Posts

Showing posts from August, 2018

01-09-2018

Tum mein se koi shakhs (bila ijazzat) apne bhaai ka saamaan na mazaaq mein le aur na hi haqeeqat mein le. (Abu Daaood: 5003)

31-08-2017

Allah Ta'ala ne tijaarat ko halaal aur sood (interest) ko haraam qaraar diya hai. (Sura-e-Baqarah: 275)

Khamosh rehney ki Aadat 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Khamosh rehney ki Aadat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Zarr Raziy Allahu Anhu ko mukhatib kar ke Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya ke main tumhey aisee do khaslatein bataa'u jo bahot halki hai aur Allah ke taraazu me wo bahot bhaari hai? Phir Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya: Ziyadah khamosh rehney ki aadat aur husn e akhlaaq.   - 📗 (Baihaqi: 7777) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

30-08-2018

Logon ko Deen sikhaao aur aasaaniyaan paida karo, dushwaariyaan paida na karo. (Musnade Ahmad: 2136)

29-08-2018

Woh musalmaan jis ki (logon ko) maaf karne ki aadat thi, woh Jannat mein jaane ka haqdaar hai. (Kanzul Ummaal: 7015)

Dozakh se bacho Sadqa dekar​

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Dozakh se bacho Sadqa dekar​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Adi bin Hatim RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º ne farmaya Dozakh se bacho Sadqa dekar chahey Khajur ka ek tukda dekar hi sahi aur jisey ye bhi na miley use chahiye ke achchi baat kehkar.   - 📗 (Sahih Bukhari: 6563) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

28-08-2018

Tum mein sab se behtar woh shakhs hai jo (mohtaajon ko) khaana khilaaye. (Musnade Ahmad: 23929)

27-08-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne teen martaba Allah ki qasam kha kar farmaaya: Woh aadmi (kaamil) Imaan waala nahin ho sakta, jis ka padosi us ki sharaaraton se mehfooz na ho. (Bukhaari: 6061)

Duniya se Munh moud lo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Duniya se Munh moud  lo  ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚Hadees:* Ek shakhs ne Rasoolullah ï·º se arz kiya: Aey Allah ke Rasool (ï·º) ! Mujhey koi aisa amal bata dijiye jisko mai karun taaki Allah aur log mujh se muhabbat karney lagey. To Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya: Duniya se munh moud lo to Allah tum se muhabbat karney lagega, aur jo logon ke paas hai (yani maal wa doulat) us se berukhi ikhtiyar karlo to log tum se muhabbat karney lagengey.   - 📗 (Ibney Majah: 4102) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qarzdaar ko Mohlat dey

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Qarzdaar ko Mohlat  dey  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya jo shakhs qarzdaar ko mohlat dey (yani qarz wasul karney me narmi karey) ya qarz muaaf kardey, to Allah Ta'ala us ko Qayamat ke din apney arsh ke saaye me jagah dengey, jab ke us ke siwa koi saaya na hoga.   - 📗 (Tirmizi: 1306) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

26-08-2018

Zameen mein fasaad machaane ki koshish na karo, yaqeen jaano Allah fasaad machaane waalon ko pasand nahin karta. (Sura-e-Qasas: 77)

Allah ke Raste me kharch

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *Allah ke Raste me kharch * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya jo shakhs Allah Ta'ala ke raastey me kuch kharch karta hai, wo us ke naam e aamaal me 700 guna likha jata hai.   - 📗 (Tirmizi: 1625) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

25-08-2018

Murdon ko gaali mat do; is liye ke is se us ke zinda rishtedaaron ko takleef pohnchegi. (Tirmizi: 1982)

Namaaz E Tahajjud

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ ​​ Namaaz E  Tahajjud   ✦​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Tahajjud ki namaz ka ehtimaam kiya karo, Isliye ke tum se pehley ke neik logon ka amal raha hai, Raat ki namaz Allah Ta'ala ki qurbat ka zariya hai, Gunahon se bachaaney wali hai, Khataa'on ka kaffarah hai, aur jism se bimari ko dur karney wali hai.   - 📗 (Tirmizi: 3549) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

24-08-2018

Jab koi shakhs Allah ko raazi karne ke liye kisi yateem bachche ya bachchi ke sar par haath pherta hai, toh jitne baal par us ka haath guzarta hai, us ke har baal ke badle mein us ke liye nekiyaan likhi jaati hain. (Musnade Ahmad: 22284)

Dua, Neiki aur Gunah 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ ​​ Dua, Neiki aur Gunah  ✦​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Dua ke siwa koi chiz taqdeer ko taalney wali nahi hai. Aur neiki ke siwa umr ko koi chiz badhaney wali nahi hai. Aur insaan gunahon ki nahusat se us rizq se jo usey milney wala hai, Mahroom kar diya jata hai. - 📗 (Mustadrak Hakim: 1814) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

23-08-2018

Jo shakhs apne bhai ko bechi huwi cheez waapas le le, to qayaamat ke din Allah Ta'ala us ke gunaah maaf kar dega. (Tabraani Ausat: 889)

Un Gunahon se bhi bache​​

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *Un Gunahon se bhi bache​​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Aey Aaisha (R.A.)! Khud ko un gunahon se bhi bachaaney ki koshish karo, Jin ko chota aur mamuli samjha jata hai, Kyun ki is par bhi Allah ki taraf se farishta muqarrar hai, Jo us ko likhta rehta hai. - 📗 (Ibney Maajah: 4243) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

22-08-2018

Mubaarak hai woh shakhs jo mutwaaze (aajizi karne waala) ho, us ki kamaai achchhi wa paakeezah ho, us ka baatin (dil) nek ho, us ka zaahir shareefaana ho, log us ki buraai se mehfooz hon. (Shoabul Imaan: 3388)

Duaa wa Istighfar

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ ​ Duaa wa  Istighfar   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Jis shakhs ke Maa-Baap ya un me se koi ek mar jaey, Aur wo shakhs un ki nafarmani karney wala ho, To agar wo un ke liye hamesha duaa wa istighfar karta rahey, To wo shakhs farmabardaron me shumaar ho jaega.    - 📗 (Baihaqi: 7663) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qurbaani ki Fazeelat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ Qurbaani ki Fazeelat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Eid-ul-Azha ke din Aadam ke bete (insaan) ka koi amal Allah Ta'ala ko qurbaani se ziyaada mehboob nahin aur qurbaani ka jaanwar qayaamat ke din apni seengon, baalon aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se pehle Allah Ta'ala ki raza aur maqbooliyat ke muqaam par pahonch jaata hai, pas aye Allah ke bando! Dil ki poori khushi se qurbaani kiya karo.      - 📔 [Ibne Maaja: 3126] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-08-2018

Jo log khush haali mein bhi aur bad haali mein bhi (Allah ke liye) kharch karte hain aur jo log gusse ko pee jaane aur logon ko maaf kar dene ke aadi hain, Allah aise nek logon se muhabbat karta hai. (Sura-e-Aale Imraan: 134)

20-08-2018

(Na mahram ko dekhne waali) Har aankh zina kaar hai. (Tirmizi: 2786)

19-08-2018

Jis shakhs ko yeh baat pasand ho ke Allah Ta'ala use qayaamat ke din ki pareshaaniyon se najaat de, to woh faqeer aur tangdast logon ko (qarz ki adaaigi mein) mohlat de ya maaf karde. (Muslim: 4083)

Jo Qurbaani na kare

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Jo Qurbaani na kare ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Nabiye Kareem ï·º ka irshaad hai: Jo shakhs qurbaani ki istita'at rakhta ho us ke baawajood qurbaani na kare, aisa shakhs hamaari Eidgaah ke qareeb hargiz na aaye.      - 📔 [Ibne Maaja: 3123] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Bhalai ka hukm aur Amal

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​ Bhalai ka hukm aur  Amal  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Qayamat ke din ek aadmi laya jaega Aur usko jahannam me phenka jaega Jaisey hi wo shakhs jahannam me dakhil hoga us ke peit ki saari antadiyaan bahar nikal aaegi Aur wo usko is tarah ghumaega Jis tarah gadha chakki ko ghumata hai, Jahannami log us ke paas jama ho jaengey Aur ta'ajjub se puchhenge: Tujhey kya ho gaya? Tu ham ko bhalaai ka hukm karta tha Aur buraai se rokta tha? To wo kahega: Mai wohi aadmi hun, Magar mai tum ko to bhalaai ka hukm karta tha, Magar khud us par amal nahi karta tha, Aur tum ko to buraai se rokta tha, Magar mai khud us se nahi rukta tha.   - 📗 (Sahih Bukhari: 3267) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

18-08-2018

Jis aadmi ne kisi se qarz liya, phir us ki niyyat qarz ada karne ki na ho (aur na hi us ne zindagi mein qarz ada kiya), to woh Allah se chor hone ki haalat mein milega. (Ibne Maaja: 2410)

Badon ki Taazim

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ ​ Badon ki  Taazim   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Jo jawaan kisi budhey shakhs ki us ke budhapey ki wajah se izzat wa ehtaraam (aur khidmat) karta hai, Allah Ta'ala us ke liye budhapey me aisey shakhs ko muqarrar farma deitey hai, Jo us ki taazim wa khidmat karta hai.    - 📗 (Mishkat: 423) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

17-08-2018

Jo shakhs kharch karne mein na kanjoosi karta hai aur na fuzool kharchi karta hai, to Allah Ta'ala us ko maaldaar bana deta hai. (Musnade Bazzaar: 946)

Kaafir ya Fasiq

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦ ​ Kaafir ya  Fasiq   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Dhar RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º ne farmaya Agar koi shaksh kisi ko Kaafir ya Fasiq kahey aur wo haqeeqat mein kaafir ya Fasiq na ho to khud kahney wala kaafir ya fasiq ho jayega.   - 📗 [Sahih Bukhari: 6045] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

16-08-2018

Tum mein se koi apne baayein haath se na khaaye aur na baayein haath se piye, is liye ke shaitaan apne baayein haath se khaata peeta hai. (Muslim: 5386)

Surey Yaseen Ki Fazilat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Surey Yaseen Ki  Fazilat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :*  Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya: Beshaq har chiz ka Dil hota hai, Aur Qur'aan Shareef ka Dil Surey Yaseen hai, Aur jo shakhs Surey Yaseen Shareef padhega, Allah Ta'ala us ke padhney par us ke liye 10 martaba Quraan Shareef padhney ka Sawaab likhengey.    - 📗 [Tirmizi: 2887] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

15-08-2018

Apne marne waalon ki achchhaiyon ko yaad kiya karo aur un ki buraaiyon ko bayaan na karo. (Abu Daaood: 4900)

Rehmat wa Maghfirat 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Rehmat wa Maghfirat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :*  Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya: Tum me koi shakhs namaz ke baad apni jagah par beitha rahey, to farishtey us waqt tak us ke liye maghfirat ki dua kartey rehtey hai, jab tak us ka wuzu na toot jaey, farishtey ye dua kartey hai, Aey Allah ! Is bandey ki maghfirat farma, Aey Allah ! Is bandey par reham farma.    - 📗 [Sahih Bukhari: 445] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

14-08-2018

Jab tum kisi mareez ke paas jaao, to us ko tasalli ki baat kaho, is liye ke us ke ranj wa gam ko door karna Allah ke faisle ko to nahin taal sakte lekin mareez ke dil ko zaroor khush kar deta hai. (Tirmizi: 2087)

Salaam karne me pehal 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Salaam karne me pehal ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :*  Rasoolullah ï·º se kisi ne puchha ke jab Aadmi ek doosre se mile to un dono me se kon pehle salaam kare? Aap ï·º ne farmaya: Jo un dono me khuda ke nazdeek zyada behtar ho..    - 📗 [Tirmizi: 2694] *📚 Hadees :*  Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya: Wo Aadmi khuda ke zyada qareeb he Jo salaam karne me pehal karta hai.    - 📗 [Abu Dawood: 5197] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-08-2018

Aye Imaan waalo! Jab tum kisi mutayyan muddat ke liye udhaar ka koi muaamlaa karo to use likh liya karo. (Sura-e-Baqarah: 282)

Ghar walo ko Salam kiya karo​

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Ghar walo ko Salam kiya karo​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤Al Qur'aan:* Ey momino ! Apne gharo ke Siva doosro ke gharo me dakhil na huva Karo jab tak k ghar walo ki raza na le lo, aur ghar walo ko salaam na kar lo.   - 📖 [Sura An-Noor: 27] *❤Al Qur'aan:* Pas Jab tum apne gharo me dakhil huva Karo to apne (ghar walo) ko salaam kiya Karo, Dua e khair khuda ki taraf se taleem ki hui badi hi ba barkat aur pakeeza hai.   - 📖 [Sura An-Noor: 61] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-08-2018

Jo aurat bila wajah apne shohar se talaaq maange, us par Jannat ki khushbu haraam hai. (Abu Daaood: 2226)

11-08-2018

Ek doosre se dushmani na rakho aur ek doosre se hasad na karo. (Muslim: 6690)

Chaal Chalan

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦   Chaal  Chalan    ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne un Mardon par laanat bheji jo aurton ka chaal chalan ikhtiyar karey, aur un Aurton par laanat bheji jo Mardon ka chaal chalan ikhtiyar karey.    - 📗 [Sahih Bukhari: 5885] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Dozakh ki Aag

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦   Dozakh ki  Aag    ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Tumhari is duniya ki aag dozakh ki aag ke sattar (70) hisson mein se ek hissa hai. Arz kiya gaya: Ya Rasoolallah! (Yehi duniya ki aag) kaafi thi. Aap ï·º ne irshaad farmaaya: Dozakh ki aag duniya ki aag ke muqable mein unhattar (69) darja bada di gayi hai. Har darje ki hararat duniya ki aag ki hararat ke barabar hai.    - 📗 [Sahih Bukhari: 3265] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

10-08-2018

Jo shakhs apne aap ko bada samajhta hai ya takabbur ke saath akad kar chalta hai, qayaamat ke din woh Allah Ta'ala se is haal mein milega ke Allah Ta'ala us se naaraaz honge. (Al Adabul Mufrad: 549)

09-08-2018

Maan baap mein maan ka haq baap se ziyaada hai. (Bukhaari: 5971)

Taaqatwar kon

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  Taaqatwar  kon   ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Taaqatwar wo nahi jo apne muqabil ko pachhaadh de balke taaqatwar wo hai jo gusse ki haalat mein apne aappar qaabu paale.    - 📗 [Sahih Bukhari: 6114] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Pyare Nabi ï·º pr jhoot na bolo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *​​​​Pyare Nabi ï·º pr jhoot na  bolo * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne farmaya mujh par jhoot na bolo kyunki jo mujh par jhoot bolega wo Jahannam mein dakhil hoga. - 📗 [Sahih Bukhari : 106] *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ne farmaya ki jo shaksh mere naam se wo baat bayan karey jo mainey nahi ki to wo Apna thikana Jahannam mein bana le. - 📗 [Sahih Bukhari : 109] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-08-2018

Jo shakhs logon ki zaroorat ke waqt mehngaai ke intezaar mein ziyaada nafa kamaane ki garz se cheezein jama kar ke rakhe to woh gunehgaar hai. (Muslim: 4206)

Saamaan ka aib na chupaana

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Saamaan ka aib na  chupaana * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ka irshaad hai: Poori sachchaai aur imaandaari ke saath kaarobaar karne waala taajir Nabiyon, Siddeeqon aur Shohada ke saath hoga. - 📗 [Tirmizi : 1209] *📚 Hadees :* Rasoolullah ï·º ka irshaad hai ke jis shakhs ne koi aib waali cheez kisi ke haath farokht ki aur khareedaar ko woh aib batla nahin diya to us par hamesha Allah ka gazab rahega. Aur Allah ke farishte hamesha us par laanat karte raheinge.  - 📗 [Ibne Maaja : 2247] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

07-08-2018

Jo log sood khaate hain, woh (qayaamat mein) us shakhs ki tarah uthhenge, jise shaitaan ne chhukar paagal bana diya ho. (Sura-e-Baqarah: 275)

HAJJ AUR UMRAH 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ HAJJ AUR UMRAH ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Haj aur umrah karney waley log Allah ki jamaat hai, Jab wo log duaa kartey hai to Allah Ta'ala un ki duaa qubul farmatey hai, Aur jab maghfirat talab kartey hai to Allah Ta'ala un ki maghfirat farma detey hai.    - 📔 [Ibne Majah: 2892] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

06-08-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek aurat ko naseehat karte huwe farmaaya: Aisi baatein na kaho jo doosron ko sunne mein buri lage. (Musnade Ahmad: 16701)

BEHTARIN BIWI

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦  BEHTARIN  BIWI   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Behtarin biwi wo hai, ke jab shohar usey deikhey to khush ho jaey, aur jab wo (shohar) kisi baat ka hukm karey to us ki ita'at karey.      - 📔 [Nasaai: 3233] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

05-08-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Anas ko naseehat karte huwe farmaaya ke aye mere bete! Jab apne ghar waalon ke paas jaao to unhein salaam karo, is se tum par aur tumhaare ghar waalon par barkatein naazil hongi. (Tirmizi: 2698)

04-08-2018

Khush naseeb hai woh shakhs jo doosron se naseehat haasil kare. (Ibne Maajah: 46)

SHOHAR KA MAQAAM

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ SHOHAR KA  MAQAAM  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Tum me se koi apni biwi se zarurat ka taqaza karey, to biwi apney shohar ki zarurat ko pura karey, agarchey wo tannur (chulhey) par (roti bana rahi) ho. - 📔 [Musnad e Ahmed: 16288] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

CHUPEY HUE AIB

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ CHUPEY HUE  AIB  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Kisi ke chupey hue aibon ke pichhey na pada karo, kyun ki jo aisa karega, Allah Ta'ala ka muaamla bhi us ke sath waisa hi hoga, jis ke sath Allah Ta'ala ki taraf se ye muaamla hoga to Allah us ko us ke ghar me zaleel kar dega.      - 📔 [Tirmizi: 2032] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

03-08-2018

Jab tumhaare paas kisi qaum ka baaizzat aadmi aaye to tum us ka ikraam karo. (Ibne Maaja: 3712)

Allah Ta'ala Se Dur

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ Allah Ta'ala Se Dur ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke zikr ke alaawah ziyadah baatein na kiya karo, Kyun ki is se dil me sakhti paida hoti hai, Aur logon me Allah Ta'ala se ziyadah dur wo aadmi hai jiska dil sakht ho.      - 📔 [Tirmizi: 2411] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

02-08-2018

(Bagair majboori) Qarz lene se bacho; is liye ke qarz raat mein ranj-o-gam aur din mein zillat wa ruswaai ka sabab hai. (Shoabul Imaan: 5554)

IJAAZAT ZARURI

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦  IJAAZAT  ZARURI   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaaya: Do aadmiyon ke darmiyaan me un ki ijaazat ke bagair na beitha jaey.    - 📔 [Abu Dawood: 4844] *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁