Posts

Showing posts from October, 2017

​01-11-2017​

Aye Imaan waalo! Muaahadon ko poora karo. (Sura-e-Maaidah: 1)

31-10-2017​

​ Jo shakhs apni zabaan aur sharmgaah ki hifaazat ki zimmedaari le le, main us ke liye Jannat ki zimmedaari leta hoon. (Bukhaari: 6474)

Qayamat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                 *✦  Qayamat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayamat badtareen aadmiyon par hi qaayam hogi.     - 📔 [Sahih Muslim: 7402]    *Must Subscribe:​​​​​​​* goo.gl/z0adZi ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-10-2017​

​ Subah ka sona rizq ko rok deta hai. (Musnade Ahmad: 530)

La ilaha illallah

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄             *✦  La ilaha illallah  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Meri shafaat ka sabse zyaada nafaa uthaane waala woh shakhs hoga jo apne dil ke khuloos ke saath "La ilaha illallah" kahe.     - 📔 [Sahi Bukhaari: 6570]    *Must Subscribe:​​​​​​​* goo.gl/z0adZi ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​29-10-2017​

Rasoolullah (s.a.w.) ko jab chheenk aati, to haath ya kapde se chehra-e-anwar ko dhaank lete aur aawaaz ko past karte the. (Tirmizi: 2745)

Chaar Cheezon par Imaan

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Chaar Cheezon par Imaan ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Koi banda momin nahi ho sakta, jab tak chaar cheezon par Imaan na le aaye. 1) Is baat ki gawahi de ke Allah Ta'ala ke siwa koi zaat ibaadat wa bandagi ke layaq nahin aur Main (Muhammad ﷺ) Allah Ta'ala ka Rasool hoon, unhone mujhe haq dekar bheja hai, 2) Marne par Imaan laaye, 3) Marne ke baad dubaara uthaye jaane par Imaan laye, 4) Taqdeer par Imaan laye.       - 📔 [Tirmizi: 2145]    *Must Subscribe:​​​​​​​* goo.gl/z0adZi ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-10-2017​

​ Koi mard kisi ajnabi aurat ke saath tanhaai mein na baithhe warna un mein teesra shaitaan hota hai. (Tirmizi: 2165)

Apne Bhai ki Haajat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Apne Bhai ki Haajat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu Riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne Irshaad farmaaya: Jo koi apne bhai ki haajat puri karta hai Allah Ta'ala us ki haajat poori farmaate hain.      - 📔 [Abu Dawood: 4893] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​27-10-2017​

Agar faisla karo to logon ke darmiyaan insaaf ke saath faisla karo, yaqeenan Allah Ta'ala insaaf karne waalon se muhabbat karte hain. (Sura-e-Maaida: 42)

Sab se Afzal Amal

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ Sab se Afzal Amal ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Umme Farwah Raziyallahu anha farmaati hain ke Rasoolullah ﷺ se poocha gaya ke sab se afzal amal kya hai? Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Awwal waqt mein namaz padhna.      - 📔 [Abu Dawood: 426] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

26-10-2017​

​ Ziyaada mat hansa karo, is liye ke ziyaada hansi dil ko murda kar deti hai. (Tirmizi: 2305)

Imaan ka Maza

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  Imaan ka Maza   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Huzoor ﷺ ne farmaaya: Imaan ka maza us shakhs ne chakh liya, jis ne Allah ko apna Rab, Islam ko apna Deen aur Muhammad ﷺ ko apna Rasool maan kar khush ho gaya.      - 📔 [Sahi Muslim: 151]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-10-2017​

​ Salaam ko khoob phailaao tum salaamat rahoge aur itraana (akadna) bahot buri aadat hai. (Musnade Ahmad: 18530)

Jannat Aur Dozakh

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ Jannat Aur Dozakh ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Jabir Bin Abdullah Raziyallahu Anhuma se riwaayat hai ke maine Rasoolullah ﷺ ko ye irshaad farmate hue suna: Jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke uske saath kisi ko shareek na tehrata ho, woh jannat mein daakhil hoga aur jo shakhs Allah Ta'ala se is haal mein mile ke woh uske saath kisi ko shareek tehrata ho, woh dozakh mein daakhil hoga.      - 📔 [Sahi Muslim: 270]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

24-10-2017​

​ Jis ne pahaad se ludhak kar khudkushi ki hogi, woh Jahannam mein hamesha hamesh ludhakta rahega. (Bukhaari: 5778)

Takabbur

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  *✦  Takabbur   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Allah ke Nabi ﷺ ka irshaad hai: Woh shakhs Jannat mein nahi jaayega, jis ke dil mein zarrah baraabar bhi takabbur (ghamand) hoga.      - 📔 [Sahi Muslim: 267]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-10-2017​

​ Allah Ta'ala gaali galooch karne waale, be hayaai ki baat karne waale aur baazaar mein cheekh-o-pukaar karne waalon ko pasand nahin farmaata hai. (Al Adabul Mufrad: 310)

​22-10-2017​

Gunaah aur zulm mein kisi ki madad na karo aur Allah se darte raho, beshak Allah ka azaab bada sakht hai. (Sura-e-Maaidah: 2)

Bajamaat Namaaz

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Bajamaat Namaaz   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Ubayy Bin Ka'ab Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasullullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek aadmi ka dusre ke saath bajamaat Namaaz padhna uske akele Namaaz padhne se afzal hai aur teen aadmiyon ka bajamaat Namaaz padhna do aadmiyon ke bajamaat padhne se afzal hai. Isi tarah jamaat ki Namaaz mein majma jitna zyaada hoga utna hi Allah Ta'ala ko zyaada mehboob hai.      - 📔 [Abu Dawood: 554]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​21-10-2017​

Duniya mein jo 2 rukha (munaafiq) hoga, qayaamat ke din us ke munh mein aag ki 2 zabaanein hongi. (Abu Daaood: 4873)

Fajr ki do rakaat Sunnat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Fajr ki do rakaat Sunnat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se riwaayat hai Ke Nabi Kareem ﷺ ne fajr ki do rakaat sunnaton ke baare mein irshaad farmaaya: Ye do rakatein mujhe saari duniya se zyaada mehboob hain.      - 📔 [Sahi Muslim: 1689]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-10-2017​

​ Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta. (Tirmizi: 1954)

Alamaat-e-Qayamat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Alamaat-e-Qayamat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Qayamat ki alamaaton mein se ye hai ke ilm utha liya jayega, jihaalat aajayegi, sharaab (khullam khulla) pijayegi aur zina phail jayega.      - 📔 [Sahi Bukhari: 80]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-10-2017​

​ Jis ne doosron ki koi aisi baat chhup kar suni jis ko woh us se chhupaana chaahte the, to qayaamat ke din aise shakhs ke kaan mein seesa pighla kar daala jaayega. (Tirmizi: 1751)

18-10-2017​

​ Allah Ta'ala us bande par raham farmaaye jo bechne, khareedne aur qarz wusool karne mein narmi ka muaamla kare. (Bukhaari: 2076)

​17-10-2017​

Rasoolullah (s.a.w) ne khaane mein kabhi bhi aib nahin lagaaya; agar chaahte to us ko kha lete aur agar naapsand hota to chhod dete. (Bukhaari: 5409)

Qayamat ke Din

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  Qayamat ke Din   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se riwaayat karte hain ke Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din zameen ko apne qabze mein lengey aur aasmaan ko apne dahine haath mein lapeteingey, phir farmaayeingey ke main hi baadshah hoon, kahan hain zameen ke baadshah?    - 📔 [Sahi Bukhari: 7382]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​16-10-2017​

Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo. (Sura-e-Maaidah: 2)

15-10-2017​

​ Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho. (Muslim: 6680)

Tawajjoh

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                   *✦  Tawajjoh   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Zarr Raziyallahu anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala bande ki taraf us waqt tak tawajjoh farmaate hain jab tak wo namaaz mein kisi aur taraf mutawajjeh na ho. Jab banda apni tawajjoh namaaz se hataa leta hai to Allah Ta'ala bhi usse apni tawajjoh hataa lete hain.     - 📔 [Nasai: 1196]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

14-10-2017​

​ Tum sharaab hargiz mat piyo, is liye ke sharaab tamaam buraaiyon ki jad hai. (Musnade Ahmad: 22128)

Ilm ki Baat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄               *✦  Ilm ki Baat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Jis Shakhs se Ilm ki koi baat poochi jaye aur wo (baawajood jaanne ke) usko chupaye to Allah Ta'ala Qayamat ke din uske muh mein aag ki lagaam daleingey.    - 📔 [Abu Dawood: 3658]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ilm ki Baat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄               *✦  Ilm ki Baat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne Irshaad farmaaya: Jis Shakhs se Ilm ki koi baat poochi jaye aur wo (baawajood jaanne ke) usko chupaye to Allah Ta'ala Qayamat ke din uske muh mein aag ki lagaam daleingey.    - 📔 [Abu Dawood: 3658]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-10-2017​

Chugalkhor Jannat mein daakhil nahin hoga. (Muslim: 303)

Durood Shareef

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  Durood Shareef   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Huzoor ﷺ ne farmaaya: Jo Shakhs mujh par ek dafa Durood padhega, Allah Ta'ala us par 10 rehmatein naazil farmaayeinge aur us ke 10 gunaah maaf kareinge aur us ke 10 darje buland kareinge.    - 📔 [Nasai: 1297]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-10-2017​

​ Jab Allah Ta'ala kisi ghar waalon ke liye bhalaai ka iraada farmaate hain, to un mein narmi paida farma dete hain. (Musnade Ahmad: 24427)

Jab Kisi ko Ghussa Aaye

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Jab Kisi ko Ghussa Aaye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Zarr Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab tum mein se kisi ko ghussa aaye aur wo khada ho to usko chahiye ke baith jaye agar baithne se ghussa chala jaye (to theek hai) warna usko chahiye ke lait jaye.    - 📔 [Abu Dawud: 4782]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

11-10-2017​

​ Agar koi shakhs galati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi be gunaah ke oopar lagaade, to woh bada bhaari bohtaan aur khule gunaah ka bohj apne oopar laad leta hai. (Sura-e-Nisa: 112)

Kisi ko Ghussa Aaye to

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Kisi ko Ghussa Aaye to ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Atiyya Raziyallahu anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ghussa shaitan (ke asar se) hota hai. Shaitan ki paidaish aag se hui hai aur aag paani se bujhayi jaati hai lehaza jab tum mein se kisi ko ghussa aaye to usko chahiye ke wuzu karle.    - 📔 [Abu Dawud: 4784]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

10-10-2017​

​ Jab tum mein se kisi ko gussa aaye aur woh khada ho to baithh jaaye, baithhne se gussa chala jaaye to thheek, warna us ko chaahiye ke let jaaye. (Abu Daaood: 4782)

09-10-2017​

​ Jis qaum mein zina jaisi buri cheez phail jaati hai, us mein kasrat se maut hone lagti hai. (Moatta Maalik: 1670)

Suni sunai bato ko bagair tahqeq

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *Suni sunai bato ko bagair tahqeq *    *ke bayan nahin karna chaahiye* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Huzoor ﷺ ne farmaaya: "Kafaa bilmar'i kaziban ainyyuhaddisa bikulli maa sami'a". *​❧ Tarjama :* Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire. - 📗 [Sahih Muslim: 8] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: "Izaa kazabal 'abdu, tabaa'ada 'anhul malaku meelan min natni maajaa'a bihee" *​❧ Tarjama :* Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai. - 📗 [Tirmizi: 1972]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-10-2017​

​ Woh shakhs Jannat mein nahin jaayega, jis ke dil mein zarra baraabar bhi takabbur hoga. (Muslim: 275)

​07-10-2017​

Jis shakhs mein ahad ki paabandi nahin, us mein Deen nahin. (Shoabul Imaan: 4354)

06-10-2017​

​ Khaao aur piyo aur fuzool kharchi na karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahin karta. (Sura-e-Aaraaf: 31)

Kaon sa Amal behter hain

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Kaon sa Amal behter hain ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Huzoor ﷺ se ek shakhs ne daryaaft kiya ke ya Rasulullah ﷺ kaon sa amal behter hai? Aap ﷺ ne farmaaya: Khaana khilaana aur salaam karna, chaahe tum use pehchaante hoya na pehchaante ho.    - 📔 [Sahih Bukhaari: 12]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

05-10-2017​

​ Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai jis ke akhlaaq ziyaada achchhe hain. (Bukhaari: 3759)

Jis shakhs ne Quran padha.....

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦ Jis shakhs ne Quran padha ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Huzoor ﷺ ne farmaaya ke jis shakhs ne Qur’aan padha, phir us ko zabaani yaad kiya aur us ke halaal ko halaal aur haraam ko haraam jaana to Haq Ta’ala Shaanuhu us ko Jannat mein daakhil farmaaeinge aur us ke gharaane mein se aise das aadmiyon ke baare mein us ki shafa'at qubool farmaaeinge jin ke liye Jahannam waajib ho chuki ho.    - 📔 [Tirmizi: 2905]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

04-10-2017​

​ Allah ki nazar mein sab se achchha ghar woh hai jis mein koi yateem izzat ke saath rehta ho. (Tabraani kabeer: 13434)

Qayamat ki Nishaniyon

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Qayamat ki Nishaniyon ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Anas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ ne farmaya ki Qayamat ki nishaniyon mein se ye bhi hai ki Deen ka ilm utha liya jayega aur jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagengey, mard kam ho jayenge aur aurton ki taadad ziyada ho jayegi, Haalat ye ho jayegi ki 50 aurton ko sanbhalne (khabar lene) wala ek mard hoga..    - 📔 [Sahih Bukhari: 5231]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

03-10-2017​

​ Apni zabaan par qaabu rakho, (fursat ke auqaat mein) apne ghar mein raho, apne gunaahon par Allah ke saamne roya karo. (Tirmizi: 2406)

Jab koi khana khaey

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Jab koi khana khaey ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab tum me se koi khana khaey to usey apni ungliyon ko chaat lena chahiye, Kyunki usey maalum nahi ke us ki kounsi ungli me barkat hain.    - 📔 [Sahih Muslim: 5307]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

02-10-2017​

​ Baap ke saath husne sulook ka aala darja yeh hai ke us ki wafaat ke baad us ke milne julne waalon ke saath achchha sulook kare. (Muslim: 6679)

Paanch Waqt ki Namaz

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Paanch Waqt ki Namaz ✦​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚Hadees:​* Hazrat Abu Hurairah RaziyiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ ne farmaya agar kisi shaksh ke darwazey par Nahar jari ho aur wo rozana usmein paanch baar nahaye to tumhara kya ghuman hai kya uskey badan par kuch bhi mail baqi rah sakta hai sahaba RaziyAllahu Anhuma ne farmaya hargiz nahi Aapney farmaya ki yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai..   - 📔 [Sahih Bukhari: 528]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁