Posts

Showing posts from February, 2018

01-03-2018​

​ Jo bhi bura amal karega, woh us ki saza paayega. (Sura-e-nisaa: 123)

28-02-2018

Tum log qarz lena kam kardo, aazaadi ke saath zindagi guzaaroge. (Shoabul Imaan: 5557)

27-02-2018​

​ Jab kisi gunehgaar ki taareef ki jaati hai, to Allah Ta'ala gussa hota hai aur arsh kaanp uthhta hai. (Shoabul Imaan: 4886)

26-02-2018

Aye Imaan waalo! Aapas mein ek doosre ke maal naahaq tareeqe se mat khaao, magar jo maal aapas ki razaamandi se ki huwi khareed-o-frokht se haasil ho. (Sura-e-Nisa: 29)

Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya :

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’نیکیوں میں بہترین نیکی یہ ہے کہ* *آدمی اپنے والد کے دوستوں کے ساتھ اچھا برتاؤکرے‘‘* (ترمذی:۱۹۰۳) Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya : *“Nekiyon Me Behtareen Neki Yeh Hai Ke* *Aadmi Apne Waalid Ke Doston Ke Saath Achcha Bartaao Kare.”* [ TIRMIZI:1903 ]

25-02-2018

Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ko ajr ata farmaayega. (Sahih Ibne Khuzaima: 1292)

24-02-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam jab kisi ke yahaan tashreef le jaate to darwaaze ke saamne khade na hote, balke daaein baaein khade hote aur farmaate: As salaamu alaikum, As salaamu alaikum (Abu Daaood: 5186)

23-02-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam is baat ko pasand nahin farmaate the ke as'haab (saathiyon) ki majlis mein khushbu lagaaye bagair tashreef le jaaein. (Subulul Huda War Rashaad: 7/337)

22-02-2018​

​ Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan: 10722)

​21-02-2018​

Aur aurtein doosri aurton ka mazaaq na udaaein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) un se (mazaaq udaane waaliyon se) behtar hon. (Sura-e-Hujuraat: 11)

20-02-2018

Rasoolullah (s.a.w.) peene waali cheezon ko 3 saans mein peete the; is tarah peene se itminaan haasil hota hai, takleef aur beemaari se hifaazat hoti aur woh cheez khoob hazam ho jaati hai. (Muslim: 5406)

Zikr Karte Waqt Khaof-e-Khuda Se Rona*

*ذِکر کرتے وقت خوفِ خدا سے رونا* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سات آدمیوں کو قیامت کے دن سایہ نصیب ہوگا (اُن میں سے ایک) وہ شخص ہے جو تنہائی میں اللہ کا ذِکر کرتے ہوئے رو پڑے۔(بخاری:۶۶۰) *Zikr Karte Waqt Khaof-e-Khuda Se Rona* Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya : 7 Aadmiyon Ko Qayaamat Ke Din Saayah Naseeb Hoga (Un Me Se Ek) Woh Shakhs Hai Jo Tan’haayi Me Allah Ka Zikr Karte Huye Ro Pade.[ BUKHARI : 660]

19-02-2018​

​ Allah Ta'ala pareshaan haal ki madad ko pasand farmaate hain. (Shoabul Imaan: 7657)

18-02-2018​

​ Rasoolullah (s.a.w) ne aise logon ki daawat khaane se mana farmaaya hai jo ek doosre par apni shaan oonchi dikhaane ke liye khilaate hain. (Abu Daaood: 3754)

17-02-2018​

​ Aye logo! Allah Ta'ala se daro, aur rozi talaash karne mein neki aur parhezgaari ka tareeqa ikhtiyaar karo aur rozi milne mein kuchh der ho jaana tumhein haraam tareeqa ikhtiyaar karne par majboor na kar de. (Shoabul Imaan: 10376)

16-02-2018​

​ Momin mardon se keh do ke woh apni nigaahein neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein. Yahi un ke liye paakeezah tareen tareeqa hai. (Sura-e-Noor: 30)

14-02-2018

Naap tol mein kami karne waale log qahat saali (baarish ka na hona), pareshaaniyon aur baadshaah ke zulm ke shikaar ho jaate hain. (Ibne Maaja: 4019)

15-02-2018​

​ Aadmi ka apne bachche ko achchhe akhlaaq sikhaana ek saa (weight) sadqa karne se behtar hai. (Tirmizi: 1951)

13-02-2018​

​ Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunaah yeh hai ke aadmi kisi se kaam le aur us ko us ki mazdoori na de. (Mustadrak: 2743)

12-02-2018​

​ Jo dokha de woh ham mein se nahin. (Tirmizi: 1315)

11-02-2018​

​ Aye Imaan waalo! Apne gharon ke alaawa doosre gharon mein us waqt tak daakhil na ho jab tak ijaazat na le lo aur us mein basne waalon ko salaam na kar lo, yahi tareeqa tumhaare liye behtar hai, ummeed hai ke tum khayaal rakhoge. (Sura-e-Noor: 27)

10-02-2018​

​ Hazrat Ibrahim (a.s) par Allah ne wahi naazil farmaai ke achchhe akhlaaq ka bartaao karo, chaahe kaafiron (gair muslimon) ke saath hi kyun na ho, nek logon ke maqaam (Jannat) mein daakhil ho jaaoge. (Moajame Ausat: 6506)

09-02-2018​

​ Jo shakhs is baat ko pasand kare ke log us ki izzat ke liye khade hon to woh apna thhikaana Jahannam mein bana le. (Tirmizi: 2755)

Jum’ah Ke Din Afzal Namaaz

*جمعہ کے دن افضل نماز* *رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:* *’’بے شک اللہ کے نزدیک  افضل نماز جمعہ کے دن صبح کی نماز جماعت کے ساتھ پڑھنا ہے۔‘‘* (شعب الیمان :۲۷۸۳) *Jum’ah Ke Din Afzal Namaaz * *Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya :* *“ Be Shak Allah Ke Nazdeek Afzal Namaaz Jum’ah Ke Din Subah Ki Namaaz Jamaa’at Ke Saath Padhna Hai.”*[ Sho’ab-ul-Imaan : 2784] Download Our Application https://play.google.com/store/apps/details?id= com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

Qur’aan Me Allah Ta’aala Farmaata Hai:

*قرآن میں اللہ تعالٰی فرماتا ہے:* *’’اے ایمان والو! اللہ سے ڈرو،اور ہر شخص یہ دیکھے کہ اُس نے کل کے لیے کیا آگےبھیجا ہے۔ اور اللہ سے ڈرو۔یقین رکھو کہ جوکچھ تم کرتے ہو، اللہ اُس سے پوری طرح باخبر ہے۔*(سورۂ حشر: ۱۸) *Qur’aan Me Allah Ta’aala Farmaata Hai :* *Aye Imaan Waalo ! Allah Se Daro , Aur Har Shakhs Yeh Dekhe Keh Us Ne Kal Ke Liye Kiya Aage Bheja Hai. Aur Allah Se Daro. Yaqeen Rakho Keh Jo Kuch Tum Karte Ho, Allah Us Se Poori Tarah Baa Khabar Hai.*[Sura-e-Hashr-18]

08-02-2018​

​ Tum apni aulaad ki tarah apne maatahaton (naukar chaakar) aur yateemon ke saath achchha sulook karo aur jo tum khaate ho un ko bhi khilaao. ( Ibne Maaja: 3691 )

07-02-2018​

​ 2 mard ek saath aur 2 aurtein ek saath ek hi lihaaf (chaddar aur bistar) mein (bagair kapda pehne) na letein. ( Muslim: 794 )

​06-02-2018​

3 cheezon ko waapas nahin karna chaahiye: 1) Takiya, 2) Itr, 3) Doodh. (Tirmizi: 2790)

05-02-2018​

​ Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan: 10722)

Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya:

قال النبی صلی اللہ علیہ وسلم : *اَلطَّاعِمُ الشَّاکِرُ بِمَنْزِلَۃِ الصَّائِم* نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’ کھاکرشکربجا لانےوالا صبرکرنےوالےروزہ دار کی طرح ہے۔‘‘*(ترمذی:۲۴۸۶) Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya: *“ Khaa Kar Shukr Baja Laane Wala Sabr Karne Wale Rozedaar Ki Tarah Hai. ”*[RIRMIZ : 2486]

04-02-2017​

​ Ek doosre se dushmani na rakho aur ek doosre se hasad na karo. (Muslim: 6690)

​03-02-2018​

Jo shakhs apne biwi bachchon aur khaandaan waalon par kharch karta hai, to us ko sadqa karne ka sawaab milega. (Tabraani Ausat: 3897)

02-02-2018​

​ Jo aurat bila wajah apne shohar se talaaq maange, us par Jannat ki khushbu haraam hai. (Abu Daaood: 2226)