Posts

Showing posts from March, 2018

Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne

*رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:* *’’جوآدمی اس حال میں انتقال کر جائے کہ وہ تکبر،خیانت اور قرض سے بری ہو،توجنت میں داخل ہوگا۔‘‘*(ترمذی:۱۵۷۲) *Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne :* *“Jo Shakhs Is Haal Me Inteqaal Kar Jaaye Ke Woh Takabbur, Khayaanat Aur Qarz Se Bari Ho, To Woh Jannat Me Daakhil Hoga.”*[TIRMIZI : 1572]

31-03-2018

Yaqeenan aadmi gunaahon ki wajah se rizq se mahroom kar diya jaata hai. (Musnade Ahmad: 22413)

30-03-2018

Woh shakhs bada achchha insaan hai jo apne ilm par amal kare aur apne zaaid maal ko (mohtaajon par) kharch kare aur be faaida guftagu se ruka rahe. (Shoabul Imaan: 3388)

29-03-2018​

​ 2 gunaah aise hain jin ki saza Allah Ta'ala duniya hi mein jaldi de dete hain; 1) Zulm, 2) Waalidain ki naafarmaani. (Jaamiul Ahaadees: 583)

28-03-2018​

​ Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal ke mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge. (Sura-e-Nahl: 97)

27-03-2018

Naahaq faisla karne waala qaazi (Judge) Jahannam mein jaayega. (Abu Daaood: 3573)

26-03-2018

Haq ke mutaabiq faisla karne waala qaazi (Judge) Jannat mein jaayega. (Abu Daaood: 3573)

25-03-2018

Logon mein bura aadmi woh hai jise gussa jaldi aaye aur der se chala jaaye. (Tirmizi: 2191)

24-03-2018

Logon mein achchha aadmi woh hai jise gussa der se aaye aur jaldi chala jaaye. (Tirmizi: 2191)

23-03-2018

Sab se ziyaada barkat waala nikaah woh hai jis mein kharcha kam se kam ho. (Musnade Ahmad: 24529)

Khutbah Ke Daoraan Khaamoosh Rehne Ki Targeeb

*خطبہ کے دوران خاموش رہنے کی ترغیب* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’جمعہ کے دن امام کے خطبہ کے دوران اگر تم نے اپنے ساتھی سے یہ بھی کہا کہ ’’خاموش رہو‘‘تب بھی تم نے غلطی کی۔‘‘* (بخاری :۹۳۴) *Khutbah Ke Daoraan Khaamoosh Rehne Ki Targeeb * Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya : *“Jum’ah Ke Din Imaam Ke Khutbah Ke Daoraan Agar Tum Ne Apne Saathi Se Yeh Bhi Kaha Ke ”Khaamoosh Raho” Tab Bhi Tum Ne Galati Ki.”* [ BUKHARI : 934]

​22-03-2018​

Sab se ziyaada Jahannam mein le jaane waali cheez pet aur sharmgaah hai. (Ibne Maaja: 4246)

21-03-2018

Tum apni qasmon ko aapas mein fasaad daalne ka zariya na banao. (Sura-e-Nahl: 94)

20-03-2018​

​ Sab se ziyaada Jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain. (Ibne Maaja:4246)

19-03-2018

Raaste par baithhne ka haq yeh hai ke nigaah neechi rakho, salaam ka jawaab do, neki ka hukm karo aur bure kaamon se roko. (Bukhaari: 2465)

18-03-2018​

​ Kisi par Allah ki laanat na bhejo aur na us ke gazab ki bad dua do aur na hi dozakh ki bad dua do. (Abu Daaood: 4906)

17-03-2018

Jab aadmi koi baat bataate waqt idhar udhar dekhe to woh baat sunne waale ke pass (raaz aur) amaanat hai. (Abu Daaood: 4868)

16-03-2018

Apne kapdon ko paak rakho aur (har tarah ki) gandagi se door raho. (Sura-e-Muddassir: 4,5)

15-03-2018

Jo shakhs koi aibdaar cheez us ka aib bataaye bagair bechega, woh baraabar Allah ki naaraazgi mein rahega aur malaaika us par baraabar laanat bhejte rehte hai. (Ibne Maaja : 2247)

14-03-2018

Aurat par sab se ziyaada haq us ke shohar ka hai aur mard par sab se ziyaada haq us ki maa ka hai. (Nasa'ee: 9148)

13-03-2018

Makr wa fareb aur dhokaadahi ka anjaam Jahannam hai. (Shoabul Imaan: 6978)

12-03-2018

Jis qaum ki naap tol mein kami karne ki aadat ban jaati hai, Allah Ta'ala un se baarish rok lete hain. (Al Kabaair Liz Zehbi: 1/61)

11-03-2018​

​ Agar tum maaf kardo, dar guzar kardo aur bakhsh do to Allah bahot bakhshne waala, bada maherbaan hai. (Sura-e-Tagaabun: 14)

10-03-2018

Jo shakhs chori ka maal khareede aur use maaloom ho ke woh chori ka hai, to woh us ki buraai aur gunnah mein shareek hai. (Mustadrak: 2235)

09-03-2018

Jo shakhs sood ke zariye apna maal badhaata hai to us ka anjaam tang dasti hota hai. (Ibne Maaja: 2279)

08-03-2018

Tum mein sab se achchhe log woh hain jo qarz ki adaaigi ke muaamle mein achchhe hon. (Muslim: 4195)

07-03-2018

Tum par waajib hai ke tum apni aurton ke liye achchhe tareeqe par rozi aur kapde ka intizaam karo. (Muslim: 3009)

06-03-2018

Aur zameen par akad kar mat chalo, na tum zameen ko phaad sakte ho aur na pahaadon ki bulandi tak pahonch sakte ho. (Sura-e-Bani Israel: 17)

05-03-2018

Waada bhi ek tarah ka qarz hai (jis ko poora karna zaroori hai). (Tabraani Ausat: 3513)

04-03-2018

Tumhaari woh ladki jo (talaaq ya shohar ke mar jaane ke baad) laut kar tumhaare hi paas aagayi ho aur tumhaare alaawa us ka koi kamaane waala na ho to tumhaara aisi ladki par kharch karna behtareen sadqa hai. (Ibne Maaja: 3567)

03-03-2018

Jo shakhs haraam tareeqe (sood, rishwat wagaira) se maal jama kar ke sadqa kare, us ko is sadqe ka koi sawaab nahin hai, balke is haraam kamaai ka wabaal usi par hai. (Mustadrak:1440)

02-03-2018

Jo aurat bila wajah apne shohar se talaaq maange, us par Jannat ki khushbu haraam hai. (Abu Daaood: 2226)