Posts

Showing posts from January, 2018

​01-02-2018​

Achchhe akhlaaq gunaahon ke asraat ko is tarah mita dete hain, jis tarah sooraj ki garmi jame huwe shabnam ko pighla deti hai. (Tabraani Kabeer: 10777)

31-01-2018​

​ Bure akhlaaq amal is tarah kharab kar dete hain, jis tarah sirka shahad ko kharaab kar deta hai. (Tabraani Kabeer : 10777)

​30-01-2018​

Jab aadmi apni biwi ko paani pilaata hai to us par bhi sawaab diya jaata hai. (Musnade Ahmad: 17155)

29-01-2018​

​ Jis shakhs ne apne bhai ko kisi aise gunaah par sharminda kiya jis se woh tauba kar chuka tha, to woh us waqt tak na marega jab tak ke woh us gunaah ko na kar lega. (Tirmizi: 2505)

28-01-2018​

​ Tum paani choos choos kar piyo aur gataagat na piyo, is ki wajah se jigar ki beemaari hoti hai. (Sunane kubra: 15055)

27-01-2018​

​ Sab se ziyaada barkat waala nikaah woh hai jis mein kharcha kam se kam ho. (Musnade Ahmad: 24529)

26-01-2018​

​ Allah yaqeenan tawakkul karne waalon se muhabbat karta hai. (Sura-e-Aal-e-Imraan: 159)

​25-01-2018​

Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne bura kiya to yaqeenan tum ne bura kiya. (Moajame Ausat: 2982)

Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya:

*رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:* *’’جوشخص اللہ اور آخرت کے دن پر ایمان رکھتا ہو، اُسے چاہیے کہ اپنے پڑوسی کو تکلیف نہ دے ۔‘‘*(بخاری:۶۰۱۸) *Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya :* *“ Jo Shakhs Allah Aur Aakherat Ke Din Par Imaan Rakhta Ho, Use Chaahiye Ke Apne Padosi Ko Takleef Na De.”*[BUKHARI : 6018] *Download Our App* https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

24-01-2018​

​ Jab tum apne padosiyon ko yeh kehte huwe suno ke tum ne achchha kiya to yaqeenan tum ne achchha kiya. (Moajame Ausat: 2982)

Qur’aan Me Allah Ta’aala Farmaata Hai:

*قرآن میں اللہ تعالٰی فرماتا ہے:* *’’ غربت (تنگدستی)کی وجہ سے اپنے بچوں کو قتل نہ کرو۔ہم تمھیں بھی رزق دینگے،اور اُن کو بھی۔‘‘*(ماخوذازسورۂ انعام: ۱۵۱) *Qur’aan Me Allah Ta’aala Farmaata Hai :* *“ Gurbat (Tangdasti) Ki Wajah Se Apne Bachchon Ko Qatl Na Karo. Ham Tumhen Bhi Rizq Denge, Aur Un ko Bhi”* 📓 [Makooz az Sura-e-An’aam-151]

23-01-2018

Kisi naabeena ya kamzor nigaah waale ko raasta dikhaana sadqa hai. (Tirmizi: 1956)

​22-01-2018​

Jis se kisi muaamle mein mashwarah kiya jaaye, woh us mein ameen (amaanatdaar) hai, (lihaaza amaanat-daari ke saath mashwarah do). (Tirmizi: 2822)

21-01-2018​

​ Neki aur buraai baraabar nahin hoti, is liye tum buraai ka jawaab aise tareeqe se do jo behtareen ho. Nateeja yeh hoga ke tujh mein aur jis mein dushmani thi, woh dekhte hi dekhte (tumhaara) jigri dost ban jaayega. (Sura-e-Haa Meem Sajdah: 34)

20-01-2018

Ek saath khaana khaao aur us par Allah ka naam le liya karo, is mein tumhaare liye barkat hogi. (Abu Daaood: 3764)

19-01-2018​

​ Allah ki razaamandi maan baap ki razaamandi mein hai aur Allah ki naaraazgi maan baap ki naaraazgi mein hai. (Tirmizi: 1899)

18-01-2018​

​ Tum achchhi tarah baat karne aur khaana khilaane ko laazim pakdo, tumhaare liye Jannat waajib ho jaayegi. (Mustadrak: 61)

17-01-2018​

​ Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan: 10722)

16-01-2018​

​ (Logon ke saath) neki karo, beshak Allah neki karne waalon se muhabbat karta hai. (Sura-e-Baqarah: 195)

15-01-2018​

​ Bakheel Allah se door, Jannat se door, logon se door hota hai aur Jahannam se qareeb hota hai. (Tirmizi: 1961)

14-01-2018​

​ Jis shakhs ke paas us ka musalmaan bhai galti ki maafi ke liye aaye aur woh us ke uzr ko qubool na kare, woh mere hauz par nahin pahonch sakega. (Mustadrak: 7258)

​13-01-2018​

Tum logon ki aurton se door raho, tumhaari aurtein bhi mehfooz rahengi. (Mustadrak: 7258)

12-01-2018

Apne waalidain ke saath achchha sulook karo, tumhaari aulaad bhi tumaare saath achchha sulook karegi. (Mustadrak: 7258)

11-01-2018

(Musalmaano!) Yaqeenan Allah tumhein hukm deta hai ke tum amaanatein un ke haqadaaron tak pohnchaao. (Sura-e-Nisa: 58)

10-01-2018​

​ Aadmi apne dost ke Deen (taur wa tareeqa aur akhlaaq) par chalta hai, is liye har ek ko gaur wa fikr karna chaahiye ke us ka milna julna kaise logon ke saath hai? (Abu Daaood: 4833)

​09-01-2018​

(Agar kisi se milne jaao to andar daakhil hone se pehle) 3 martaba ijaazat maango, agar ijaazat mil jaaye to theek hai, warna waapas laut jaao. (Muslim: 5753)

​08-01-2018​

Main aur yateem ki parwarish karne waala Jannat mein is tarah qareeb honge jaise shahaadat ki ungli aur beech waali ungli qareeb hai. (Bukhaari: 6005)

​07-01-2018​

Agar tujh mein 4 cheezein hon to duniya ki kisi cheez ke na hone ka afsos nahin hona chaahiye. 1) Amaanat ki hifaazat, 2) Baat mein sachchaai, 3) Achchhi aadat, 4) Paakeezah rozi. (Shoabul Imaan: 4801)

​06-01-2018​

Aur un (aurton) ke saath bhale andaaz mein zindagi basar karo. (Sura-e-Nisa: 19)

05-01-2018​

​ Sab se behtareen sadqa aapas mein sulah kara dena hai. (Musnade Shihaab: 1280)

04-01-2018​

​ Tum qayaamat ke din apne aur apne baap ke naam se pukaare jaaoge, is liye achchhe naam rakha karo. (Abu Daaood: 4948)

03-01-2018​

​ Rishtedaari ko todne waala Jannat mein daakhil nahin hoga. (Muslim: 6684)

02-01-2018​

​ Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan: 10722)

IBAADAT PAR IN'AAM

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ IBAADAT PAR IN'AAM ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala farmatey hai, Aey ibney Aadam ! Tu meri ibaadat ke liye faarigh hoja, Main terey siney ko ghina (मालदारी) se bhar dunga, Aur teri mohtaji ko khatm kar dunga, Aur agar aisa nahi karega, To mai tere siney ko mashghuli se bhar dunga, Aur teri mohtaji ko dur nahi karunga.    - 📔 [Tirmizi: 2466] *Subscribe Kare​👇🏻​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​* Youtube.com/IslamicGroupAk ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁