Posts

Showing posts from June, 2018

01-07-2018

Beshak Allah Ta'ala insaaf ka aur ehsaan karne ka aur rishtedaaron ko (un ke huqooq) dene ka hukm deta hai. (Sura-e-Nahl: 90)

QARZ ADAA KAR DO

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ QARZ ADAA KAR DO ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi se qarz ley, Aur dil me ye pakka iradah kar rakhey Ke qarz pura pura nahi loutaega To wo Allah Ta'ala se ek chor ki haalat me mulaqat karega.    - πŸ“” [Ibne Majah: 2410] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

AULAAD E SALEH 

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ AULAAD E SALEH ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jannat me aadmi ke darjaat buland kiye jaengey, To wo kahega: Mujhey ye martaba kaisey mil gaya? Phir usey bataya jaega ke (ye maqaam) tum ko tumhari aulaad ke istighfaar karney ki wajah se mila hain.    - πŸ“” [Ibne Majah: 3660] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-06-2018

Jo haq par rehte huwe jhagda chhod de, us ke liye Jannat ke beech mein ghar banaaya jaayega. (Tirmizi: 1993)

29-07-2018

Jis ki aankhein Allah ki haraam ki huwi cheezon ko dekhne se ruki rahein, woh Jahannam mein nahin jaayega. (Attargeeb Lil Munziri: 5031)

MUSALMAN KA QATL

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ MUSALMAN KA  QATL  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi musalman ko qatl karney me madad karey, Agarchey ek lafz bol kar hi ho. To wo Qayamat ke din is haalat me aaega Ke us ki peshaani par likha hoga ke ye shakhs Allah ki rahmat se mehroom hain.    - πŸ“” [Ibne Majah: 2620] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-06-2018

Jab tum log khaane ke liye baithho, to chappal utaar liya kro, kyun ke yeh cheez tumhaare pairon ke liye raahat ka sabab hai. (Kanzul Ummaal: 40726)

Achche Suluq ka Haqdar

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Achche Suluq ka  Haqdar  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasoolullah ο·Ί ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ο·Ί mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai? farmaya ki tumhari Maa, pucha ki iskey baad kaun hai? farmaya tumhari Maa, unhoney phir pucha iskey baad kaun hai? Aap ο·Ί ne phir farmaya tumhari Maa, unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap ο·Ί ne farmaya tumharey walid (father).    - πŸ“” [Sahih Bukhari : 5971] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

27-06-2018

Agar koi tumhaare saath bhalaai ka muaamla kare, to tum us ko us ka badla do. (Nasai: 2567)

26-06-2018

Apne fursat ke waqt ki qadr karo, mashgooli aane se pehle. (Mustadrak: 7846)

DUAA KHUB KARO

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦  DUAA KHUB  KARO   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Be'shak tumhara Rabb Sharm w haya wala aur bada sakhi hai, Wo apney bandey se is baat par sharmata hai Ke bandah us ki taraf apney hath uthaey aur wo usey khaali loutaey.    - πŸ“” [Tirmizi: 3556] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-06-2018

Shaitaan to yahi chaahta hai ke sharaab aur juwe ke zariye tumhaare darmiyaan dushmani aur nafrat paida kar de, aur tumhein Allah ki yaad aur namaaz se rok de. (Sura-e-Maaidah: 91)

ISHRAAQ KI FAZILAT 

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ ISHRAAQ KI FAZILAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Fajr ki namaaz baa jamaat padhey, Phir (usi jagah par) beith kar Allah Ta'ala ka zikr karta rahey, Yahaan tak ke suraj tulu'a ho jaey, Phir wo do rakaat (ishraaq ki) namaaz padhey, To usey ek kaamil Hajj aur umrah ka sawaab ataa kiya jaega.    - πŸ“” [Tirmizi: 586] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

NEKIYAN HI NEKIYAN

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ NEKIYAN HI  NEKIYAN  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs momin mardon aur momin aurton ke liye maghfirat ki duaa karta hai, Allah Ta'ala us ke liye har momin mard aur har momin aurat ke badley ek neki likh detey hai.    - πŸ“” [Tabrani: 5306] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

24-06-2018

Bhoole bhatke aadmi ko sahi raasta bataana sadqa hai. (Tirmizi: 1956)

NARMI IKHTIYAR KARO

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ NARMI IKHTIYAR  KARO  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Kya mai tum ko aisey shakhs ki khabar na dun Jo Dozakh ke liye haraam hai, Aur Dozakh ki aag us par haraam hai, Har aisey shakhs par jo teez mizaaj na ho, Balki narm ho, Logon se qareeb honey wala ho, Narm tabiyat ho.    - πŸ“” [Tirmizi: 2488]        *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-06-2018

Duniya mein is tarah raho, jaise koi ajnabi pardesi rehta hai ya raasta chalta musaafir. (Bukhaari: 6416)

22-06-2018

Qayaamat ke din Allah ke nazdeek sab se bada gunaah paak daaman aurat par tohmat lagaana hai. (Mustadrak: 1447)

ALLAH KA AZAAB

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ ALLAH KA AZAAB ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jab logon ka ye haal ho jaey ke wo shariat ke khilaaf kaam hotey huey dekhein, Aur us ki islah ke liye kuchh na karein, To andesha he ke Allah ki taraf se un sab hi par azaab aa jaey.    - πŸ“” [Ibne Majah: 4009] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-06-2018

Maal kharch karo, gin gin kar na rakho, warna Allah Ta'ala bhi tum ko gin gin kar dega (phir rozi se barkat khatm ho jaayegi) aur maal ko rok kar na rakho, warna Allah Ta'ala tum se rizq ko rok lega. (Bukhaari: 2591)

ALLAH KI RAHMAT

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ ALLAH KI RAHMAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din un farishton ko jo Dozakh par muqarrar hongey Hukm dengey ke jis ne mujhey Kabhi yaad kiya, Ya kisi mouqey par jo bandah mujh se daraa us ko Dozakh se nikaal diya jaey.    - πŸ“” [Tirmizi: 2594] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-06-2018

Ek doosre ki geebat na karo, kya tum mein se koi yeh pasand karega ke woh apne mare huwe bhaai ka gosht khaaye? Is se to tum khud nafrat karte ho. (Sura-e-Hujuraat: 12)

Dusro ki bat chupkar na sune

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Dusro ki bat chupkar na sune ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo shakhs dusre logo ki baat sunne ke liye kaan lagaye (yani chup kar suney) jo usko pasand nahi karte ya us se bhagte hain to Qayamat ke din uske kaano mein sheesha pighla kar daala jayega.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 7042]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

19-06-2018

Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai. (Tirmizi: 2336)

Dusron ki Aurto se dur raho

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Dusron ki Aurto se dur raho ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Dusron ki aurton se dur raho, Tumhari aurtein bhi paak daaman rahegi. Apney Walidein ke sath husney sulook karo, Tumhari Aulaad bhi tumharey sath husney sulook karegi.   - πŸ“” [Mustadrak: 7258]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

18-06-2018

Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton ko apne sar ke baal chhote kar ke sirf kandhe tak baal rakhne se mana farmaya hai. (Kanzul Ummal: 45051)

Apne Mehmaan ki izzat kare 

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Apne Mehmaan ki izzat kare ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai use chahiye ki achchi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai wo apne Padosi (neighbor) ko takleef na pahunchaye aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par yakeen rakhta ho wo apne mehmaan ki izzat kare.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 6475]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

17-06-2018

Allah Ta'ala ke nazdeek sab se bada gunnah yeh hai ke aadmi kisi aurat se shaadi kare aur phir jab us ki zaroorat poori ho jaaye, to us ko talaaq de de aur maher bhi na de. (Muatadrak: 2743)

16-06-2018

Allah Ta'ala farmaata hai: Main 2 saath mil kar kaam karne waalon ke saath hota hoon jab tak ke koi saathi khayaanat na kare, jab koi ek bhi khayaanat karta hai to meri  madad uthh jati hai. (Abu Daaood: 3383)

Shawwal ke 6 Rozo ki Fazilat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Shawwal ke 6 Rozo ki Fazilat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo ramzan ke rozey rakhey aur uskey baad 6 (roze) shawwal ke bhi rakhe to usko hamesha ke rozo ka sawab hoga.   - πŸ“” [Muslim: 2758, 2614] *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo Eid ul Fitar ke baad 6 din roza rakhe to usko purey sal roza rakhne ka sawab milega, jo ek neki laayega usko iska 10 guna ajar milega.   - πŸ“” [Ibne Maja: 1715]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

15-06-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton se farmaaya ke aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein. (Abu Daaood: 5272)

In'aam ki Raat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄             *✦​  In'aam ki Raat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jab Eid ul fitr ki raat hoti he to us ka naam aasmaano par Lailatul jaaeyzah (in'aam ki raat) se liya jata he. Aur jab Eid ki subah hoti he to Allah Ta'ala farishton ko tamaam bastiyon me bhejtey hai Wo zameen par utar kar tamaam galiyon aur raaston ke siron (ΰ€¨ुΰ€•्ΰ€•ΰ₯œ) par khadey ho jatey hai, Aur aisee aawaaz se jisko jinnaat aur insaan ke alaawah har makhlooq sunti he. Pukartey hai ke Aey Muhammad ο·Ί ki ummat ! Us kareem Rab ki baargah ki taraf chalo, Jo bahot ziyadah ataa karney wala he, Aur Badey se Badey qusoor muaaf karney wala he.    - πŸ“” [Baihaqi: 3540]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

14-06-2018

Aye Imaan waalo! Apne gharon ke alaawa doosre gharon mein us waqt tak daakhil na ho jab tak ijaazat na le lo aur us mein basne waalon ko salaam na kar lo, yahi tareeqa tumhaare liye behtar hai, ummeed hai ke tum khayaal rakhoge. (Sura-e-Noor: 27)

Eid ki Raat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                *✦​ Eid ki Raat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs Eid ul fitr aur Eid ul Azha (Bakra Eid) ki dono raaton ko jaag kar Allah Ta'ala ki ibaadat karega to Qayamat ke din us ka dil zindah rahega ke jis din logon ke dil murdah ho jaengey.    - πŸ“” [Ibne Majah: 1782]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-06-2018

Tum (aurtein) apne gharon mein qaraar ke saath raho aur (gair mardon ko) banaao singhaar dikhaati na phiro, jaisa ke pehli jaahiliyat mein dikhaaya jaata tha. (Sura-e-Ahzaab: 33)

Do din ke Roze mana

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦​ Do din ke Roze mana ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha se riwayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne Do din ke roze se mana farmaya hai (ek) Eid ul fitr aur (dusra) Eid ul Azha.   - πŸ“” [Sahih Muslim: 2676]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-06-2018

Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho. (Shoabul Imaan: 3427)

Eid Ki Namaz se pehle

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦​ Eid Ki Namaz se pehle ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Anas bin Malik Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί Eid ul Fitr ke din tab tak (namaz ke liye) nahi nikalte jab tak khuch khajure na kha lete aur Aap ο·Ί Taaq (1,3,5,7…) khajurain khaya karte they.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 953]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

11-06-2018

Tum paani choos choos kar piyo aur gataagat na piyo, is ki wajah  se jigar ki beemaari hoti hai. (Sunane kubra: 15055)

Eidgaah jaane ke liye

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦​ Eidgaah jaane ke liye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah Ibn Umar RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί eidgaah jaane ke liye ek raaste ko ikhtiyar karte aur wapas aatey waqt dusre raste ko ikhtiyar karte they.   - πŸ“” [Abu Dawood: 1144]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

10-06-2018

Momin aurton se keh do ke woh apni nigaahen neechi rakhein aur apni sharmgaahon ki hifaazat karein, aur apni zeenat ko kisi par zaahir na karein. (Sura-e-Noor: 31)

Sadqa-e-Fitr Kyu

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​  Sadqa-e-Fitr Kyu  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasoolullah ο·Ί ne Rozo ko fuzool wa la'ayani aur Fahash baato ke asraat se paak saaf karne ke liye aur miskeeno mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya hai.   - πŸ“” [Abu dawood: 1609]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

09-06-2018

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne wazan karne waale se farmaaya ke wazan karo to jhukta tola karo. (Tirmizi: 1305)

08-06-2018

Jo aurat shaan aur badaai zaahir karne ke liye sone ka zewar pehnegi, use us ki wajah se azaab hoga. (Abu Daaood: 4237)

Sadqa-e-Fitr

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄              *✦​  Sadqa-e-Fitr  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya he, ek saa'a khajoor ya ek saa'a Jou aur hukm diya hai ki ye sadqa e fitr Namaz (Eid) ke liye Jane se pehle adaa kar diya jaye..   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1503]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

07-06-2018

Tumhaara apne padoosi ki biwi ke saath badkaari karna (sab se bada gunaah hai). (Bukhaari: 6001)

Shabe Qadr ki Fazilat 

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦​ Shabe Qadr ki Fazilat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Jo koi Shabe Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichle gunaah baksh diye jayenge aur jisne Ramzan mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath roze rakhe uske pichle tamam gunaah maaf ho jayenge.    - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1901]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

06-06-2018​

​ Salaam mein pahel karne waala takabbur se paak hai. (Shoabul Imaan: 8786)

Shabe Qadr ki khaas Dua

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Shabe Qadr ki khaas Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aaisha Raziy Allahu anha se riwayat hai ki main ne Rasoole Akram ο·Ί se poochha: Allah ke Rasool! agar mujhe shabe qadr ka pata chal Jaaye to mein us raat mein kya dua maangoon? Huzoor Akram ο·Ί ne yeh dua batlaayi,         Ψ§َΩ„Ω„َّΩ‡ُΩ…َّ Ψ₯ِΩ†َّΩƒَ ΨΉَفُوٌّ ΨͺُΨ­ِΨ¨ُّ Ψ§Ω„ْΨΉَفْوَ فَΨ§ΨΉْفُ ΨΉَΩ†ِّي Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni *Tarjama:* Aye Allah! tu be shak maaf karne waala hai aur maaf karna tujhe pasand hai, pas tu mujhe maaf farma de.   - πŸ“” [Tirmizi: 3513, Ibne Maajah: 3850]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Shab-e-Qadr ki talaash

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦​ Shab-e-Qadr ki talaash ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aayesha Raziy Allahu anha se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Shab-e-Qadr ko Ramzan ki Aakhri Ashre ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 2017]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​05-06-2018​

Patthar, kaanta, haddi (wagaira) ka raaste se hata dena sadqa hai. (Tirmizi: 1956)

Ramzan ka Aakhri Ashra

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Ramzan ka Aakhri Ashra ✦​*        *(Last 10 days of Ramzan)* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aayesha Raziy Allahu anha se rivayat hai ki jab (Ramzan ka) Aakhri ashra aata to Nabee ο·Ί apna tehband mazboot baandh letey (yani ibadat ke liye apni kamar kas letey) aur un raaton mein Aap ο·Ί khud bhi jagtey aur apney ghar walon ko bhi jagaya kartey they.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 2024]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

04-06-2018

Jo shakhs muaamle ke galat hone ka ilm hone ke baawajood naahaq jhagda kare, woh hamesha Allah ke gazab mein rehta hai. (Abu Daaood: 3597)

Mo'atakif ke liye Sunnat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​ Mo'atakif ke liye Sunnat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aaisha Raziy Allahu anha farmati hai: Mo'atakif (eatikaaf karne wala) ke liye sunnat ye hai ke Wo na mareez ki iyaadat karey, Na janaazey me shirkat karey, Na biwi ko hath lagaey, Na us se mubashirat (sohbat) karey, Aur na kisi aur zarurat ke liye masjid se baahar nikley, illa ye ke us ke bagair chaarah e kaar na ho.   - πŸ“” [Abu Dawood: 2473]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

03-06-2018​

​ Subah ka sona rizq ko rok deta hai. (Musnade Ahmad: 530)

Aakhri Ashrey ka Eatikaaf

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Aakhri Ashrey ka Eatikaaf ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aaisha Raziy Allahu anha farmati hai: Allah ke Rasool ο·Ί wafaat tak Ramzan ke aakhri ashrey ka eatikaaf farmaya kartey the, Phir Aap ke baad aap ki biwiyon ne (apney apney hujron me) eatikaaf karna shuru kar diya.   - πŸ“” [Sahih Bukhaari: 2026]   *​ Download App*​​ goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​02-06-2018​

(Isi wajah se ham ne Bani Israail ko yeh farmaan likh diya tha ke) jis ne kisi insaan ki jaan bachaai to goya us ne tamaam insaanon ki jaan bachaai. (Sura-e-Maaidah: 32)