Posts

Showing posts from April, 2018

30-04-2018​

​ Qarz ki adaaigi par qudrat ke baawajood taal matol karna zulm hai. (Muslim: 4085)

29-04-2018

Jab tum mein se kisi ka luqma gir jaaye to use saaf kar ke kha le, shaitaan ke liye na chhode. (Muslim: 5426)

28-04-2018​

​ Jo koi apne gulaam (naukar wagaira) ko zulman maarega, qayaamat ke din maalik se badla liya jaayega. (Musnade Bazzaar: 1399)

​27-04-2018​

Jab tum mein se kisi ko gussa aaye to use chaahiye ke khaamoshi ikhtiyaar kare. (Musnade Ahmad: 2136)

Sha’abaan Ke Mahine Ki Fazeelat

*شعبان کے مہینہ کی فضیلت* *حضرت انس رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں:* *’’شعبان کو’’شعبان‘‘ اس لیے کہا جاتا ہے کیونکہ اس میں روزہ رکھنے والے کے لئےبہت سی خیریں اور بھلائیاں (شاخوں کی طرح)پھوٹتی ہیں، یہاں تک کہ وہ جنت میں جا پہونچتا ہے۔‘‘*(کنزالعمّال :۳۵۱۷۳) *Sha’abaan Ke Mahine Ki Fazeelat * *Hazrat Anas رضی اللہ عنہ Farmaate Hain:* *“Sha’abaan Ko “Sha’abaan” Is Liye Kaha Jaata Hai Kyun Ke Us Me Rozah Rakhne Wale Ke Liye Bohat Si Khairein Aur Bhalaaiyaan (Shaakhon Ki Tarah) Phoot’ti Hain, Yahaan Tak Ke Woh Jannat Me Jaa Pahonchta Hai.”*[Kanz-ul-Umaal: 37153]

Sha’abaan Ke Mahine Ki Fazeelat

*شعبان کے مہینہ کی فضیلت* *حضرت انس رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں:* *’’شعبان کو’’شعبان‘‘ اس لیے کہا جاتا ہے کیونکہ اس میں روزہ رکھنے والے کے لئےبہت سی خیریں اور بھلائیاں (شاخوں کی طرح)پھوٹتی ہیں، یہاں تک کہ وہ جنت میں جا پہونچتا ہے۔‘‘*(کنزالعمّال :۳۵۱۷۳) *Sha’abaan Ke Mahine Ki Fazeelat * *Hazrat Anas رضی اللہ عنہ Farmaate Hain:* *“Sha’abaan Ko “Sha’abaan” Is Liye Kaha Jaata Hai Kyun Ke Us Me Rozah Rakhne Wale Ke Liye Bohat Si Khairein Aur Bhalaaiyaan (Shaakhon Ki Tarah) Phoot’ti Hain, Yahaan Tak Ke Woh Jannat Me Jaa Pahonchta Hai.”*[Kanz-ul-Umaal: 37153]

​26-04-2018​

Jo qaum naahaq faisla karti hai us mein qatl wa khoonrezi aam ho jaati hai. (Mu'atta Maalik: 1670)

25-04-2018​

​ Jo paakeeza rizq ham ne tumhein ata kiya hai, us mein se khaao aur us mein had se aage na badho, jis ke nateeje mein tum par mera gazab naazil ho jaaye. (Sura-e-Taaha:81)

24-04-2018​

​ Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah yateem ka maal khaana hai. (Mustadrak: 1447)

23-04-2018​

​ Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah sood khaana hai. (Mustadrak: 1447)

22-04-2018​

​ Jis qaum mein sood aam ho jaata hai, us mein paagal pan ki beemaari phail jaati hai. (Al Kabaair Liz Zahabi: 1/16)

Sha’abaan Ke Mahine Ki Fazeelat

*شعبان کے مہینہ کی فضیلت* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’شعبان میرا مہینہ ہے اور رمضان اللہ تعالیٰ کا مہینہ ہے۔‘‘*(کنزالعمال :۳۵۱۷۲) *Sha’abaan Ke Mahine Ki Fazeelat * Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya : *“Sha’abaan Mera Mahinah Hai Aur Ramazaan Allah Ta’ala Ka Mahinah Hai.”*[Kanz-ul-Ummaal : 35172] Subscribe Our Channel Www.youtube.com/ IslamicGroup

​21-04-2018​

Aap mere bandon se keh deejiye ke wahi baat kaha karein jo behtareen ho. (Sura-e-Bani Israail: 53)

20-04-2018​

​ Jis ne kisi ki bhalaai ki taraf rehnumaai ki to us shakhs ko bhi amal karne waale ki tarah sawaab milega. (Abu Daaood: 5129)

​19-04-2018​

Allah se darte raho aur apne rishtedaaron ke saath mel jol rakho. (Shoabul Imaan: 7950)

LogoN Ke Baare Me

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’(لوگوں کے بارے میں)اچھا گمان رکھنا، بہترین عبادتوں میں سے ہے ۔‘‘*(ابوداؤد:۴۹۹۳) Rasoolullah  صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya: *“(LogoN Ke Baare Me ) Achcha Gumaan Rakhna, Betareen Ibaadaton Me Se Hai.”*[Abu-Dawood : 4993]

18-04-2018​

Jo shakhs apne biwi bachchon aur khaandaan waalon par kharch karta hai, to us ko sadqa karne ka sawaab milega. (Tabraani Ausat: 3897)

17-04-2018

Mazdoor ko us ka paseena sookhne se pahle mazdoori de do. (Ibne Maajah: 2443)

16-04-2018

"Zina" ke paas bhi na phatko, woh yaqeeni taur par badi behayaai aur bahot bura raasta hai. (Sura-e-Bani Israail: 32)

​15-04-2018​

Insaan ke liye paakeezah tareen maal woh hai jo us ne apni mehnat se kamaaya ho. (Abu Daaood: 3528)

14-04-2018

Tum log bezabaan jaanwaron ke silsile mein Allah se daro! Un par achchhe tareeqe se aaraam se sawaari karo aur khilaao pilaao. (Abu Daaood: 2548)

13-04-2018​

​ Jab koi shakhs kisi ko qarz de to woh apne qarzdaar se koi hadiya qubool na kare. (Mishkaat: 2832)

12-04-2018

Tum log gunaah karna chhod do, maut ke waqt tum par aasaani kar di jaayegi. (Shoabul Imaan: 5557)

​11-04-2018​

Tum achchhe akhlaaq aur khamooshi ki aadat banaalo. Qasam us zaat ki jis ke qabze mein Muhammad (S.A.W) ki jaan hai makhlooq ne in donon jaisi khoobiyon ko apne andar paida nahin kiya. (Shoabul Imaan: 4941)

10-04-2018

Tum apne liye, apni aulaad aur apne amwaal ke liye baddua mat karo! Kaheen qubooliyat ka waqt ho aur Allah us buddua ko qabool karle (phir tum pachhtaate raho). (Muslim: 7705)

09-04-2018

Dewar (shohar ka bhai) to maut hai (is liye aurton ko un se parda karna zaroori hai). (Bukhaari: 5232)

08-04-2018

Jab tum mein se koi paani piye to use chaahiye ke bartan mein saans na le. (Bukhaari: 154)

07-04-2018​

​Jab tum mein se koi istinja kare to daayaan haath istemaal na kare. (Bukhaari : 154)

06-04-2018

Aur un (Maan baap) ke saath muhabbat ka bartaao karte huwe un ke saamne apne aap ko aajizi se jhukaao. (Sura-e-Bani Israail: 24)

05-04-2018

Logon mein sab se achchha woh aadmi hai jo logon ko nafa pohnchaaye. (Shoabul Imaan: 7658)

04-04-2018

Sab se achchha aadmi woh hai jo achchhi baaton ka hukm dene waala aur buri baaton se rokne waala ho. (Shoabul Imaan: 7950)

03-04-2018

Sab se achchha aadmi woh hai jo Allah se ziyaada darne waala ho aur jo rishtedaari ko jodne waala ho. (Shoabul Imaan: 7950)

02-04-2018

Qaabile mubaarak baad hai woh shakhs jo waalidain ka farmaanbardaar ho, Allah Ta'ala us ki umr mein barkat deta hai. (Mustadrak: 7257)

01-04-2018

Agar tum log (kisi ke zulm ka) badla lo to utna hi badla lo jitni tumhaare saath ziyaadati ki gayi thi, aur agar sabr karlo to yaqeenan yeh sabr karne waalon ke haq mein bahot behtar hai. (Sura-e-Nahl: 126)