Posts

Showing posts from October, 2018

Paanch Waqt ki Namaz

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦  Paanch Waqt ki  Namaz   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ ne farmaya agar kisi shaksh ke darwazey par Nahar jari ho aur wo rozana usmein paanch baar nahaye to tumhara kya ghuman hai kya uskey badan par kuch bhi mail baqi rah sakta hai sahaba RaziyAllahu Anhuma ne farmaya hargiz nahi Aapney farmaya ki yahi haal paancho waqt ki namazo ka hai ki Allah Paak unkey zariye se Gunahon ko mita deta hai.. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 1, 528) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo nikah ki taqat na rakhta ho

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Jo nikah ki taqat na rakhta  ho  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Masood RaziyiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ farmaya Eh Naujawano ki jamaat tum mein jisey bhi Nikah karney ki maali taqat ho usey Nikaah kar lena chahiye kyunki ye nazar ko neechi rakhney wala aur Sharamgaah ki hifazat karney wala amal hai aur jo nikah ki taqat na rakhta ho usey chahiye ki roza rakhey kyunki Roza uski khwahishaat-e-nafsani ko tod dega.. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5066) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

✦Musalmaan ki madad karna

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦Musalmaan ki madad  karna ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ ne farmaya ek musalman dusrey musalman ka bhai hai, isliye us par zulm na karey aur na zulm honeyde. Jo shaksh apney bhai ki jarurat puri karey Allah taala uski jarurat puri karega. Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur karey Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 3, 2442) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qayamat ki Nishaniyon

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Qayamat ki  Nishaniyon  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Anas Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ ne farmaya ki Qayamat ki nishaniyon mein se ye bhi hai ki Deen ka ilm utha liya jayega aur jahalat badh jayegi, zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagengey, mard kam ho jayenge aur aurton ki taadad ziyada ho jayegi, Haalat ye ho jayegi ki 50 aurton ko sanbhalne (khabar lene) wala ek mard hoga.. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5231) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Muhabbbat Aur bugz

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Muhabbbat Aur  bugz  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ﷺ ne farmaya jisney Hasan aur Hussain se muhabbat rakhi usney mujhse Muhabbbat rakhi aur jisney unse bugz rakha usney mujhse bugz rakha (yani dushmani rakhi) - 📗 (Ibney Majah, Vol 1, 143) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sunnat  Tareeqa 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦   Sunnat  Tareeqa   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Thumama bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivat hai ki Anas Raziyallahu anhu 2 ya 3 saans mein paani peete the aur kaha karte the ki Rasoolullah ﷺ teen saanson mein paani peete they. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5631) *📚 Hadees :* Hazrat Jabir bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki jab hum kisi bulandi par chadhte to “Allahu Akbar” kahte aur jab hum neeche ki aur jaate to “Subhanallah” kahte. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 4, 2993) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sunnat  Tareeqa

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦   Sunnat   Tareeqa    ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ taharat mein, kangha karne mein aur Juta pahnanaye mein Dahine taraf (right side) se pasand farmate the.. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5854) *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf (Right side) se shuru kare aur Utare to bahine taraf (left Side) se utarey, taki Dahini janib pahanne mein awwal ho aur utarne mein aakhri ho.. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5855) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Farishte us Aurat par*         *Laanat karte rahte hain

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Farishte us Aurat par*         *Laanat karte rahte  hain  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jab shohar (husband) apni biwi ko apney bistar ki taraf bulaye aur wo aaney se inkaar kar de to farishtey subah tak us par laanat bhejtey hain. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5193) *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya agar kisi mard ne apni biwi ko apne bistar par bulaya lekin usne aane se inkaar kar diya aur mard us par gussa ho kar so gaya to subah tak farishte us aurat par laanat karte rahte hain. - 📗 (Sahih Bukhari, Vol 4, 3237) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jannat Aur Jahananm

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦  Jannat Aur Jahannam  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ se puchha gaya ke kis amal ki wajah se log jannat me ziyadah dakhil hongey? Aap ﷺ ne irshaad farmaya: Taqwa (Allah ka darr) aur achchhey akhlaq phir Aap ﷺ se puchha gaya ke kis amal ki wajah se log jahannam me ziyadah jaengey? Aap ﷺ ne irshaad farmaya: Munh aur sharmgaah (ka ghalat istemaal). - 📗 (Tirmizi, 2004) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Miswaak karna Sunnat 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦  Miswaak karna Sunnat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Huzoor ﷺ ne farmaaya Miswaak munh ko bahot ziyaada saaf karne waali aur Allah Ta'ala ko bahot ziyaada khush karne waali cheez hai.   - 📗 (Nasai : 5) *📚 Hadees :* Aap ﷺ ka irshaad hai: Chaar cheezein ambiya ki sunnaton mein se hai : Sharm-o-Haya, khushbu lagaana, miswaak karna aur nikaah karna.   - 📗 (Tirmizi : 1080) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Mardo Ka Sona Pahanna 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦ Mardo Ka Sona Pahanna ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne mujhko (mardo ko) sone ki anguthi pahanne se mana farmaya.. - 📗 (Nasai, Vol 3, 1487, 5189) *📚 Hadees :* Hazrat Abu Saeed Khudri Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Mulk e Najran ka ek shakhs Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein hazir hua wo sone ki anguthi pahne huye tha Aap ﷺ ne us se apna rukh pher liya aur farma diya ki tum mere paas aag ka shola lekar aaye ho.. - 📗 (Nasai, Vol 3, 1489, 5191) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

21-10-2018

Duniya mein jo 2 rukha (munaafiq) hoga, qayaamat ke din us ke munh mein aag ki 2 zabaanein hongi. (Abu Daaood: 4873)

Buri aur qaabile nafrat cheez

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Buri aur qaabile nafrat  cheez  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jaaiz cheezon mein sab se ziyaada buri aur qaabile nafrat cheez Allah ke nazdeek talaaq hai.. - 📗 (Abu Daawood: 2178) *📚 Hadees :* Hazrat Saubaan Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Nabiye Kareem ﷺ ne farmaaya: Jo aurat bagair sakht majboori ke khud talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai.. - 📗 (Abu Daawood: 2226) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

20-10-2018

Jo shakhs logon ka shukriya ada na kare, woh Allah ka bhi shukr ada karne waala nahin ho sakta. (Tirmizi: 1954)

19-10-2018

Jis ne doosron ki koi aisi baat chhup kar suni jis ko woh us se chhupaana chaahte the, to qayaamat ke din aise shakhs ke kaan mein seesa pighla kar daala jaayega. (Tirmizi: 1751)

18-10-2018

Allah Ta'ala us bande par raham farmaaye jo bechne, khareedne aur qarz wusool karne mein narmi ka muaamla kare. (Bukhaari: 2076)

Doodh Peene ke baad ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Doodh Peene ke baad ki  Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Abbaas Raziyallahu anhu bayaan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jise Allah Ta'ala doodh pilaaye to woh yeh dua padhe :                اَللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ *[Allaahumma baarik lanaa feehi wazidnaa minhu]* *📃 Tarjama :* Aye Allah ! Is mein hamaare liye barkat ata farma aur hamein ziyaada ata farma.   - 📗 (Tirmizi: 3455) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Kapda Pehanne ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦  Kapda Pehanne ki  Dua   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Muaaz bin Anas Raziyallahu anhu se riwayat ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jis ne kapda pehna phir kaha: اَلْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي كَسَانِي هَذَا الثَّوْبَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَقُوَّةٍ *Alhamdu lillaahillazee kasaani haazas sauba wa razaqaneehi min gairi haulimminnee walaa quwwah.* to us ke agle pichhle gunaah maaf kar diye jaaeinge.. *📃 Tarjama :* Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne mujhe ye kapda pehnaaya aur meri taaqat-o-quwwat ke bagair mujh ko yeh ata farmaaya.. - 📗 (Abu Dawood : 4023) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khane ke baad ki dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦  Khaane ke Baad Ki Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Saeed khudri Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ jab khaana kha kar faarig hote to yeh dua padhte:     الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مُسْلِمِينَ *Al hamdu lillaahillazi at'amanaa wa saqaanaa wa ja'alanaa muslimeen.* *📃 Tarjama :* Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein khilaaya pilaaya aur musalmaan banaaya.. - 📗 (Tirmizi : 3457) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

17-10-2018

Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne khaane mein kabhi bhi aib nahin lagaaya; agar chaahte to us ko kha lete aur agar naapsand hota to chhod dete. (Bukhaari: 5409)

16-10-2018

Neki aur taqwa (ke kaamon) mein ek doosre ki madad karo. (Sura-e-Maaidah: 2)

Daawat khane ke baad ki dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Daawat khane ke baad ki  dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Miqdaad Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne (Daawat ke mauqe par) yeh dua padhi:         اَللَّهُمَّ أَطْعِمْ مَنْ أَطْعَمَنِي وَاسْقِ مَنْ سَقَانِي *Allaahumma at'im man at'amanee wasqi man Saqaanee.* *📃 Tarjama :* Aye Allah ! Jis ne mujhe khilaaya tu us ko Khila aur jis ne mujhe pilaaya tu us ko pila.. - 📗 (Sahih Muslim : 5483) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Kisi ko Rukhsat karne ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Kisi ko Rukhsat karne ki  Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Saalim farmaate hain ke hazrat Abdullah bin umar Raziyallahu anhuma jab koi aadmi safar ka iraada karta hai to us se farmaate ke mujh se qareeb ho jaao taake main aap ko is tarah rukhsat karoon jaise Rasoolullah ﷺ ham ko rukhsat farmaate the, phir yeh dua padhte :    أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ ‏ *As-taudiullaaha deenaka wa amaanataka wa khawaateema amalika.* *📃 Tarjama :* Main aap ka deen aur aap ki amaanat aur aap ke kaamon ka anjaam Allah ke hawaale karta hoon. - 📗 (Tirmizi : 3443) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

15-10-2018

Neki achchhe akhlaaq ka naam hai aur gunaah woh hai jo tere dil mein khatke aur tujhe achchha na lage ke logon ko us ki khabar ho. (Muslim: 6680)

14-10-2018

Tum sharaab hargiz mat piyo, is liye ke sharaab tamaam buraaiyon ki jad hai. (Musnade Ahmad: 22128)

Jab kisi ko naya kapda pehne dekhe to yeh dua de 

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Jab kisi ko naya kapda*      *pehne dekhe to yeh dua de ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Nazrah Raziyallahu anhu farmaate hain ke jab Sahaaba-e-kiraam Raziyallahu anhuma naya kapda pahente to un ko yeh dua di jaati :                         تُبْلِي وَيُخْلِفُ اللهُ ‏         *Tublee wa yukhlifullaah.* *📃 Tarjama :* Tum pehno aur puraana karo, Allah tumhein aur de. - 📗 (Abu Dawood : 4020) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aaina dekhne ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Aaina dekhne ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ farmaate the :                اللَّهُمَّ حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي *Allaahumma hassanta khalqee fahassin khuluqee.* *📃 Tarjama :* Aye Allah ! Tu ne meri soorat achchhi banaai hai, pas tu meri seerat bhi achchi bana de.   - 📗 (Ibn-e-Hibban: 989) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

13-10-2018

Chugalkhor Jannat mein daakhil nahin hoga. (Muslim: 303)

Sawaari pr sawaar honeki dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦Sawaari pr sawaar honeki  dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu anhuma se marwi hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ jab safar par jaate aur apni sawaari par sawaar hote to teen martaba *"Allaahu Akbar"* kehte phir padhte :              سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا               لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ     *Subhaanal lazee sakhkhara laanaa haazaa wamaa kunnaa lahoo muqrineena wa innaa ilaa rabbinaa lamunqaliboon.* *📃 Tarjama :* Paak hai woh zaat, jis ne is sawaari ko hamaare qabze mein de diya, warna ham isko apne qaabu mein karne waale na the aur bila shuba ham ko hamaare Rab ki taraf laut kar jaana hai.   - 📗 (Muslim, 3339, 3113) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-10-2018

Jab Allah Ta'ala kisi ghar waalon ke liye bhalaai ka iraada farmaate hain, to un mein narmi paida farma dete hain. (Musnade Ahmad: 24427)

Ghar se Nikalte Waqt ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Ghar se Nikalte Waqt ki  Dua  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Anas Bin Maalik Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe: بِسْمِ اللهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ *Bismillahi tawakkaltu alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billaah* to us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad ho kar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaise qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho. *📃 Tarjama :* Main Allah ke naam se nikalta hoon, main ne Allah par bharosa kiya, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah ta'ala hi ki taraf se hai. - 📗 (Abu Dawood: 5095)

11-10-2018

Agar koi shakhs galati ya gunaah kare, phir us ka ilzaam kisi be gunaah ke oopar lagaade, to woh bada bhaari bohtaan aur khule gunaah ka bohj apne oopar laad leta hai. (Sura-e-Nisa: 112)

Ghar mein daakhil hone ki Dua

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Ghar mein daakhil hone ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Maalik Ash'ari Raziyallahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab aadmi apne ghar mein daakhil ho to yeh dua padhe: اَللّٰهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَ الْمَوْلَجِ وَخَيْرَ الْمَخْرَجِ بِسْمِ اللهِ وَلَجْنَا وَبِسْمِ اللهِ خَرَجْنَا وَعَلَى اللهِ رَبِّنَا تَوَكَّلْنَا ‌‌‌ *"Allaahumma inni as-aluka Khairal maulaji wa khairal Makhraji bismillaahi walajnaa Wa bismillaahi kharajnaa Wa'alallaahi rabbinaa tawakkalnaa"* Phir use chaahiye ke apne ghar waalon ko salaam kare. *📃 Tarjama :* Aye Allah ! Main aap se andar jaane aur baahar nikalne ki bhalaai ka Sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil Hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain, aur ham ne apne Rab Allah hi Par bharosa kiya. - 📗 (Abu Dawood: 5096) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqAB

10-10-2018

Jab tum mein se kisi ko gussa aaye aur woh khada ho to baithh jaaye, baithhne se gussa chala jaaye to thheek, warna us ko chaahiye ke let jaaye. (Abu Daaood: 4782)

09-10-2018

Jo Shakhs tawaazu (aajizi) ikhtiyaar karta hai, Allah Ta'ala us ko izzat wa sarbulandi ata karta hai. (Musnade Bazzaar: 946)

Achche Suluq ka Haqdar

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Achche Suluq ka  Haqdar  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ﷺ mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai ? farmaya ki tumhari Maa, pucha ki iskey baad kaun hai ? farmaya tumhari Maa, unhoney phir pucha iskey baad kaun hai ? Aap ﷺ ne phir farmaya tumhari Maa, unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap ﷺ ne farmaya tumharey walid (father). - 📗 (Sahih Bukhari : 5971) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Log jahilon ko sardar bana lenge

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Log jahilon ko sardar bana  lenge * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin 'Amr bin Al' As Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Allah Ilm ko is tarah se nahi utha lega ki iskey bando se cheen lega balki wo Aalimo ko maut dekar Ilm ko utha lega phir jab koi Aalim baqi nahi rahega to log jahilon ko sardar bana lengey unsey sawalat kiye jayengey aur wo bagair Ilm ke jawab dengey isliye khud bhi gumraah hongey aur logo ko bhi gumraah karengey. - 📗 (Sahih Bukhari : 100) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

08-10-2018

Woh shakhs Jannat mein nahin jaayega, jis ke dil mein zarra baraabar bhi takabbur hoga. (Muslim: 275)

Logon ka Maal Karz ke taur par

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Logon ka Maal Karz ke taur par* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jo logon ka Maal Karz ke taur par ada karney ke niyat se leta hai to Allah Taala bhi uski taraf se ada karega aur jo koi tabah karney ki (yani Na dene ki) niyat se le to Allah Taala bhi usko Tabah kar dega. - 📗 (Sahih Bukhari : 2387) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

07-10-2018

Jis shakhs mein ahed ki paabandi nahin, us mein Deen nahin. (Shoabul Imaan: 4354)

Khadim ke Saath Husn e Suluq

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *Khadim ke Saath Husn e Suluq * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Anas Raziyallahu anhu ne kaha ki maine Rasoolullah ﷺ ki 10 saal tak khidmat ki lekin Aap ﷺ ne kabhi mujhe uff tak nahi kaha aur na kabhi ye kaha ki Falah kaam kyun kiya aur falah kaam kyun nahi kiya.. - 📗 (Sahih Bukhari : 6038) *​📲Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

06-10-2018

Khaao aur piyo aur fuzool kharchi na karo, yaad rakho ke Allah fuzool kharch logon ko pasand nahin karta. (Sura-e-Aaraaf: 31)

Bachchon ko bhi Salaam karo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Bachchon ko bhi Salaam karo * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Anas Bin malik Raziyallahu anhu se rivayat hai ki jab wo bachchon ke pass se guzre to unhone bachchon ko salam kiya aur kaha ki Rasoolallah ﷺ bhi aisa hi kiya karte the (yani bachchon ko salam karte they) - 📗 (Sahih Bukhari : 6247) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

05-10-2018

Tum sab mein mujhe ziyaada muhabbat us shakhs se hai jis ke akhlaaq ziyaada achchhe hain. (Bukhaari: 3759)

04-10-2018

Allah ki nazar mein sab se achchha ghar woh hai jis mein koi yateem izzat ke saath rehta ho. (Tabraani kabeer: 13434)

03-10-2018

Tum log imaaraton mein haraam maal istemaal karne se bacho, is liye ke yeh tabaahi wa barbaadi ki buniyaad hai. (Shoabul Imaan: 10722)

Farz Namaaz ko us ke Muqarrarah waqt me ada kre

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *Farz Namaaz ko us ke*      *Muqarrarah waqt me ada  kre * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤ Al Qur'aan :* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Beshak namaaz imaan waalon par waqt ki paabandi ke saath farz hai. - 📖 [Sura-e-Nisa: 103] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ki ek bhi namaaz chhoot gai, woh aisa hai jaisa ke us ke ghar ke log aur maal-o-daulat sab chheen liya gaya ho. - 📗 [Musnade Ahmad: 23642] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Behtareen aur Badtareen bande

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *Behtareen aur Badtareen bande * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Aap ﷺ ne farmaaya: Allah ke behtareen bande woh hain jin ko dekh kar Allah yaad aaye aur badtareen bande woh hain jo chugliyaan khaane waale, doston mein judaai dalne waale hain aur jo log is koshish mein lage rehte hain ke paak daaman bandon ko kisi gunaah ya pareshaani aur museebat mein mubtila kar dein.. - 📗 [Musnade Ahmad: 17998] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Suni sunai bato ko bagair tahqeq*    *ke bayan nahin karna chaahiye

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *Suni sunai bato ko bagair tahqeq*    *ke bayan nahin karna chaahiye * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Huzoor ﷺ ne farmaaya: "Kafaa bilmar'i kaziban ainyyuhaddisa bikulli maa sami'a". *​❧ Tarjama :* Aadmi ke jhoota hone ke liye yahi kaafi hai ke woh har suni sunaai baat ko bayaan karta phire. - 📗 [Sahih Muslim: 8] *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: "Izaa kazabal 'abdu, tabaa'ada 'anhul malaku meelan min natni maajaa'a bihee" *​❧ Tarjama :* Jab banda jhoot bolta hai, to farishta us ke jhoot ki badbu ki wajaah se ek meel door chala jaata hai. - 📗 [Tirmizi: 1972] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo 40 hadeesein yaad karega

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *Jo 40 hadeesein yaad karega * ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs meri Ummat ke nafe ke liye chaalees hadeesein yaad karega to us se (Qayaamat ke din) kaha jaayega, Jannat ke jis darwaaze se chaaho daakhil ho jaao. - 📗 [Kanzul Ummal : 29186] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

02-10-2018

Har ummat ke liye ek fitna hota hai aur meri ummat ka fitna maal hai. (Tirmizi: 2336)