

04-09-2017​

​ Tum (aurtein) apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha. (Sura-e-Ahzaab: 33)

SHOHAR KA MAQAAM

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ SHOHAR KA MAQAAM ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Tum me se koi apni biwi se zarurat ka taqaza karey, to biwi apney shohar ki zarurat ko pura karey, agarchey wo tannur (chulhey) par (roti bana rahi) ho. - 📔 [Musnad e Ahmed: 16288]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

BEHTARIN BIWI

.🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  BEHTARIN BIWI   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Behtarin biwi wo hai, ke jab shohar usey deikhey to khush ho jaey, aur jab wo (shohar) kisi baat ka hukm karey to us ki ita'at karey.      - 📔 [Nasaai: 3233]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

03-09-2017​

​ Har gunaah se bacho, is liye ke gunnah ki wajah se Allah Ta'ala ka gussa naazil hota hai. (Musnade Ahmad: 22075)

02-09-2017​

​ Aisi koi baat zabaan se na nikaalo, jis ka kal (qayaamat mein) tum ko jawaab dena pade. (Musnade Ahmed: 23498)

01-09-2017

Yateemon ka maal apne maal ke saath mila kar mat khaao, beshak yeh bada gunaah hai. (Sura-e-Nisa: 2)