Posts

Showing posts from January, 2020

Ambiya ki Sunnat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄        *✦  Ambiya ki Sunnat  ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Huzoor ï·º ka irshaad hai: Chaar cheezein Ambiya ki Sunnaton mein se hai: Sharm-o-Haya, Khushbu lagaana, Miswaak karna aur Nikaah karna. - 📔 (Tirmizi: 1080) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Chugalkhor-Geebat karne Wala

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Chugalkhor-Geebat karne Wala ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Huzaifa Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º ne farmaya chugalkhor (Geebat karne wala) jannat mein nahi jayega.  - 📔 (Muslim, 290, 189) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Betiyon ke Sath Neki ka Badla

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦ Betiyon ke Sath Neki ka Badla ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoollullah ï·º ne farmaya jo mubtala ho betiyon mein (yani jiski betiyan ho) aur wo unkey saath neki karey to wo Qayamat ke din uski aad (protection) hongi jahannam se.  - 📔 (Muslim, 6693, 6362) *📚 Hadees:* Rasoollullah ï·º ne farmaya jo Do betiyon ko paaley unkey jawan honey tak, Qayamat ke din wo aur main is tarah se aayengey aur aapney apni unglion ko mila kar bataya.  - 📔 (Muslim, 6695, 6364) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jis Se Logon ko Takleef Ho

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦ Jis Se Logon ko Takleef Ho ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollullah ï·º ne farmaya Maine jannat mein Ek Shaksh ko Mazey kartey huye dekha jisney ek darakht ko raah mein se kaat diya tha jis sey logon ko takleef hoti thi.  - 📔 (Muslim, 6671, 6341) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khana Khilao Aur Salam karo

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄      *Khana Khilao Aur Salam karo* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin Amr RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasoolullah ï·º se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Rasoolullah ï·º ne farmaya khana khilao aur salam karo use jise tum pahchante ho use bhi aur jise tum nahi pahchante ho use bhi. - 📗 [Sahih Bukhari : 6236] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jumaa ka din sabse afzal hai

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦ Jumaa ka din sabse afzal hai ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazrat Aadam Alaihissalam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah ï·º Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey, to Aap ï·º ne farmaya Allah taala ne Ambiya karam ke Jism ko Mitti par haram kar diya hai. - 📔 (Abu Dawood, 1035, 1047) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Teen baato ki Waseeyat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄     *✦ Teen baato ki Waseeyat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Zarr Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º ne mujhe teen baato ki waseeyat farmayee jo main in sha Allah kabhi nahi chorhunga, pehla Chasht (Duha) ki namaz padhne ki aur dusra sone se pahle witr ki namaz ada kar lene ki aur teesra har mahine 3 din roza rakhne ki. - 📔 (Sunan Nasaii, 315, 2406) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Bina Hisab Ke Jannat

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Bina Hisab Ke Jannat ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Ibn Abbas Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Nabi ï·º ne farmaya meri ummat ke 70,000 log bina hisab ke jannat mein jayenge ye wo log honge jo Jhaad-foonk nahi karate hain aur na Shagun lete hain aur apne Rab hi par bharosa rakhte hain. - 📔 (Sahih Bukhari, 6472) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Arsh ke Saaye mein panaah

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦ Arsh ke Saaye mein panaah ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º ne farmaya Saat tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye.  - 📔 (Sahih Bukhari, 6479) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Qayamat ki Nishaniyan

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦  Qayamat ki Nishaniyan  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abu Huraira Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ï·º ne farmaya Qareeb ho jayega zamana (Qayamat ke) aur utha liya jayega ilm, aur Aalam mein fasaad phail jayega aur dilon mein bakhili dali jayegi (log zakat aur khairat na dengey) aur harj bahut hoga logo ne kaha Ya Rasool-Allah ï·º harj kya hai Aapne farmaya Qatl. - 📔 (Muslim, 6792, 6458) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Jismein Ye 4 khaslatein Ho

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  *✦ Jismein Ye 4 khaslatein Ho ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Hazrat Abdullah bin 'Amr Radiallahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollullah ï·º ne farmaya jismein 4 khaslatein (aadatein) ho wo munafiq hoga aur ismein se ek aadat bhi ho to usmein nifaq hoga jab tak ki wo ye chodh na de. (1) Jab baat karey to jhoot bole, (2) Jab wada karey to pura na kare, (3) Jab mua’ahida (ahad) kare to be wafaii kare, (4) Aur jab ladaii kare to bad-zubani par utaraaye. - 📔 (Sahih Bukhari, 2459) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Khudkushi (Sucide)

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄         *✦  Khudkushi (Sucide)  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ï·º ne irshaad farmaya Jisney pahaad se ludhak kar (unchaee se kood kar) khudkushi ki wo jahannam me hamesha hamesh ludhkta rahega, Jisney lohey ke tukdey (yani hathiyar) se khudkushi ki uskey haath me wo loha hoga aur jahannam me hamesha hamesh apney peit me khonpta rahega, Jisney zahar khaa kar khudkushi ki uskey hath me zahar hoga aur wo jahannam me hamesha usey phaankta rahega. - 📔 (Sahih Bukhari, 5778) ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁