Posts

Showing posts from 2018

04-12-2018

* 04-12-2018 * Munaafiq ki 3nishaaniyaan hain: 1) Jhoot bolna, 2) Waada khilaafi karna, 3) Amaanat mein khayaanat karna. (Bukhaari: 33)

26-11-2018

* 26-11-2018 * Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton se farmaaya ke aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein. (Abu Daaood: 5272)

Allah aur Aakhirat par Imaan

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Allah aur Aakhirat par Imaan ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ๐Ÿ“šHadees: Abu Huraira Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai use chahiye ki achchi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai wo apne Padosi (neighbor) ko takleef na pahunchaye aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par yakeen rakhta ho wo apne mehmaan ki ezzat kare. - ๐Ÿ“” (Sahih bukhari, Vol 7, 6475) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ek Darkht ka   lagaye

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Ek Darkht ka   lagaye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadith:* Anas bin Malik Raziy Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha (small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai.. - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari, Vol 3, 2320) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo ye chahe ki uski rozi bade

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Jo ye chahe ki uski rozi bade ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadith:* Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq) kare. - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari, Vol 7, 5985) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Lambi Umar Allah Ki Neymat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Lambi Umar Allah Ki Neymat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ๐Ÿ“šHadees: "Ek Aadmi ne Pucha 'Ae Allah ke Rasool _(Sal-Allahu-alaihe-wasallam)_ logo me sab se Behtar Aadmi kaun hai, Aap ne farmaya Jiski Zindagi lambi ho aur uska Amal Nek ho, Usne pucha logo me sab se Bura kaun hai, Aap ne farmaya Jis ki Umar lambi ho aur Amal Bura ho" - ๐Ÿ“” (Sunan Tirmizi: 2330) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Cheenkne par Alhamdulillah

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Cheenkne par Alhamdulillah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ๐Ÿ“šHadees: Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala cheenk (sneezing) ko pasand karta hai aur jamaayee (yawning) ko napasand karta hai isliye tum mein se koi shaksh cheenke aur Alhamdulillah (Tamam Taarif ALLAH ke liye hai) kahe to har musalman par haq hai ki jo use sune uska jawab Yarhamukallah se de, jamaayee (yawning) shaitan ki taraf se hoti hai isliye jahan tak ho sake use roke kyonki jab wo munh khol kar Haaaaa kahta hai to shaitan us par hasta hai. - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari: 6223) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Badla

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                    *✦  Badla  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha bayan karti hain ki ALLAH ki Qasam Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi apne zaati Muaamle mein kisi se badla nahi liya, haan magar jab ALLAH ki hurmaton ko toda jata to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ALLAH subhanahu ke liye badla lete they.   - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari: 6786) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Raastey me kaantedaar dali

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Raastey me kaantedaar dali ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Abu Hurairah Raziy allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shaksh raastey par chal raha tha ki usney wahan par kaantedaar dali dekhi usney usey hata diya to allah taala ne uska ye amal Qubul kiya aur uski maghfirat kar di. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari: 2472) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Wuzu krke Namaz ko Jana

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦  Wuzu krke Namaz ko Jana  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya ki jab tum mein se koi shaksh achchi tarah wuzu karke Namaz ke liye nikalta hai to Daayan (right) Qadam uthatey hi Allah Subhanahu uskey liye ek neki likh dete hain aur baayan (left) Qadam rakhtey hi uska Ek gunaah maaf kar detey hain so ab jo chahey (masjid se) Qareeb rahey ya dur rahey, phir jab wo Masjid mein aakar namaz Parhta hai to usko bakhsh diya jata hai, - ๐Ÿ“— (Abu Dawud, Vol 1, 561) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sari Raat Ibaadat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Sari Raat Ibaadat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Usman bin Affan RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh Isha ki Namaz Jamaat se ada karega, wo aisa hai jaisey ki aadhi raat tak ibadat ki, aur jo shaksh Isha aur fajar ki Namaz Jamaat se ada karega to wo aisa hai jaise ki usney Sari raat ibadat mein Guzari.     - ๐Ÿ“— (Tirmizi: 221) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Haya bhi Imaan ka Hissa Hai

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Haya bhi Imaan ka Hissa Hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Salim RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko suna wo apney bhai ko Haya ki naseehat kar raha tha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haya bhi imaan ka hissa hai.   - ๐Ÿ“— (Ibney Majah, Vol 1, 58) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Allah ki khatir Muhabbat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Allah ki khatir Muhabbat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Abu Umama Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshak usne apna imaan mukammal kar liya. - ๐Ÿ“— (Abu Dawud: 4681, 4664) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khwaab

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  *✦  Khwaab  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere naam ke upar apney naam rakhomagar meri kuniyat (abul-Qasim) ikhtiyar na karo aur jis shaksh ne mujhe khwab mein dekha to beshaq usney mujhe dekha kyunki shaitan meri surat mein nahi aa sakta..   - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari: 110) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Hadiya Tohfa

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄               *✦  Hadiya Tohfa  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Jaabir Raziy allahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya Jis Shakhs ko hadiya tohfa diya jaaye, to agar us ke paas badle mein dene ke liye kuchh maujood ho to woh us ko dede aur jis ke paas badle mein tohfa dene ke liye kuchh na ho, to woh (bataur shukriya ke) us ki taareef kare aur us ke haq mein Duaa-e-Khair kahe. Jis  ne aisa kiya us ne shukriya ka haq ada kar diya aur jis ne aisa nahin kiya aur  ehsaan ke muaamle ko chhupaaya, to us ne naashukri ki.    - ๐Ÿ“— (Abu Dawood, 4813) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Safaai Suthraai ka ehtemaam

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Safaai Suthraai ka  ehtemaam  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu kehte hain ke ek din Rasoolullah ๏ทบ hamaare pass tashreef laaye, to Aap ๏ทบ ne wahaan ek shakhs ko dekha jis ke baal paraaganda bikhre huwe the, Aap ๏ทบ ne farmaaya Kya is shakhs ko woh cheez (Kanghi wagaira) mayassar nahin, jis se woh apne baalon ko durust kar le, isi tarah Aap ๏ทบ ne aise shakhs ko dekha jis ke badan par maile kuchaile kapde the, Aap ๏ทบ ne farmaaya: Kya is aadmi ko woh cheez (saaban pani wagaira) mayassar nahin jis se woh apne kapdon ko dho daale.     - ๐Ÿ“— (Abu Dawood, 4062) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Musalmaanon ke raaste se takleefdeh cheez ko hatana

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Musalmaanon ke raaste se*      *takleefdeh cheez ko  hatana  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Abu barza Aslami RaziyAllahu anhu ne huzoor ๏ทบ se arz kiya Ya Rasoolallah! Mujhe koi aisi cheez sikha deejiye, Jis se main faaida uthhaaun. Aap ๏ทบ ne irshaad farmaaya Musalmaanon ke raaste se takleefdeh cheez ko hata diya karo.   - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim, 6839) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Kisi ki b Geebat na kro

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Kisi ki b Geebat na  kro  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *♥Al Quran :* Eh Imaan walon zyada badgumaniyon se bachte raho kyunki kuch guman gunah hain aur jasusi na kiya karo aur na hi ek dusre ki geebat kiya karo kya tum mein se koi ye pasand karta hai ki apne murda bhai ka ghosht khaye? isko tum napasand karoge aur ALLAH se daro beshak ALLAH bada tauba qubul karne wala aur nihayat raham wala hai.. - ๐Ÿ“– {Surah Al-Hujurat (49), Verse 12} *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Huzaifa Raziy allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor (Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega.. - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim, 290, 189) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Geebat Aur bohtan

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Geebat Aur  bohtan   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Abu hurairah Raziy Allahu anhu se rivayat hai Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya Tum jaante ho geebat kya hai? logo ne kaha ki Allah aur uske Rasool ๏ทบ hi khub jante hain, Aap ๏ทบ ne farmaya Geebat ye hai ki tum apne bhai ka zikr is tarah karo ki (agar wo samne hota to) usko bura lagta, logo ne kaha ki Ya Rasoolallah ๏ทบ agar hamare bhai mein wo aib mojud ho to, Aap ๏ทบ ne farmaya wo hi to geebat hai Agar usmein wo mojud na ho to wo bohtan hai. - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim, 6593, 6265) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Gandi baato se bache

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Gandi baato se  bache  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin Mas'ood Raziy Allahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota.    - ๐Ÿ“— (Tirmizi, 1977) *๐Ÿ“ƒ Comment :* Islaam ne zabaan ki hifaazat karne aur us ko galat istemaal se bachaane ka hukm diya hai, Ek sachche pakke momin ki shaan yeh hai ke woh narm mizaaj aur sheereen kalaam karne waala hota hai, us ki zabaan se gandi baatein, gaali galoch aur akhlaaq se gire huwe alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko taana nahin deta aur na woh kisi par laanat karta hai. ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

✦Walidain ke Sath Achha bartao✦​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦Walidain ke Sath Achha bartao✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤Al Quran :* Tumhaare rab ne saaf saaf hukm diya hai ke tum us ke alaawa kisi ki ibaadat na karo aur apne maan baap ke saath achchha bartao karo. Agar woh tumhaare paas hon aur un mein se ek ya donon budhaape ko pahonch jaayein, to unhein "uff" tak na kaho, na unhein jhidko, un se khoob adab se baat karo.   - ๐Ÿ“– {Sura-e-Asra : 23} *๐Ÿ“šHadees :* Ek martaba ek sahaabi RaziyAllahu anhu ne huzoor ๏ทบ se poochha: Ya Rasoolallah! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Aap ๏ทบ ne farmaaya: Woh donon tumhaari Jannat aur dozakh hain. - ๐Ÿ“— (Ibne Maaja: 3662) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Waalidain ko na Satana 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Waalidain ko na Satana ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Aap ๏ทบ ne farmaaya tamaam gunaahon mein se Allah Ta'ala jitna chaahte hain maaf farma dete hain, lekin maan baap ko sataane ka gunaah aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah ke karne waale ko maut se pehle duniya hi ki zindagi mein saza de dete hain.  - ๐Ÿ“— (Sho'abul Imaan, 7890) *๐Ÿ“šHadees :* Aap ๏ทบ ne farmaaya Waalidain ki naafarmaani karne se bacho, kyun ke jannat ki khushbu ek hazaar saal ki doori se mahsoos hoti hai. Allah ki qasam! Waalidain ka naa-farmaan us ki khushbu bhi nahin soongh paayega. - ๐Ÿ“— (Tabraani Ausat, 5664) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jab Juma ka din aata hai 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Jab Juma ka din aata hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jab Juma ka din aata hai to masjid ke har darwaze par farishte khade ho jate hain aur sabse pahle aane wale aur phir uske baad aane walon ka naam No. se likhte jate hain phir jab imam (khutbe ke liye) baith jata hai to farishte apne register band kar lete hain aur zikr (khutba) sunne lag jate hain..   - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari: 3211) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Maan baap ko muhabbbat ki nazar se dekhe

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Maan baap ko muhabbat*                *ki nazar se dekhe   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya Jo farmaanbardaar aulaad apne maan baap ko muhabbat ki nazar se dekhe, to use har nigaah par ek maqbool haj ka sawaab milega. Logon ko bada taajjub huwa, unhon ne poochha: Agar woh din mein sau martaba dekhe (to har martaba maqbool haj ka sawaab milega?). Aap ๏ทบ ne farmaaya: Haan! - ๐Ÿ“— (Sho'abul Imaan, 7856) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Paanch Waqt ki Namaz

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦  Paanch Waqt ki  Namaz   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ๏ทบ ne farmaya agar kisi shaksh ke darwazey par Nahar jari ho aur wo rozana usmein paanch baar nahaye to tumhara kya ghuman hai kya uskey badan par kuch bhi mail baqi rah sakta hai sahaba RaziyAllahu Anhuma ne farmaya hargiz nahi Aapney farmaya ki yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai.. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 1, 528) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo nikah ki taqat na rakhta ho

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Jo nikah ki taqat na rakhta  ho  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Masood RaziyiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ๏ทบ farmaya Eh Naujawano ki jamaat tum mein jisey bhi Nikah karney ki maali taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye kyunki ye nazar ko neechi rakhney wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai aur jo nikah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey kyunki Roza uski khwahishaat-e-nafsani ko tod dega.. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 6, 5066) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

✦Musalmaan ki madad karna

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦Musalmaan ki madad  karna ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ๏ทบ ne farmaya ek musalman dusrey musalman ka bhai hai, isliye us par zulm na karey aur na zulm honeyde. Jo shaksh apney bhai ki jarurat puri karey Allah taala uski jarurat puri karega. Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur karey Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 3, 2442) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qayamat ki Nishaniyon

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Qayamat ki  Nishaniyon  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Anas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ๏ทบ ne farmaya ki Qayamat ki nishaniyon mein se ye bhi hai ki Deen ka ilm utha liya jayega aur jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagengey, mard kam ho jayenge aur aurton ki taadad ziyada ho jayegi, Haalat ye ho jayegi ki 50 aurton ko sanbhalne (khabar lene) wala ek mard hoga.. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 6, 5231) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Muhabbbat Aur bugz

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Muhabbbat Aur  bugz  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ๏ทบ ne farmaya jisney Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi aur jisney unse bugz rakha usney mujhse bugz rakha (yani dushmani rakhi) - ๐Ÿ“— (Ibney Majah, Vol 1, 143) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sunnat  Tareeqa 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦   Sunnat  Tareeqa   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Thumama bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivat hai ki Anas Raziyallahu anhu 2 ya 3 saans mein paani peete the aur kaha karte the ki Rasoolullah ๏ทบ teen saanson mein paani peete they. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 6, 5631) *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Jabir bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki jab hum kisi bulandi par chadhte to “Allahu Akbar” kahte aur jab hum neeche ki aur jaate to “Subhanallah” kahte. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 4, 2993) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sunnat  Tareeqa

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦   Sunnat   Tareeqa    ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ taharat mein, kangha karne mein aur Juta pahnanaye mein Dahine taraf (right side) se pasand farmate the.. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 7, 5854) *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf (Right side) se shuru kare aur Utare to bahine taraf (left Side) se utarey, taki Dahini janib pahanne mein awwal ho aur utarne mein aakhri ho.. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 7, 5855) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Farishte us Aurat par*         *Laanat karte rahte hain

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Farishte us Aurat par*         *Laanat karte rahte  hain  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jab shohar (husband) apni biwi ko apney bistar ki taraf bulaye aur wo aaney se inkaar kar de to farishtey subah tak us par laanat bhejtey hain. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 6, 5193) *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya agar kisi mard ne apni biwi ko apne bistar par bulaya lekin usne aane se inkaar kar diya aur mard us par gussa ho kar so gaya to subah tak farishte us aurat par laanat karte rahte hain. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari, Vol 4, 3237) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jannat Aur Jahananm

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦  Jannat Aur Jahannam  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ se puchha gaya ke kis amal ki wajah se log jannat me ziyadah dakhil hongey? Aap ๏ทบ ne irshaad farmaya: Taqwa (Allah ka darr) aur achchhey akhlaq phir Aap ๏ทบ se puchha gaya ke kis amal ki wajah se log jahannam me ziyadah jaengey? Aap ๏ทบ ne irshaad farmaya: Munh aur sharmgaah (ka ghalat istemaal). - ๐Ÿ“— (Tirmizi, 2004) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Miswaak karna Sunnat 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦  Miswaak karna Sunnat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Huzoor ๏ทบ ne farmaaya Miswaak munh ko bahot ziyaada saaf karne waali aur Allah Ta'ala ko bahot ziyaada khush karne waali cheez hai.   - ๐Ÿ“— (Nasai : 5) *๐Ÿ“š Hadees :* Aap ๏ทบ ka irshaad hai: Chaar cheezein ambiya ki sunnaton mein se hai : Sharm-o-Haya, khushbu lagaana, miswaak karna aur nikaah karna.   - ๐Ÿ“— (Tirmizi : 1080) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Mardo Ka Sona Pahanna 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦ Mardo Ka Sona Pahanna ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne mujhko (mardo ko) sone ki anguthi pahanne se mana farmaya.. - ๐Ÿ“— (Nasai, Vol 3, 1487, 5189) *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Saeed Khudri Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Mulk e Najran ka ek shakhs Rasoolullah ๏ทบ ki khidmat mein hazir hua wo sone ki anguthi pahne huye tha Aap ๏ทบ ne us se apna rukh pher liya aur farma diya ki tum mere paas aag ka shola lekar aaye ho.. - ๐Ÿ“— (Nasai, Vol 3, 1489, 5191) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-10-2018

Duniya mein jo 2 rukha (munaafiq) hoga, qayaamat ke din us ke munh mein aag ki 2 zabaanein hongi. (Abu Daaood: 4873)

Buri aur qaabile nafrat cheez

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Buri aur qaabile nafrat  cheez  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Jaaiz cheezon mein sab se ziyaada buri aur qaabile nafrat cheez Allah ke nazdeek talaaq hai.. - ๐Ÿ“— (Abu Daawood: 2178) *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Saubaan Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Nabiye Kareem ๏ทบ ne farmaaya: Jo aurat bagair sakht majboori ke khud talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai.. - ๐Ÿ“— (Abu Daawood: 2226) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-10-2018

Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta. (Tirmizi: 1954)

19-10-2018

Jis ne doosron ki koi aisi baat chhup kar suni jis ko woh us se chhupaana chaahte the, to qayaamat ke din aise shakhs ke kaan mein seesa pighla kar daala jaayega. (Tirmizi: 1751)

18-10-2018

Allah Ta'ala us bande par raham farmaaye jo bechne, khareedne aur qarz wusool karne mein narmi ka muaamla kare. (Bukhaari: 2076)

Doodh Peene ke baad ki Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Doodh Peene ke baad ki  Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Abbaas Raziyallahu anhu bayaan karte hain ke Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Jise Allah Ta'ala doodh pilaaye to woh yeh dua padhe :                ุงَู„ู„َّู‡ُู…َّ ุจَุงุฑِูƒْ ู„َู†َุง ูِูŠู‡ِ ูˆَุฒِุฏْู†َุง ู…ِู†ْู‡ُ *[Allaahumma baarik lanaa feehi wazidnaa minhu]* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Aye Allah ! Is mein hamaare liye barkat ata farma aur hamein ziyaada ata farma.   - ๐Ÿ“— (Tirmizi: 3455) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Kapda Pehanne ki Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦  Kapda Pehanne ki  Dua   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Muaaz bin Anas Raziyallahu anhu se riwayat ke Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Jis ne kapda pehna phir kaha: ุงَู„ْุญَู…ْุฏُ ู„ِู„َّู‡ِ ุงู„َّุฐِูŠ ูƒَุณَุงู†ِูŠ ู‡َุฐَุง ุงู„ุซَّูˆْุจَ ูˆَุฑَุฒَู‚َู†ِูŠู‡ِ ู…ِู†ْ ุบَูŠْุฑِ ุญَูˆْู„ٍ ู…ِู†ِّูŠ ูˆَู„ุงَู‚ُูˆَّุฉٍ *Alhamdu lillaahillazee kasaani haazas sauba wa razaqaneehi min gairi haulimminnee walaa quwwah.* to us ke agle pichhle gunaah maaf kar diye jaaeinge.. *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne mujhe ye kapda pehnaaya aur meri taaqat-o-quwwat ke bagair mujh ko yeh ata farmaaya.. - ๐Ÿ“— (Abu Dawood : 4023) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khane ke baad ki dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦  Khaane ke Baad Ki Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Saeed khudri Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ๏ทบ jab khaana kha kar faarig hote to yeh dua padhte:     ุงู„ْุญَู…ْุฏُ ู„ِู„َّู‡ِ ุงู„َّุฐِูŠ ุฃَุทْุนَู…َู†َุง ูˆَุณَู‚َุงู†َุง ูˆَุฌَุนَู„َู†َุง ู…ُุณْู„ِู…ِูŠู†َ *Al hamdu lillaahillazi at'amanaa wa saqaanaa wa ja'alanaa muslimeen.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein khilaaya pilaaya aur musalmaan banaaya.. - ๐Ÿ“— (Tirmizi : 3457) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

17-10-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne khaane mein kabhi bhi aib nahin lagaaya; agar chaahte to us ko kha lete aur agar naapsand hota to chhod dete. (Bukhaari: 5409)

16-10-2018

Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo. (Sura-e-Maaidah: 2)

Daawat khane ke baad ki dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Daawat khane ke baad ki  dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Miqdaad Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ๏ทบ ne (Daawat ke mauqe par) yeh dua padhi:         ุงَู„ู„َّู‡ُู…َّ ุฃَุทْุนِู…ْ ู…َู†ْ ุฃَุทْุนَู…َู†ِูŠ ูˆَุงุณْู‚ِ ู…َู†ْ ุณَู‚َุงู†ِูŠ *Allaahumma at'im man at'amanee wasqi man Saqaanee.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Aye Allah ! Jis ne mujhe khilaaya tu us ko Khila aur jis ne mujhe pilaaya tu us ko pila.. - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim : 5483) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Kisi ko Rukhsat karne ki Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Kisi ko Rukhsat karne ki  Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Saalim farmaate hain ke hazrat Abdullah bin umar Raziyallahu anhuma jab koi aadmi safar ka iraada karta hai to us se farmaate ke mujh se qareeb ho jaao taake main aap ko is tarah rukhsat karoon jaise Rasoolullah ๏ทบ ham ko rukhsat farmaate the, phir yeh dua padhte :    ุฃَุณْุชَูˆْุฏِุนُ ุงู„ู„َّู‡َ ุฏِูŠู†َูƒَ ูˆَุฃَู…َุงู†َุชَูƒَ ูˆَุฎَูˆَุงุชِูŠู…َ ุนَู…َู„ِูƒَ ‏ *As-taudiullaaha deenaka wa amaanataka wa khawaateema amalika.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Main aap ka deen aur aap ki amaanat aur aap ke kaamon ka anjaam Allah ke hawaale karta hoon. - ๐Ÿ“— (Tirmizi : 3443) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

15-10-2018

Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho. (Muslim: 6680)

14-10-2018

Tum sharaab hargiz mat piyo, is liye ke sharaab tamaam buraaiyon ki jad hai. (Musnade Ahmad: 22128)

Jab kisi ko naya kapda pehne dekhe to yeh dua de 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Jab kisi ko naya kapda*      *pehne dekhe to yeh dua de ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Nazrah Raziyallahu anhu farmaate hain ke jab Sahaaba-e-kiraam Raziyallahu anhuma naya kapda pahente to un ko yeh dua di jaati :                         ุชُุจْู„ِูŠ ูˆَูŠُุฎْู„ِูُ ุงู„ู„ู‡ُ ‏         *Tublee wa yukhlifullaah.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Tum pehno aur puraana karo, Allah tumhein aur de. - ๐Ÿ“— (Abu Dawood : 4020) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aaina dekhne ki Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Aaina dekhne ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ๏ทบ farmaate the :                ุงู„ู„َّู‡ُู…َّ ุญَุณَّู†ْุชَ ุฎَู„ْู‚ِูŠ ูَุญَุณِّู†ْ ุฎُู„ُู‚ِูŠ *Allaahumma hassanta khalqee fahassin khuluqee.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Aye Allah ! Tu ne meri soorat achchhi banaai hai, pas tu meri seerat bhi achchi bana de.   - ๐Ÿ“— (Ibn-e-Hibban: 989) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-10-2018

Chugalkhor Jannat mein daakhil nahin hoga. (Muslim: 303)

Sawaari pr sawaar honeki dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦Sawaari pr sawaar honeki  dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu anhuma se marwi hai ke Nabi-e-Kareem ๏ทบ jab safar par jaate aur apni sawaari par sawaar hote to teen martaba *"Allaahu Akbar"* kehte phir padhte :              ุณُุจْุญَุงู†َ ุงู„َّุฐِูŠ ุณَุฎَّุฑَ ู„َู†َุง ู‡َุฐَุง ูˆَู…َุง ูƒُู†َّุง               ู„َู‡ُ ู…ُู‚ْุฑِู†ِูŠู†َ ูˆَุฅِู†َّุง ุฅِู„َู‰ ุฑَุจِّู†َุง ู„َู…ُู†ْู‚َู„ِุจُูˆู†َ     *Subhaanal lazee sakhkhara laanaa haazaa wamaa kunnaa lahoo muqrineena wa innaa ilaa rabbinaa lamunqaliboon.* *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Paak hai woh zaat, jis ne is sawaari ko hamaare qabze mein de diya, warna ham isko apne qaabu mein karne waale na the aur bila shuba ham ko hamaare Rab ki taraf laut kar jaana hai.   - ๐Ÿ“— (Muslim, 3339, 3113) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-10-2018

Jab Allah Ta'ala kisi ghar waalon ke liye bhalaai ka iraada farmaate hain, to un mein narmi paida farma dete hain. (Musnade Ahmad: 24427)

Ghar se Nikalte Waqt ki Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Ghar se Nikalte Waqt ki  Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Anas Bin Maalik Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe: ุจِุณْู…ِ ุงู„ู„ู‡ِ ุชَูˆَูƒَّู„ْุชُ ุนَู„َู‰ ุงู„ู„ู‡ِ ู„َุง ุญَูˆْู„َ ูˆَู„َุง ู‚ُูˆَّุฉَ ุฅِู„َّุง ุจِุงู„ู„ู‡ِ *Bismillahi tawakkaltu alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billaah* to us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad ho kar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaise qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho. *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Main Allah ke naam se nikalta hoon, main ne Allah par bharosa kiya, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah ta'ala hi ki taraf se hai. - ๐Ÿ“— (Abu Dawood: 5095)

11-10-2018

Agar koi shakhs galati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi be gunaah ke oopar lagaade, to woh bada bhaari bohtaan aur khule gunaah ka bohj apne oopar laad leta hai. (Sura-e-Nisa: 112)

Ghar mein daakhil hone ki Dua

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Ghar mein daakhil hone ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Maalik Ash'ari Raziyallahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jab aadmi apne ghar mein daakhil ho to yeh dua padhe: ุงَู„ู„ّٰู‡ُู…َّ ุฅِู†ِّูŠ ุฃَุณْุฃَู„ُูƒَ ุฎَูŠْุฑَ ุงู„ْู…َูˆْู„َุฌِ ูˆَุฎَูŠْุฑَ ุงู„ْู…َุฎْุฑَุฌِ ุจِุณْู…ِ ุงู„ู„ู‡ِ ูˆَู„َุฌْู†َุง ูˆَุจِุณْู…ِ ุงู„ู„ู‡ِ ุฎَุฑَุฌْู†َุง ูˆَุนَู„َู‰ ุงู„ู„ู‡ِ ุฑَุจِّู†َุง ุชَูˆَูƒَّู„ْู†َุง ‌‌‌ *"Allaahumma inni as-aluka Khairal maulaji wa khairal Makhraji bismillaahi walajnaa Wa bismillaahi kharajnaa Wa'alallaahi rabbinaa tawakkalnaa"* Phir use chaahiye ke apne ghar waalon ko salaam kare. *๐Ÿ“ƒ Tarjama :* Aye Allah ! Main aap se andar jaane aur baahar nikalne ki bhalaai ka Sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil Hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain, aur ham ne apne Rab Allah hi Par bharosa kiya. - ๐Ÿ“— (Abu Dawood: 5096) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqAB

10-10-2018

Jab tum mein se kisi ko gussa aaye aur woh khada ho to baithh jaaye, baithhne se gussa chala jaaye to thheek, warna us ko chaahiye ke let jaaye. (Abu Daaood: 4782)

09-10-2018

Jo Shakhs tawaazu (aajizi) ikhtiyaar karta hai, Allah Ta'ala us ko izzat wa sarbulandi ata karta hai. (Musnade Bazzaar: 946)

Achche Suluq ka Haqdar

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Achche Suluq ka  Haqdar  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasoolullah ๏ทบ ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ๏ทบ mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai ? farmaya ki tumhari Maa, pucha ki iskey baad kaun hai ? farmaya tumhari Maa, unhoney phir pucha iskey baad kaun hai ? Aap ๏ทบ ne phir farmaya tumhari Maa, unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap ๏ทบ ne farmaya tumharey walid (father). - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari : 5971) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Log jahilon ko sardar bana lenge

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Log jahilon ko sardar bana  lenge * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin 'Amr bin Al' As Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya Allah Ilm ko is tarah se nahi utha lega ki iskey bando se cheen lega balki wo Aalimo ko maut dekar Ilm ko utha lega phir jab koi Aalim baqi nahi rahega to log jahilon ko sardar bana lengey unsey sawalat kiye jayengey aur wo bagair Ilm ke jawab dengey isliye khud bhi gumraah hongey aur logo ko bhi gumraah karengey. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari : 100) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-10-2018

Woh shakhs Jannat mein nahin jaayega, jis ke dil mein zarra baraabar bhi takabbur hoga. (Muslim: 275)

Logon ka Maal Karz ke taur par

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Logon ka Maal Karz ke taur par* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jo logon ka Maal Karz ke taur par ada karney ke niyat se leta hai to Allah Taala bhi uski taraf se ada karega aur jo koi tabah karney ki (yani Na dene ki) niyat se le to Allah Taala bhi usko Tabah kar dega. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari : 2387) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

07-10-2018

Jis shakhs mein ahed ki paabandi nahin, us mein Deen nahin. (Shoabul Imaan: 4354)

Khadim ke Saath Husn e Suluq

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Khadim ke Saath Husn e Suluq * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Anas Raziyallahu anhu ne kaha ki maine Rasoolullah ๏ทบ ki 10 saal tak khidmat ki lekin Aap ๏ทบ ne kabhi mujhe uff tak nahi kaha aur na kabhi ye kaha ki Falah kaam kyun kiya aur falah kaam kyun nahi kiya.. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari : 6038) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

06-10-2018

Khaao aur piyo aur fuzool kharchi na karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahin karta. (Sura-e-Aaraaf: 31)

Bachchon ko bhi Salaam karo

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Bachchon ko bhi Salaam karo * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Anas Bin malik Raziyallahu anhu se rivayat hai ki jab wo bachchon ke pass se guzre to unhone bachchon ko salam kiya aur kaha ki Rasoolallah ๏ทบ bhi aisa hi kiya karte the (yani bachchon ko salam karte they) - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari : 6247) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

05-10-2018

Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai jis ke akhlaaq ziyaada achchhe hain. (Bukhaari: 3759)

04-10-2018

Allah ki nazar mein sab se achchha ghar woh hai jis mein koi yateem izzat ke saath rehta ho. (Tabraani kabeer: 13434)

03-10-2018

Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan: 10722)

Farz Namaaz ko us ke Muqarrarah waqt me ada kre

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *Farz Namaaz ko us ke*      *Muqarrarah waqt me ada  kre * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤ Al Qur'aan :* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Beshak namaaz imaan waalon par waqt ki paabandi ke saath farz hai. - ๐Ÿ“– [Sura-e-Nisa: 103] *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ka irshaad hai: Jis shakhs ki ek bhi namaaz chhoot gai, woh aisa hai jaisa ke us ke ghar ke log aur maal-o-daulat sab chheen liya gaya ho. - ๐Ÿ“— [Musnade Ahmad: 23642] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Behtareen aur Badtareen bande

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Behtareen aur Badtareen bande * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:* Aap ๏ทบ ne farmaaya: Allah ke behtareen bande woh hain jin ko dekh kar Allah yaad aaye aur badtareen bande woh hain jo chugliyaan khaane waale, doston mein judaai dalne waale hain aur jo log is koshish mein lage rehte hain ke paak daaman bandon ko kisi gunaah ya pareshaani aur museebat mein mubtila kar dein.. - ๐Ÿ“— [Musnade Ahmad: 17998] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Suni sunai bato ko bagair tahqeq*    *ke bayan nahin karna chaahiye

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *Suni sunai bato ko bagair tahqeq*    *ke bayan nahin karna chaahiye * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Huzoor ๏ทบ ne farmaaya: "Kafaa bilmar'i kaziban ainyyuhaddisa bikulli maa sami'a". *​❧ Tarjama :* Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire. - ๐Ÿ“— [Sahih Muslim: 8] *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: "Izaa kazabal 'abdu, tabaa'ada 'anhul malaku meelan min natni maajaa'a bihee" *​❧ Tarjama :* Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai. - ๐Ÿ“— [Tirmizi: 1972] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo 40 hadeesein yaad karega

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Jo 40 hadeesein yaad karega * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Allah ke Rasool ๏ทบ ne farmaaya: Jo shakhs meri Ummat ke nafe ke liye chaalees hadeesein yaad karega to us se (Qayaamat ke din) kaha jaayega, Jannat ke jis darwaaze se chaaho daakhil ho jaao. - ๐Ÿ“— [Kanzul Ummal : 29186] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

02-10-2018

Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai. (Tirmizi: 2336)

01-10-2018

Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai. (Mu'atta Maalik: 1670)

Izaar latkaane waalon ki saza

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Izaar latkaane waalon ki saza * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Jo shakhs apna kapda fakhr ke taur par ghaseet kar chalega, to Qayaamat ke din Allah Ta'ala us ki taraf (rahmat ki) nazar nahin farmaayeinge. - ๐Ÿ“— [Bukhaari: 3665] *๐Ÿ“š Hadees :* Huzoor ๏ทบ ka irshaad hai ke momin ka izaar nisf saaq (aadhi pindli) tak hona chaahiye aur takhnon ke darmiyaan ho, to yeh bhi jaaiz hai aur jo is se neeche ho, to woh Jahannam mein hai. Aap ๏ทบ ne yeh baat 3 martaba farmaai. - ๐Ÿ“— [Abu Daawood: 4093] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-09-2018

Pahelwaan woh nahin hai jo saamne waale ko pachhaad de, balke pahelwaan haqeeqat mein woh hai jo gusse ke waqt apne nafs (khud) par qaabu rakhe. (Bukhaari: 6114)

Jis Shakhs ne Nikaah kar liya

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Jis Shakhs ne Nikaah kar liya * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ka irshaad hai: Jis shakhs ne nikaah kar liya, us ne apna aadha Deen mukammal kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe Deen ke baare mein Allah Ta'ala se darta rahe. - ๐Ÿ“— [Shoabul Imaan: 5486] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

29-09-2018

(Qayaamat ke din momin ki) Taraazu mein achchhe akhlaaq se bhaari koi cheez na hogi. (Abu Daaood: 4799)

Raat ko wuzu krke Allah ka zikr

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Raat ko wuzu krke Allah ka zikr * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Muadh ibn Jabal RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jo musalman bhi raat ko wuzu karke Allah ka zikr karte huye sota hai aur jab kisi bhi waqt uski aankh khul jati hai aur phir wo Allah se duniya aur aakhirat ki kisi bhi cheez ka sawal karta hai to Allah subhanahu usey wo cheez zarur ata farmata hai.. - ๐Ÿ“— [Abu Dawood: 1605, 5042] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-09-2018

Jis shakhs mein amaanatdaari nahin, us mein Imaan nahin. (Shoabul Imaan: 4354)

Khana Khilao Aur Salam karo

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Khana Khilao Aur Salam karo * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin Amr RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasoolullah ๏ทบ se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya khana khilao aur salam karo use jise tum pahchante ho use bhi aur jise tum nahi pahchante ho use bhi. - ๐Ÿ“— [Sahih Bukhari : 6236] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

27-09-2018

(Musalmaano!) Jab tum logon ke darmiyaan faisla karo to insaaf ke saath faisla karo. (Sura-e-Nisa: 58)

Ek harf ke badle Ek Neki

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​​ Ek harf ke badle Ek Neki ✦​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin Masood RaziyAllahu anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Allah Ta‘ala ki kitaab ka ek harf padhe us ke liye ek harf ke badle ek neki hai. Aur ek neki ka ajr das neki ke baraabar milta hai. Main yeh nahin kehta ke saara "Alif Laam Meem" ek harf hai, balke alif ek harf hai, laam ek harf hai aur meem ek harf hai (Yaani teen huroof huwe is par tees nekiyaan mileingi).   - ๐Ÿ“— [Tirmizi : 2910] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

26-09-2018

(Islaam mein behtareen cheez yeh hai ke) Tum (logon ko) khaana khilaao, aur har ek ko salaam karo, jis ko tum pehchaante ho aur jis ko tum nahin jaante. (Bukhaari: 6236)

Ehsaan krne walo ko ye dua de​​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *​​Ehsaan krne walo ko ye dua de​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Aap ๏ทบ ne farmaaya ke jis aadmi par kisi ne koi ehsaan kiya aur us ne ehsaan karne waalon ko yeh dua di:                          ุฌَุฒَุงูƒَ ุงู„ู„ู‡ُ ุฎَูŠْุฑًุง "Jazaakallaahu khairaa" (yaani Allah Ta'ala aap ko is ka behtar badla ata farmaaye), to us ne us shakhs ki poori taareef kar di.   - ๐Ÿ“— [Tirmizi : 2035] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-09-2018

3 cheezein aadmi ko halaak karne waali hain: 1) Nafs ki khwaahishaat par chalna, 2) Laalach wa kanjoosi ko aadat bana lena, 3) Aadmi ka khud ko behtar samajhna, aur yeh aadat in teenon mein bad tareen aadat hai. (Shoabul Imaan: 7252)

Zikr aur Durud wali Majlis​​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *​​Zikr aur Durud wali Majlis​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jis majlis (mehfil) mein ALLAH subhanahu ka zikr na kiya jaye aur Rasoolullah ๏ทบ par durud na bheja jaye us majlis wale nuqsan mein hai, Ab agar Allah chahe to unhe azab de aur chahe to unhe bakhs de.   - ๐Ÿ“— [Tirmizi : 1304, 3380] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

24-09-2018

Hamesha sach bolo, chaahe us mein nuqsaan nazar aaye, kyun ke sachchaai mein najaat hai. (Makaarimul Akhlaaq: 137)

Qabr ki Aazmayesh se Mehfooz​​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *​​Qabr ki Aazmayesh se Mehfooz​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi (achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAH usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega.   - ๐Ÿ“— [Ibn Majah : 924, 2767] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-09-2018

Jo banda kisi ko (badla lene par qudrat ke baawajood) maaf kar deta hai, Allah is ke badle us ki izzat badha deta hai. (Muslim: 6757)

Jo log taswer (morti) bnaty hai

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *​​​​Jo log taswer (morti) bnaty hai * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin Umar RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya Jo log tasweer banatey hain unhey Qayamat ke din Azab kiya jayega aur unsey kaha jayega ki jisko tumney banaya hai usmein ab jaan bhi daalo. - ๐Ÿ“— [Sahih Bukhari : 5951] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

22-09-2018

Aapas mein ek doosre ka maal na haq tareeqon se na khaao. (Sura-e-Baqarah: 188)

Asmaa-e-Husna 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦ ​​​​​​ Asmaa-e-Husna  ✦​​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤ Al Quraan :* Allah Ta'ala ke achchhe achchhe naam hain tum in naamon se use pukaaro. - ๐Ÿ“– [Sura-e-A’araaf: 180] *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya : Be shak Allah Ta'ala ke ninaanve naam hain, jo Allah Ta'ala ke in naamon ko yaad karega, Jannat mein daakhil hoga. - ๐Ÿ“— [Sahih Muslim: 6986] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-09-2018

Tum apne kisi bhai se jhagda na karo aur na us se mazaaq karo (jis se us ko takleef ho) aur us se aisa waada na karo jis ko poora na kar sako. (Tirmizi: 1995)

Badey (Kabira) Gunaah

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦​ ​​​​Badey (Kabira) Gunaah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Anas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ se badey (kabira) gunahon ke baarey mein pucha gaya to Aap ๏ทบ ne farmaya: (1) Allah ke saath kisi ko Sharik karna, (2) Waaldein ki nafarmani karna, (3) Kisi ki jaan lena, (4) Aur Jhooti gawahi dena. - ๐Ÿ“— [Sahih Bukhari : 2653] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-09-2018

Jo jawaan bhi kisi boodhe shakhs ki us ke budhaape ki wajah se izzat karta hai, to Allah Ta'ala us jawaan ke budhaape ke waqt kisi aise shakhs ko mutayyan kar deta hai jo us ki izzat karta hai. (Tirmizi: 2022)

9 Aur 10 Muharram ka Roza

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *9 Aur 10 Muharram ka Roza* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees:​* Hazrat Abu Qatada al-Ansari RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ se Ashura (10 Muharram) ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap ๏ทบ ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai.. - ๐Ÿ“— (Muslim, Vol 3, 2747, 2528) *​๐Ÿ“š Hadees:​* Hazrat Abdullah Bin Abbas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolullah ๏ทบ Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz kiya Ya RasoolAllah ๏ทบ ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap ๏ทบ Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Insha-Allah Hum 9 ka Roza Rakhege, Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap ๏ทบ Duniya se wafat pa gaye.. - ๐Ÿ“— (Muslim, Vol 3, 2666, 2603) *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-09-2018

Tum mein bad tareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed na karein aur us ke shar se mehfooz na hon. (Tirmizi: 2263)

Imaan ki Halaawat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​ ​​​​ Imaan ki Halaawat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Imaan ki halaawat us ko naseeb hogi jis ke andar yeh baatein hongi. (1) Allah aur us ke Rasool ki muhabbat tamaam maasiwa se ziyaada ho. (2) Jis aadmi se us ko muhabbat ho sirf Allah ke liye ho. (3) Imaan ke baad kufr ki tarf palatne se us ko aisi hi aziyat aur takleef hoti ho jaisi ke aag mein daale jaane se hoti hai. - ๐Ÿ“— [Sahih Bukhari : 16] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

18-09-2018

Tum mein behtareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed karein aur us ke shar se mehfooz hon. (Tirmizi: 2263)

17-09-2018

Jo shakhs koi buri sifaarish karta hai use us buraai se hissa (gunnah) milta hai aur Allah har cheez par nazar rakhne waala hai. (Sura-e-Nisa: 85)

Dua-o-Sunnat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄             *✦​ ​​​​ Dua-o-Sunnat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Allah ke Rasool ๏ทบ ne farmaaya: Allah Ta'ala ke yahaan sab se ziyaada pasandeeda amal dua hai. - ๐Ÿ“— [Mustadrak: 1801] *๐Ÿ“š Hadees :* Allah ke Rasool ๏ทบ ne farmaaya: Jis ne meri Ummat mein bigaad ke waqt meri sunnat ko mazbooti se pakda, to us ke liye Shaheed ka sawaab hai. - ๐Ÿ“— [Mu'ajam-e-Kabeer: 1320] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Dikhawe ke liye Sone ka Zewar

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Dikhawe ke liye Sone ka Zewar * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Huzoor ๏ทบ ne farmaaya ke aye Aurto! Kya chaandi ke zewar se tumhaari tumhaari zeenat ka kaam nahin chal sakta. Khabardaar! Tum mein se jo aurat dikhaawe ke liye sone ka zewar pahenegi us ki wajah se zaroor us ko azaab diya jaayega. - ๐Ÿ“— [Abu Dawood: 4237] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

16-09-2018

Jo shakhs koi achchhi sifaarish karta hai us ko us mein se hissa (sawaab) milta hai. (Sura-e-Nisa: 85)

Maut ke baad ka afsos

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Maut ke baad ka afsos ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba Raziyallahu anhuma ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ๏ทบ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega..   - ๐Ÿ“— [Tirmizi : 2403] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

15-09-2018

Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh jo kuchh sune (bila tahqeeq) use bayaan karta phire. (Muslim: 7)

Qubuliyat k Yaqin k sath dua​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Qubuliyat k Yaqin k sath dua​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ๏ทบ ka ye irshad naqal farmate hain: Allah Ta'ala se Qubuliyat ke Yaqeen ke saath Dua maanga karo aur Jaan lo ke Allah Ta'ala gaflat aur laparwahi me pade hue Dil ke saath Dua qubool nahi farmate.   - ๐Ÿ“— [Tirmizi : 3479] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

14-09-2018

Tum mein sab se achchhe woh log hain, jo apni biwiyon ke saath achchha bartaao karte hai. (Tirmizi: 1162)

Jab Banda Beemar hota hai​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Jab Banda Beemar hota hai​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya ki jab banda beemar hota hai ya safar karta hai to uske liye un tamam ibadaton ka sawab likha jata hai jinhe Sehat ke waqt apne ghar mein kiya karta tha..   - ๐Ÿ“— [Sahih Bukhari: 2996] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jisne apne kisi bhai pr zulm kiya​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Jisne apne kisi bhai pr zulm kiya​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jisne apne kisi bhai par zulm kiya ho to use chahiye ki is se (duniya mein) maaf kara le, kyunki aakhirat mein dinar aur diraham (Rupye paisey) nahi honge, is se pahle (maaf karwa le warna) uske bhai ke liye uski nekiyon mein se haq dilaya jayega aur agar uske paas nekiya nahi hongi to us (mazlum) bhai ki buraeeyan us par daal di jayegi.   - ๐Ÿ“— [Sahih Bukhari: 6534] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-09-2018

Jis qaum mein zina jaisi buri cheez phail jaati hai, us mein kasrat se maut hone lagti hai. (Moatta Maalik: 1670)

12-09-2018

Takabbur karne waala aur bad akhlaaq Jannat mein daakhil nahin hoga. (Abu Daaood: 4801)

11-09-2018

Maan baap ke saath achchha sulook karo, aur rishtedaaron, yateemon, miskeenon, qareeb waale padoosi, door waale padoosi, paas baithhne (ya khade rehne) waale shakhs, musaafir aur apne gulaam baandiyon ke saath bhi (achchha bartaao karo). (Sura-e-Nisa: 36)

Milte aur Juda hote waqt Salam​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Milte aur Juda hote waqt Salam​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jab tum mein se koi majlis mein pauche to unhe salam kare aur phir agar waha baithna ho to baith jaye aur jab (jane ke liye) khada ho to phir salam kare.   - ๐Ÿ“— [Tirmizi: 602, 2706] *​๐Ÿ“ฒDownload App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁