Posts

Showing posts from 2020

Lambi Umar Allah Ki Neymat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Lambi Umar Allah Ki Neymat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ πŸ“šHadees: Ek Aadmi ne Pucha Ae Allah ke Rasool (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) logo me sab se Behtar Aadmi kaun hai, Aap ο·Ί ne farmaya "Jiski Zindagi lambi ho aur uska Amal Nek ho," Usne pucha logo me sab se Bura kaun hai, Aap ο·Ί ne farmaya "Jis ki Umar lambi ho aur Amal Bura ho."    - πŸ“” (Sunan Tirmizi: 2330) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sab se Afzal Amal

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦ Sab se Afzal Amal ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Umme Farwah Raziyallahu anha farmaati hain ke Rasoolullah ο·Ί se poocha gaya ke sab se afzal amal kya hai? Aap ο·Ί ne irshaad farmaaya: Awwal waqt mein namaz padhna.      - πŸ“” [Abu Dawood: 426] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Apne Bhai ki Haajat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ Apne Bhai ki Haajat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu Riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ο·Ί ne Irshaad farmaaya: Jo koi apne bhai ki haajat puri karta hai Allah Ta'ala us ki haajat poori farmaate hain.   - πŸ“” [Abu Dawood: 4893] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

ALLAH KI RAHMAT

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦ ALLAH KI RAHMAT ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala Qayamat ke din un farishton ko jo Dozakh par muqarrar hongey Hukm dengey ke jis ne mujhey Kabhi yaad kiya, Ya kisi mouqey par jo bandah mujh se daraa us ko Dozakh se nikaal diya jaey.    - πŸ“” [Tirmizi: 2594] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Dusro ki bat chupkar na sune

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Dusro ki bat chupkar na sune ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo shakhs dusre logo ki baat sunne ke liye kaan lagaye (yani chup kar suney) jo usko pasand nahi karte ya us se bhagte hain to Qayamat ke din uske kaano mein sheesha pighla kar daala jayega.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 7042] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

ALLAH KA AZAAB

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ ALLAH KA AZAAB ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jab logon ka ye haal ho jaey ke wo shariat ke khilaaf kaam hotey huey dekhein, Aur us ki islah ke liye kuchh na karein, To andesha he ke Allah ki taraf se un sab hi par azaab aa jaey.    - πŸ“” [Ibne Majah: 4009] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Apne Mehmaan ki izzat kare

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Apne Mehmaan ki izzat kare ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai use chahiye ki achchi baat kahe warna khamosh rahe aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par Imaan rakhta hai wo apne Padosi (neighbor) ko takleef na pahunchaye aur jo koi ALLAH aur aakhirat ke din par yakeen rakhta ho wo apne mehmaan ki izzat kare.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 6475] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Eid Ki Namaz se pehle

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦​ Eid Ki Namaz se pehle ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Anas bin Malik Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί Eid ul Fitr ke din tab tak (namaz ke liye) nahi nikalte jab tak khuch khajure na kha lete aur Aap ο·Ί Taaq (1,3,5,7…) khajurain khaya karte they.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 953] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Eidgaah jaane ke liye

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦​ Eidgaah jaane ke liye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah Ibn Umar RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί eidgaah jaane ke liye ek raaste ko ikhtiyar karte aur wapas aatey waqt dusre raste ko ikhtiyar karte they.   - πŸ“” [Abu Dawood: 1144] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sadqa-e-Fitr Kyu

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​  Sadqa-e-Fitr Kyu  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu se rivayat hai ke Rasoolullah ο·Ί ne Rozo ko fuzool wa la'ayani aur Fahash baato ke asraat se paak saaf karne ke liye aur miskeeno mohtaajo ke khane ka bandobast karne ke liye Sadqatul Fitr waajib qaraar diya hai.   - πŸ“” [Abu dawood: 1609] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sadqa-e-Fitr

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄              *✦​  Sadqa-e-Fitr  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne musalmano me se har gulaam azaad per, har mard aur Aurat per chhote aur bade per sadqa e fitr laazim kiya he, ek saa'a khajoor ya ek saa'a Jou aur hukm diya hai ki ye sadqa e fitr Namaz (Eid) ke liye Jane se pehle adaa kar diya jaye..   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1503] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Sari Raat Ibaadat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦  Sari Raat Ibaadat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“šHadees:* Usman bin Affan RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh Isha ki Namaz Jamaat se ada karega, wo aisa hai jaisey ki aadhi raat tak ibadat ki, aur jo shaksh Isha aur fajar ki Namaz Jamaat se ada karega to wo aisa hai jaise ki usney Sari raat ibadat mein Guzari.     - πŸ“— (Tirmizi: 221) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Shabe Qadr ki Fazilat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦​ Shabe Qadr ki Fazilat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Jo koi Shabe Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichle gunaah baksh diye jayenge aur jisne Ramzan mein Imaan aur sawab ki niyat ke saath roze rakhe uske pichle tamam gunaah maaf ho jayenge.    - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1901] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Shabe Qadr ki khaas Dua

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Shabe Qadr ki khaas Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aaisha Raziy Allahu anha se riwayat hai ki main ne Rasoole Akram ο·Ί se poochha: Allah ke Rasool! agar mujhe shabe qadr ka pata chal Jaaye to mein us raat mein kya dua maangoon? Huzoor Akram ο·Ί ne yeh dua batlaayi,         Ψ§َΩ„Ω„َّΩ‡ُΩ…َّ Ψ₯ِΩ†َّΩƒَ ΨΉَفُوٌّ ΨͺُΨ­ِΨ¨ُّ Ψ§Ω„ْΨΉَفْوَ فَΨ§ΨΉْفُ ΨΉَΩ†ِّي Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni *Tarjama:* Aye Allah! tu be shak maaf karne waala hai aur maaf karna tujhe pasand hai, pas tu mujhe maaf farma de.   - πŸ“” [Tirmizi: 3513, Ibne Maajah: 3850] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Shab-e-Qadr ki talaash

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *✦​ Shab-e-Qadr ki talaash ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aayesha Raziy Allahu anha se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Shab-e-Qadr ko Ramzan ki Aakhri Ashre ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 2017] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Mo'atakif ke liye Sunnat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​ Mo'atakif ke liye Sunnat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aaisha Raziy Allahu anha farmati hai: Mo'atakif (eatikaaf karne wala) ke liye sunnat ye hai ke Wo na mareez ki iyaadat karey, Na janaazey me shirkat karey, Na biwi ko hath lagaey, Na us se mubashirat (sohbat) karey, Aur na kisi aur zarurat ke liye masjid se baahar nikley, illa ye ke us ke bagair chaarah e kaar na ho.   - πŸ“” [Abu Dawood: 2473] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Aakhri Ashrey ka Eatikaaf

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Aakhri Ashrey ka Eatikaaf ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aaisha Raziy Allahu anha farmati hai: Allah ke Rasool ο·Ί wafaat tak Ramzan ke aakhri ashrey ka eatikaaf farmaya kartey the, Phir Aap ke baad aap ki biwiyon ne (apney apney hujron me) eatikaaf karna shuru kar diya.   - πŸ“” [Sahih Bukhaari: 2026] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎Www.AajKiAchchiBaat.com

Ramzan ka Aakhri Ashra Last 10 days of Ramzan

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Ramzan ka Aakhri Ashra ✦​*        *(Last 10 days of Ramzan)* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aayesha Raziy Allahu anha se rivayat hai ki jab (Ramzan ka) Aakhri ashra aata to Nabee ο·Ί apna tehband mazboot baandh letey (yani ibadat ke liye apni kamar kas letey) aur un raaton mein Aap ο·Ί khud bhi jagtey aur apney ghar walon ko bhi jagaya kartey they.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 2024] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎www.Aajkiachchibaat.com

Jisne haram maal jama kiya

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Jisne haram maal jama kiya ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jisney haraam maal jamaa kiya Phir us me se sadqa kiya, To ajro sawaab ke bajaaey ulta wabaal hoga.   - πŸ“” [Mustadrak: 1440] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Rozedar ka Roza iftar kraye

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Rozedar ka Roza iftar kraye ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Zaid bin Khalid RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Jo kisi Rozeydar ka roza iftar karaye to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi.   - πŸ“” [Ibne Maaja: 1746] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎Www.AajkiAchchiBaat.com

Jannat Ka Darwaza

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦​  Jannat Ka Darwaza  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Jannat mein ek darwaza hai jisey Ar-Raiyan kahtey hain Qayamat ke din us darwazey se sirf rozedaar hi jannat mein dakhil honge unkey siwa aur koi usmein se dakhil nahi hoga, pukara jayega ki rozedar kaha hain? wo khadey ho jayenge, unkey siwa us sey aur koi andar nahi jane payega aur jab ye log andar chaley jayengey to ye darwaza band kar diya jayega phir us se koi andar nahi ja sakega.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1896] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Agar koi Rozedar se ladey

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Agar koi Rozedar se ladey ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu Huraira RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Roza Dozakh se bachney ke liye ek dhaal hai isliye (jo rozedar ho) wo na to biwi se hambistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh ussey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun do baar (kahey), us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi ziyada pasandeeda aur pakeeza hai (Allah ta'ala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1894] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎AajkiAchchiBaat.com

Jo Zakaat adaa na Karey

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Jo Zakaat adaa na Karey ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo aadmi soney chaandi ka maalik ho aur us ka haq (yaani zakaat) adaa na karey, To Qayamat ke din us soney chaandi ke patrey bana kar jahannam ki aag me tapaaya jaega, Phir us shakhs ke pehlu, peshaani aur kamar ko daaga jaega, Aur ye daagney ka amal Qayamat ke din tak baraabar jaari rahega, Jiski miqdaar pachaas hazaar saal ke baraabar hogi, Yahaan tak ke bandon ke darmiyaan faisla ho jaega, Phir us ka thikana Jannat ya Jahannam hoga.   - πŸ“” [Sahih Muslim: 2290] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎Www.AajkiAchchiBaat.com

Roza Dozakh se dhal hai

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦​ Roza Dozakh se dhal hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Uthman bin Abu Aas RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Roza Dozakh se aisee dhal hain jaise ladaii mein tumhare pass dhal hoti hai.   - πŸ“” [Ibne Maaja: 1639] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎AajkiAchchiBaat.com

Gunahon ke liye kaffarah

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Gunahon ke liye kaffarah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Paancho namazein, Jumaa ki namaz pichhley jumaa tak, aur Ramzan ke rozey pichhley Ramzan tak Darmiyaani owqaat ke tamaam gunahon ke liye kaffarah hai, Jab ke in aamaal ko karney wala kabirah gunahon se bachey.   - πŸ“” [Sahih Muslim: 552] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎Www.AajkiAchchiBaat.com

Dozakh se Aaza

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄            *✦​ Dozakh se Aazad ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Jabir RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya iftari ke waqt Allah subhanahu bahut se logo ko (dozakh se) aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai.   - πŸ“” [Ibne Maaja: 1643] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Rozedaar ke liye khushyaan

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Rozedaar ke liye khushyaan ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Huzoor-e-Aqdas ο·Ί ne irshaad farmaaya: Aadmi ke har achchhe amal ka sawaab das guna se saat sau guna tak badha diya jaata hai siwaaye roze ke, us ke baare mein Allah Ta'ala irshaad farmaate hain ke woh bande ki taraf se khaas mere liye ek tohfa hai aur main hi apni marzi ke mutaabiq us ka inaam wa sawaab doonga, mera banda meri raza ke waaste apni khwaahish-e-nafs aur apna khaana peena chhod deta hai. Rozedaar ke liye do khushyaan hain: Ek iftaar ke waqt aur doosri Allah Ta'ala se mulaaqaat ke waqt aur rozedaar ke munh ki boo Allah Ta'ala ke nazdeek mushk ki khushbu se behtar hai. - πŸ“” [Sahih Muslim: 2763] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ramzan me ye chaar chize

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Ramzan me ye chaar chize ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne (Ramzan ke mutaallliq) irshaad farmaya: Aur chaar chizon ki is (Ramzan) me kasrat rakha karo, Kalimah Taiyebah Aur Istighfaar ki kasrat karo, Jannat ki talab karo Aur aag se panaah maango.   - πŸ“” [Ibne Khuzaimah: 1887] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ramzan ke Rozey

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​  Ramzan ke Rozey  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs (qasdan, janbujh kar) kisi shar'ee uzr ke bagair Ramzan ke ek rozey ko toud dey, To umr bhar roza rakhna bhi us (ek rozey) ka badal nahi ho sakta.   - πŸ“” [Abu Dawood: 2396] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎Www.AajkiAchchiBaat.Com

Rozey ki haalat me Jhoot

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Rozey ki haalat me Jhoot ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs (rozey ki haalat me bhi) Jhuthi baatein aur burey aamaal na chhodey, To Allah Ta'ala ko us ke bhuka pyasa rehney ki koi Zarurat nahi.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1903] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Iftar ke waqt Rozedar ki Dua

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Iftar ke waqt Rozedar ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Amr bin As RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti.   - πŸ“” [Ibne Maaja: 1753] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​​​​Roze ki fazeelat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs Allah Ta'ala ki raza ke liye ek din ka rozah rakhega To Allah Ta'ala us ke aur jahannam ke darmiyaan eik aise khandaq bana dega Jis ki masaafat (distance) aasmaan wa zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi. - πŸ“” [Tirmizi: 1624] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​​​​Roze ki fazeelat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“– Al Qur'aan:* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye imaan waalo ! Tum par roze farz kar diye gaye hain, jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tumhaare andar taqwa paida ho. - πŸ“” [Sura-e-Baqarah: 183] *πŸ“š Hadees:* Rasool Akram ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo aadmi sharai uzr aur beemaari ke bagair Ramazaan ka ek rozah bhi chhod de, phir woh us ki jagah umr bhar bhi roze rakhe, to jo cheez faut ho gai woh poori ada nahin ho sakti. - πŸ“” [Sahih Muslim: 2763] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Agar Roze me bhul se khaya

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Agar Roze me bhul se khaya ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu huraira RaziyAllahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jab koi bhul gaya aur kha liya aur pi liya to usey chahiye ki apna roza pura karey kyunki usey Allah taala ne khilaya aur pilaya.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1933] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ambiya ki Sunnat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦  Ambiya ki Sunnat  ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees :* Huzoor ο·Ί ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, Miswaak karna aur Nikaah karna. - πŸ“” (Tirmizi: 1080) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Chugalkhor-Geebat karne Wala

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Chugalkhor-Geebat karne Wala ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees :* Hazrat Huzaifa Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya chugalkhor (Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega.  - πŸ“” (Muslim, 290, 189) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Betiyon ke Sath Neki ka Badla

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Betiyon ke Sath Neki ka Badla ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoollullah ο·Ί ne farmaya jo mubtala ho betiyon mein (yani jiski betiyan ho) aur wo unkey saath neki karey to wo Qayamat ke din uski aad (protection) hongi jahannam se.  - πŸ“” (Muslim, 6693, 6362) *πŸ“š Hadees:* Rasoollullah ο·Ί ne farmaya jo Do betiyon ko paaley unkey jawan honey tak, Qayamat ke din wo aur main is tarah se aayengey aur aapney apni unglion ko mila kar bataya.  - πŸ“” (Muslim, 6695, 6364) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jis Se Logon ko Takleef Ho

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦ Jis Se Logon ko Takleef Ho ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ο·Ί ne farmaya Maine jannat mein Ek Shaksh ko Mazey kartey huye dekha jisney ek darakht ko raah mein se kaat diya tha jis sey logon ko takleef hoti thi.  - πŸ“” (Muslim, 6671, 6341) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khana Khilao Aur Salam karo

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Khana Khilao Aur Salam karo* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees :* Hazrat Abdullah bin Amr RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasoolullah ο·Ί se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Rasoolullah ο·Ί ne farmaya khana khilao aur salam karo use jise tum pahchante ho use bhi aur jise tum nahi pahchante ho use bhi. - πŸ“— [Sahih Bukhari : 6236] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jumaa ka din sabse afzal hai

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦ Jumaa ka din sabse afzal hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazrat Aadam Alaihissalam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah ο·Ί Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey, to Aap ο·Ί ne farmaya Allah taala ne Ambiya karam ke Jism ko Mitti par haram kar diya hai. - πŸ“” (Abu Dawood, 1035, 1047) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Teen baato ki Waseeyat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Teen baato ki Waseeyat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu Zarr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne mujhe teen baato ki waseeyat farmayee jo main in sha Allah kabhi nahi chorhunga, pehla Chasht (Duha) ki namaz padhne ki aur dusra sone se pahle witr ki namaz ada kar lene ki aur teesra har mahine 3 din roza rakhne ki. - πŸ“” (Sunan Nasaii, 315, 2406) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Bina Hisab Ke Jannat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Bina Hisab Ke Jannat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Nabi ο·Ί ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain. - πŸ“” (Sahih Bukhari, 6472) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Arsh ke Saaye mein panaah

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦ Arsh ke Saaye mein panaah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Saat tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye.  - πŸ“” (Sahih Bukhari, 6479) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qayamat ki Nishaniyan

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦  Qayamat ki Nishaniyan  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu Huraira Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya Qareeb ho jayega zamana (Qayamat ke) aur utha liya jayega ilm, aur Aalam mein fasaad phail jayega aur dilon mein bakhili dali jayegi (log zakat aur khairat na dengey) aur harj bahut hoga logo ne kaha Ya Rasool-Allah ο·Ί harj kya hai Aapne farmaya Qatl. - πŸ“” (Muslim, 6792, 6458) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jismein Ye 4 khaslatein Ho

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦ Jismein Ye 4 khaslatein Ho ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollullah ο·Ί ne farmaya jismein 4 khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga aur ismein se ek aadat bhi ho to usmein nifaq hoga jab tak ki wo ye chodh na de. (1) Jab baat karey to jhoot bole, (2) Jab wada karey to pura na kare, (3) Jab mua’ahida (ahad) kare to be wafaii kare, (4) Aur jab ladaii kare to bad-zubani par utaraaye. - πŸ“” (Sahih Bukhari, 2459) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khudkushi (Sucide)

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦  Khudkushi (Sucide)  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya Jisney pahaad se ludhak kar (unchaee se kood kar) khudkushi ki wo jahannam me hamesha hamesh ludhkta rahega, Jisney lohey ke tukdey (yani hathiyar) se khudkushi ki uskey haath me wo loha hoga aur jahannam me hamesha hamesh apney peit me khonpta rahega, Jisney zahar khaa kar khudkushi ki uskey hath me zahar hoga aur wo jahannam me hamesha usey phaankta rahega. - πŸ“” (Sahih Bukhari, 5778) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁