Posts

Showing posts from May, 2018

Rozedar ka Roza iftar kraye

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Rozedar ka Roza iftar kraye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Zaid bin Khalid RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi.   - 📔 [Ibne Maaja: 1746]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

01-06-2018​

​ Isi wajah se ham ne Bani Israail ko yeh farmaan likh diya tha ke jo shakhs kisi ko sharaee haq aur zameen mein fasaad ke bagair qatl kar de to goya us ne tamaam insaanon ko qatl kar diya. (Sura-e-Maaidah: 32)

Agar koi Rozedar se ladey

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Agar koi Rozedar se ladey ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Huraira RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Roza Dozakh se bachney ke liye ek dhaal hai isliye (jo rozedar ho) wo na to biwi se hambistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh ussey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun do baar (kahey), us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi ziyada pasandeeda aur pakeeza hai (Allah ta'ala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai.   - 📔 [Sahih Bukhari: 1894]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

31-05-2018​

​ Dunyawi zindagi mein un ki rozi hum (Allah) ne hi taqseem (distribute) kar rakhi hai aur ek ko doosre par martabe ke aitebaar se fazeelat de rakhi hai, taake ek doosre se kaam leta rahe. (Sura-e-Zukhruf: 32)

Rozedaar ke liye do khushyaan

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Rozedaar ke liye khushyaan ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Huzoor-e-Aqdas ﷺ ne irshaad farmaaya: Aadmi ke har achchhe amal ka sawaab das guna se saat sau guna tak badha diya jaata hai siwaaye roze ke, us ke baare mein Allah Ta'ala irshaad farmaate hain ke woh bande ki taraf se khaas mere liye ek tohfa hai aur main hi apni marzi ke mutaabiq us ka inaam wa sawaab doonga, mera banda meri raza ke waaste apni khwaahish-e-nafs aur apna khaana peena chhod deta hai. Rozedaar ke liye do khushyaan hain: Ek iftaar ke waqt aur doosri Allah Ta'ala se mulaaqaat ke waqt aur rozedaar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushbu se behtar hai. - 📔 [Sahih Muslim: 2763]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-05-2018

Allah Ta'ala ke nazdeek sab se ziyaada izzat waala banda woh hai jo badla le sakta ho phir bhi maaf kar de. (Shoabul Imaan: 8327)

Jisne haram maal jama kiya 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Jisne haram maal jama kiya ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jisney haraam maal jamaa kiya Phir us me se sadqa kiya, To ajro sawaab ke bajaaey ulta wabaal hoga.   - 📔 [Mustadrak: 1440]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

29-05-2018​

​ Jo shakhs jhooti qasam kha kar kisi ka maal le lega, woh Allah ke saamne kodhi ho kar pesh hoga. (Abu Daaood: 3244)

Ramzan me ye chaar chize

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Ramzan me ye chaar chize ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne (Ramzan ke mutaallliq) irshaad farmaya: Aur chaar chizon ki is (Ramzan) me kasrat rakha karo, Kalimah Taiyebah Aur Istighfaar ki kasrat karo, Jannat ki talab karo Aur aag se panaah maango.   - 📔 [Ibne Khuzaimah: 1887]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-05-2018

Jis shakhs ne bhi momin hone ki haalat mein nek amal kiya hoga, chaahe woh mard ho ya aurat, ham us ko paakeezah zindagi basar karaaenge aur aise logon ko un ke behtareen aamaal ke mutaabiq un ka ajr zaroor ata karenge. (Sura-e-Nahl: 97)

Roza Dozakh se dhal hai

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​ Roza Dozakh se dhal hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Uthman bin Abu Aas RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Roza Dozakh se aisee dhal hain jaise ladaii mein tumhare pass dhal hoti hai.   - 📔 [Ibne Maaja: 1639]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

27-05-2018​

​ Jab tum kisi zarooratmand aadmi ko dekho, to us ki madad karo. (Tabraani Kabeer: 414)

Ramzan ke Rozey

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​  Ramzan ke Rozey  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs (qasdan, janbujh kar) kisi shar'ee uzr ke bagair Ramzan ke ek rozey ko toud dey, To umr bhar roza rakhna bhi us (ek rozey) ka badal nahi ho sakta.   - 📔 [Abu Dawood: 2396]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

26-05-2018

Agar tum neki karoge to apne hi (faaide ke) liye karoge. (Sura-e-Bani Israail: 7)

Gunahon ke liye kaffarah

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Gunahon ke liye kaffarah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Paancho namazein, Jumaa ki namaz pichhley jumaa tak, aur Ramzan ke rozey pichhley Ramzan tak Darmiyaani owqaat ke tamaam gunahon ke liye kaffarah hai, Jab ke in aamaal ko karney wala kabirah gunahon se bachey.   - 📔 [Sahih Muslim: 552]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-05-2018​

​ Jab bahot ziyaada zina hone lagega to gareebi aur mohtaajgi aam ho jaayegi. (Shobul Imaan: 7369)

Jo Zakaat adaa na Karey

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Jo Zakaat adaa na Karey ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jo aadmi soney chaandi ka maalik ho aur us ka haq (yaani zakaat) adaa na karey, To Qayamat ke din us soney chaandi ke patrey bana kar jahannam ki aag me tapaaya jaega, Phir us shakhs ke pehlu, peshaani aur kamar ko daaga jaega, Aur ye daagney ka amal Qayamat ke din tak baraabar jaari rahega, Jiski miqdaar pachaas hazaar saal ke baraabar hogi, Yahaan tak ke bandon ke darmiyaan faisla ho jaega, Phir us ka thikana Jannat ya Jahannam hoga.   - 📔 [Sahih Muslim: 2290]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

24-05-2018

Apni maaldaari ki qadr karo, gareebi aane se pahle. (Mustadrak: 7846)

Dozakh se Aazad

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦​ Dozakh se Aazad ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Jabir RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya iftari ke waqt Allah subhanahu bahut se logo ko (dozakh se) aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai.   - 📔 [Ibne Maaja: 1643]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-05-2018​

​ Rasoolullah (s.a.w.) ne mardon jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waali aurton par laanat farmaayi hai. (Bukhaari: 5885)

Rozey ki haalat me Jhoot

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Rozey ki haalat me Jhoot ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs (rozey ki haalat me bhi) Jhuthi baatein aur burey aamaal na chhodey, To Allah Ta'ala ko us ke bhuka pyasa rehney ki koi Zarurat nahi.   - 📔 [Sahih Bukhari: 1903]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

22-05-2018

Rasoolullah (s.a.w.) ne aurton jaisi shakl wa soorat aur libaas ikhtiyaar karne waale mardon par laanat farmaayi hai. (Bukhaari: 5885)

Iftar ke waqt Rozedar ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Iftar ke waqt Rozedar ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abdullah bin Amr bin As RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti.   - 📔 [Ibne Maaja: 1753] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-05-2018

Aye Imaan waalo! Bahot se gumaanon se bacho, (kyun ke) baaz gumaan gunaah hote hain. (Sura-e-Hujuraat: 12)

Agar Roze me bhul se khaya

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Agar Roze me bhul se khaya ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu huraira RaziyAllahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab koi bhul gaya aur kha liya aur pi liya to usey chahiye ki apna roza pura karey kyunki usey Allah taala ne khilaya aur pilaya.   - 📔 [Sahih Bukhari: 1933] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-05-2018​

​ Sab se behtareen sadqa aapas mein sulah kara dena hai. (Musnade Shihaab: 1280)

Ramzan ​​​​ke Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Ramzan ​​​​ke Roze ki fazeelat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Huraira RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jisne imaan ke saath sawab ki niyat se Ramzan ke roze rakhe uske pichle sare gunah bakhsh diye jayenge. - 📔 [Ibne Maaja: 1641] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-05-2018

Mazdoor ko us ka paseena sookhne se pahle mazdoori de do. (Ibne Maajah: 2443)

Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs Allah Ta'ala ki raza ke liye ek din ka rozah rakhega To Allah Ta'ala us ke aur jahannam ke darmiyaan eik aise khandaq bana dega Jis ki masaafat (distance) aasmaan wa zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi. - 📔 [Tirmizi: 1624] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

18-05-2018​

​ Sab se ziyaada Jahannam mein le jaane waali cheez pet aur sharmgaah hai. (Ibne Maaja: 4246)

FAZAAIL E RAMZAN

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 1-Ramzan-1439 17 - May - 2018 💌💌💌💌💌 🌻  FAZAAIL  🌻 🌋        E        🌋 💝  RAMZAN 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jannat ke aanth (8) darwazey hai, jinmey se eik ka naam Babur Raiyaan hai, uus darwazey me se (sirf) roza rakhney waley daakhil hongey. 🔹🔹🔹🔹🔹 🍂BUKHARI🍂  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH ​ •─━━━━━══════━━━━━─• *​​​​​​​​​👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​*

Roze ki fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📖 Al Qur'aan:* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye imaan waalo ! Tum par roze farz kar diye gaye hain, jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tumhaare andar taqwa paida ho. - 📔 [Sura-e-Baqarah: 183] *📚 Hadees:* Rasool Akram ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo aadmi sharai uzr aur beemaari ke bagair Ramazaan ka ek rozah bhi chhod de, phir woh us ki jagah umr bhar bhi roze rakhe, to jo cheez faut ho gai woh poori ada nahin ho sakti. - 📔 [Sahih Muslim: 2763] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *👥 Plz Share to others also 👥​​​​​​​​​​​​​​​​​* *​​​​​​​​​​​​​​​

17-05-2018

Sab se ziyaada Jannat mein le jaane waali cheez parhezgaari aur achchhe akhlaaq hain. (Ibne Maaja:4246)

16-05-2018

Apne kapdon ko paak rakho aur (har tarah ki) gandagi se door raho. (Sura-e-Muddassir: 4,5)

15-05-2018​

​ Meri ummat ke behtareen log woh hain ke jab un ko gussa aaye to bardaasht kar lein. (Tabraani Ausat: 5793)

​14-05-2018​

Allah Ta'ala sakhi hai aur sakhaawat ko pasand karta hai. (Tirmizi: 2799)

13-05-2018​

​ Ta'ajjub hai us shakhs par, jo duniya haasil karne main laga huwa hai, halaanke maut us ko talaash kar rahi hai. (Kanzul Ummaal: 43961)

12-05-2018

Apne mehmaan ke saath khaao, kyun ke woh tanha khaane mein sharm mehsoos karta hai. (Shoabul Imaan: 9633)

11-05-2018

(Aye Imaan waalo!) kisi ke uyoob ki talaash mein mat raho. (Sura-e-Hujuraat: 12)

10-05-2018​

​ Allah ke Rasool (Hazrat Muhammad) Sallallahu Alaihi Wasallam ne khade ho kar paani peene se mana farmaaya hai. (Ibne Maajah: 3424)

09-05-2018

Apni jawaani ki qadr karo budhaapa aane se pahle. (Mustadrak: 7846)

08-05-2018​

​ Tum mein sab se bure woh log hain jo chugliyaan karte hain, doston ke darmiyaan dushmani daalte hain, paak saaf logon par tohmat lagaate hain. (Shoabul Imaan: 11108)

07-05-2018

Faisla karne waala 2 aadmiyon ya 2 fareeqon ke darmiyaan gusse ki haalat mein faisla na kare. (Abu Daaood: 3589)

06-05-2018​

​ Tum (aurtein) apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha. (Sura-e-Ahzaab: 33)

05-05-2018

Aye Musalmaan aurto! Koi padosan apni padosan ke hadiye (tohfe) ko maamooli na samjhe. (Bukhaari: 2566)

04-05-2018​

​ Rasoolullah (s.a.w.) ne Hazrat Aaisha se farmaaya: Narmi ikhtiyaar karo, sakhti aur bad zabaani se apne aap ko bachaao. (Bukhaari: 6401)

03-05-2018

Jo shakhs zaroorat se ziyaada imaarat banaayega, to yeh qayaamat ke din wabaal hogi. (Shoabul Imaan: 10710)

02-05-2018​

​ Woh shakhs (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jo pet bhar kar khaaye aur us ka padosi bhooka rahe. (Sho'abul Imaan: 5660)

01-05-2018​

​ Jis ne paani ka kunwaan khudwaaya aur us se kisi pyaase parinde, jin ya insaan ne paani piya, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ko ajr ata farmaayega. (Sahih Ibne Khuzaima: 1292)