Posts

Showing posts from August, 2019

ISHRAAQ KI FAZILAT

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ ISHRAAQ KI FAZILAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Fajr ki namaaz baa jamaat padhey, Phir (usi jagah par) beith kar Allah Ta'ala ka zikr karta rahey, Yahaan tak ke suraj tulu'a ho jaey, Phir wo do rakaat (ishraaq ki) namaaz padhey, To usey ek kaamil Hajj aur umrah ka sawaab ataa kiya jaega.    - πŸ“” [Tirmizi: 586] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

QARZ ADAA KAR DO

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ QARZ ADAA KAR DO ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs kisi se qarz ley, Aur dil me ye pakka iradah kar rakhey Ke qarz pura pura nahi loutaega To wo Allah Ta'ala se ek chor ki haalat me mulaqat karega.    - πŸ“” [Ibne Majah: 2410] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

NARMI IKHTIYAR KARO

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦ NARMI IKHTIYAR  KARO  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Kya mai tum ko aisey shakhs ki khabar na dun Jo Dozakh ke liye haraam hai, Aur Dozakh ki aag us par haraam hai, Har aisey shakhs par jo teez mizaaj na ho, Balki narm ho, Logon se qareeb honey wala ho, Narm tabiyat ho.    - πŸ“” [Tirmizi: 2488] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

NEKIYAN HI NEKIYAN

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦ NEKIYAN HI NEKIYAN ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo shakhs momin mardon aur momin aurton ke liye maghfirat ki duaa karta hai, Allah Ta'ala us ke liye har momin mard aur har momin aurat ke badley ek neki likh detey hai.    - πŸ“” [Tabrani: 5306] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qurbaani ki Fazeelat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ Qurbaani ki Fazeelat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Eid-ul-Azha ke din Aadam ke bete (insaan) ka koi amal Allah Ta'ala ko qurbaani se ziyaada mehboob nahin aur qurbaani ka jaanwar qayaamat ke din apni seengon, baalon aur khuron ke saath aayega aur qurbaani ka khoon zameen par girne se pehle Allah Ta'ala ki raza aur maqbooliyat ke muqaam par pahonch jaata hai, pas aye Allah ke bando! Dil ki poori khushi se qurbaani kiya karo.      - πŸ“” [Ibne Maaja: 3126] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jo Qurbaani na kare

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Jo Qurbaani na kare ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Nabiye Kareem ο·Ί ka irshaad hai: Jo shakhs qurbaani ki istita'at rakhta ho us ke baawajood qurbaani na kare, aisa shakhs hamaari Eidgaah ke qareeb hargiz na aaye.      - πŸ“” [Ibne Maaja: 3123] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

HAJJ AUR UMRAH

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ HAJJ AUR UMRAH ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Haj aur umrah karney waley log Allah ki jamaat hai, Jab wo log duaa kartey hai to Allah Ta'ala un ki duaa qubul farmatey hai, Aur jab maghfirat talab kartey hai to Allah Ta'ala un ki maghfirat farma detey hai.    - πŸ“” [Ibne Majah: 2892] *​πŸ“²Download App:​​* goo.gl/wqABfs ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Buri aur qaabile nafrat cheez

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Buri aur qaabile nafrat  cheez  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaaya: Jaaiz cheezon mein sab se ziyaada buri aur qaabile nafrat cheez Allah ke nazdeek talaaq hai.. - πŸ“— (Abu Daawood: 2178) *πŸ“š Hadees :* Hazrat Saubaan Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Nabiye Kareem ο·Ί ne farmaaya: Jo aurat bagair sakht majboori ke khud talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai.. - πŸ“— (Abu Daawood: 2226) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁