Posts

Showing posts from November, 2018

26-11-2018

* 26-11-2018 * Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne aurton se farmaaya ke aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein. (Abu Daaood: 5272)

Allah aur Aakhirat par Imaan

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Allah aur Aakhirat par Imaan ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ๐Ÿ“šHadees: Abu Huraira Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai use chahiye ki achchi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai wo apne Padosi (neighbor) ko takleef na pahunchaye aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par yakeen rakhta ho wo apne mehmaan ki ezzat kare. - ๐Ÿ“” (Sahih bukhari, Vol 7, 6475) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ek Darkht ka   lagaye

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Ek Darkht ka   lagaye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadith:* Anas bin Malik Raziy Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Koi bhi musalman jo ek darkht ka paudha (small tree) lagaye ya khet mein beej boye phir us sey parinada ya insaan ya janwar jo bhi khatey hain wo uski taraf se sadqa hai.. - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari, Vol 3, 2320) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo ye chahe ki uski rozi bade

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Jo ye chahe ki uski rozi bade ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadith:* Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye use chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq) kare. - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari, Vol 7, 5985) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Lambi Umar Allah Ki Neymat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Lambi Umar Allah Ki Neymat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ๐Ÿ“šHadees: "Ek Aadmi ne Pucha 'Ae Allah ke Rasool _(Sal-Allahu-alaihe-wasallam)_ logo me sab se Behtar Aadmi kaun hai, Aap ne farmaya Jiski Zindagi lambi ho aur uska Amal Nek ho, Usne pucha logo me sab se Bura kaun hai, Aap ne farmaya Jis ki Umar lambi ho aur Amal Bura ho" - ๐Ÿ“” (Sunan Tirmizi: 2330) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Cheenkne par Alhamdulillah

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Cheenkne par Alhamdulillah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ ๐Ÿ“šHadees: Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH taala cheenk (sneezing) ko pasand karta hai aur jamaayee (yawning) ko napasand karta hai isliye tum mein se koi shaksh cheenke aur Alhamdulillah (Tamam Taarif ALLAH ke liye hai) kahe to har musalman par haq hai ki jo use sune uska jawab Yarhamukallah se de, jamaayee (yawning) shaitan ki taraf se hoti hai isliye jahan tak ho sake use roke kyonki jab wo munh khol kar Haaaaa kahta hai to shaitan us par hasta hai. - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari: 6223) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Badla

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                    *✦  Badla  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha bayan karti hain ki ALLAH ki Qasam Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kabhi apne zaati Muaamle mein kisi se badla nahi liya, haan magar jab ALLAH ki hurmaton ko toda jata to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ALLAH subhanahu ke liye badla lete they.   - ๐Ÿ“” (Sahih Bukhari: 6786) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Raastey me kaantedaar dali

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Raastey me kaantedaar dali ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Abu Hurairah Raziy allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek shaksh raastey par chal raha tha ki usney wahan par kaantedaar dali dekhi usney usey hata diya to allah taala ne uska ye amal Qubul kiya aur uski maghfirat kar di. - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari: 2472) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Wuzu krke Namaz ko Jana

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦  Wuzu krke Namaz ko Jana  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya ki jab tum mein se koi shaksh achchi tarah wuzu karke Namaz ke liye nikalta hai to Daayan (right) Qadam uthatey hi Allah Subhanahu uskey liye ek neki likh dete hain aur baayan (left) Qadam rakhtey hi uska Ek gunaah maaf kar detey hain so ab jo chahey (masjid se) Qareeb rahey ya dur rahey, phir jab wo Masjid mein aakar namaz Parhta hai to usko bakhsh diya jata hai, - ๐Ÿ“— (Abu Dawud, Vol 1, 561) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sari Raat Ibaadat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Sari Raat Ibaadat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Usman bin Affan RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh Isha ki Namaz Jamaat se ada karega, wo aisa hai jaisey ki aadhi raat tak ibadat ki, aur jo shaksh Isha aur fajar ki Namaz Jamaat se ada karega to wo aisa hai jaise ki usney Sari raat ibadat mein Guzari.     - ๐Ÿ“— (Tirmizi: 221) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Haya bhi Imaan ka Hissa Hai

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Haya bhi Imaan ka Hissa Hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Salim RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko suna wo apney bhai ko Haya ki naseehat kar raha tha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haya bhi imaan ka hissa hai.   - ๐Ÿ“— (Ibney Majah, Vol 1, 58) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Allah ki khatir Muhabbat

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Allah ki khatir Muhabbat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Abu Umama Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshak usne apna imaan mukammal kar liya. - ๐Ÿ“— (Abu Dawud: 4681, 4664) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khwaab

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄                  *✦  Khwaab  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees:* Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mere naam ke upar apney naam rakhomagar meri kuniyat (abul-Qasim) ikhtiyar na karo aur jis shaksh ne mujhe khwab mein dekha to beshaq usney mujhe dekha kyunki shaitan meri surat mein nahi aa sakta..   - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari: 110) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Hadiya Tohfa

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄               *✦  Hadiya Tohfa  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Jaabir Raziy allahu Anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya Jis Shakhs ko hadiya tohfa diya jaaye, to agar us ke paas badle mein dene ke liye kuchh maujood ho to woh us ko dede aur jis ke paas badle mein tohfa dene ke liye kuchh na ho, to woh (bataur shukriya ke) us ki taareef kare aur us ke haq mein Duaa-e-Khair kahe. Jis  ne aisa kiya us ne shukriya ka haq ada kar diya aur jis ne aisa nahin kiya aur  ehsaan ke muaamle ko chhupaaya, to us ne naashukri ki.    - ๐Ÿ“— (Abu Dawood, 4813) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Safaai Suthraai ka ehtemaam

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Safaai Suthraai ka  ehtemaam  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu kehte hain ke ek din Rasoolullah ๏ทบ hamaare pass tashreef laaye, to Aap ๏ทบ ne wahaan ek shakhs ko dekha jis ke baal paraaganda bikhre huwe the, Aap ๏ทบ ne farmaaya Kya is shakhs ko woh cheez (Kanghi wagaira) mayassar nahin, jis se woh apne baalon ko durust kar le, isi tarah Aap ๏ทบ ne aise shakhs ko dekha jis ke badan par maile kuchaile kapde the, Aap ๏ทบ ne farmaaya: Kya is aadmi ko woh cheez (saaban pani wagaira) mayassar nahin jis se woh apne kapdon ko dho daale.     - ๐Ÿ“— (Abu Dawood, 4062) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Musalmaanon ke raaste se takleefdeh cheez ko hatana

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Musalmaanon ke raaste se*      *takleefdeh cheez ko  hatana  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Abu barza Aslami RaziyAllahu anhu ne huzoor ๏ทบ se arz kiya Ya Rasoolallah! Mujhe koi aisi cheez sikha deejiye, Jis se main faaida uthhaaun. Aap ๏ทบ ne irshaad farmaaya Musalmaanon ke raaste se takleefdeh cheez ko hata diya karo.   - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim, 6839) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Kisi ki b Geebat na kro

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Kisi ki b Geebat na  kro  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *♥Al Quran :* Eh Imaan walon zyada badgumaniyon se bachte raho kyunki kuch guman gunah hain aur jasusi na kiya karo aur na hi ek dusre ki geebat kiya karo kya tum mein se koi ye pasand karta hai ki apne murda bhai ka ghosht khaye? isko tum napasand karoge aur ALLAH se daro beshak ALLAH bada tauba qubul karne wala aur nihayat raham wala hai.. - ๐Ÿ“– {Surah Al-Hujurat (49), Verse 12} *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Huzaifa Raziy allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya chugalkhor (Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega.. - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim, 290, 189) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Geebat Aur bohtan

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Geebat Aur  bohtan   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Hazrat Abu hurairah Raziy Allahu anhu se rivayat hai Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya Tum jaante ho geebat kya hai? logo ne kaha ki Allah aur uske Rasool ๏ทบ hi khub jante hain, Aap ๏ทบ ne farmaya Geebat ye hai ki tum apne bhai ka zikr is tarah karo ki (agar wo samne hota to) usko bura lagta, logo ne kaha ki Ya Rasoolallah ๏ทบ agar hamare bhai mein wo aib mojud ho to, Aap ๏ทบ ne farmaya wo hi to geebat hai Agar usmein wo mojud na ho to wo bohtan hai. - ๐Ÿ“— (Sahih Muslim, 6593, 6265) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Gandi baato se bache

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ Gandi baato se  bache  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin Mas'ood Raziy Allahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ๏ทบ ne irshaad farmaaya: Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota.    - ๐Ÿ“— (Tirmizi, 1977) *๐Ÿ“ƒ Comment :* Islaam ne zabaan ki hifaazat karne aur us ko galat istemaal se bachaane ka hukm diya hai, Ek sachche pakke momin ki shaan yeh hai ke woh narm mizaaj aur sheereen kalaam karne waala hota hai, us ki zabaan se gandi baatein, gaali galoch aur akhlaaq se gire huwe alfaaz nahin nikalte, woh kisi ko taana nahin deta aur na woh kisi par laanat karta hai. ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

✦Walidain ke Sath Achha bartao✦​

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦Walidain ke Sath Achha bartao✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *❤Al Quran :* Tumhaare rab ne saaf saaf hukm diya hai ke tum us ke alaawa kisi ki ibaadat na karo aur apne maan baap ke saath achchha bartao karo. Agar woh tumhaare paas hon aur un mein se ek ya donon budhaape ko pahonch jaayein, to unhein "uff" tak na kaho, na unhein jhidko, un se khoob adab se baat karo.   - ๐Ÿ“– {Sura-e-Asra : 23} *๐Ÿ“šHadees :* Ek martaba ek sahaabi RaziyAllahu anhu ne huzoor ๏ทบ se poochha: Ya Rasoolallah! Aulaad par maan baap ka kitna haq hai? Aap ๏ทบ ne farmaaya: Woh donon tumhaari Jannat aur dozakh hain. - ๐Ÿ“— (Ibne Maaja: 3662) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Waalidain ko na Satana 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ Waalidain ko na Satana ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Aap ๏ทบ ne farmaaya tamaam gunaahon mein se Allah Ta'ala jitna chaahte hain maaf farma dete hain, lekin maan baap ko sataane ka gunaah aisa hai ke Allah Ta'ala us gunaah ke karne waale ko maut se pehle duniya hi ki zindagi mein saza de dete hain.  - ๐Ÿ“— (Sho'abul Imaan, 7890) *๐Ÿ“šHadees :* Aap ๏ทบ ne farmaaya Waalidain ki naafarmaani karne se bacho, kyun ke jannat ki khushbu ek hazaar saal ki doori se mahsoos hoti hai. Allah ki qasam! Waalidain ka naa-farmaan us ki khushbu bhi nahin soongh paayega. - ๐Ÿ“— (Tabraani Ausat, 5664) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jab Juma ka din aata hai 

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦ Jab Juma ka din aata hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ๏ทบ ne farmaya jab Juma ka din aata hai to masjid ke har darwaze par farishte khade ho jate hain aur sabse pahle aane wale aur phir uske baad aane walon ka naam No. se likhte jate hain phir jab imam (khutbe ke liye) baith jata hai to farishte apne register band kar lete hain aur zikr (khutba) sunne lag jate hain..   - ๐Ÿ“— (Sahih Bukhari: 3211) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Maan baap ko muhabbbat ki nazar se dekhe

๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ๐Ÿ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Maan baap ko muhabbat*                *ki nazar se dekhe   ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *๐Ÿ“šHadees :* Rasoolullah ๏ทบ ne farmaaya Jo farmaanbardaar aulaad apne maan baap ko muhabbat ki nazar se dekhe, to use har nigaah par ek maqbool haj ka sawaab milega. Logon ko bada taajjub huwa, unhon ne poochha: Agar woh din mein sau martaba dekhe (to har martaba maqbool haj ka sawaab milega?). Aap ๏ทบ ne farmaaya: Haan! - ๐Ÿ“— (Sho'abul Imaan, 7856) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁