Posts

Showing posts from April, 2020

Ramzan me ye chaar chize

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄   *✦​ Ramzan me ye chaar chize ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne (Ramzan ke mutaallliq) irshaad farmaya: Aur chaar chizon ki is (Ramzan) me kasrat rakha karo, Kalimah Taiyebah Aur Istighfaar ki kasrat karo, Jannat ki talab karo Aur aag se panaah maango.   - πŸ“” [Ibne Khuzaimah: 1887] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Ramzan ke Rozey

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​  Ramzan ke Rozey  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs (qasdan, janbujh kar) kisi shar'ee uzr ke bagair Ramzan ke ek rozey ko toud dey, To umr bhar roza rakhna bhi us (ek rozey) ka badal nahi ho sakta.   - πŸ“” [Abu Dawood: 2396] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ 🌎Www.AajkiAchchiBaat.Com

Rozey ki haalat me Jhoot

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄    *✦​ Rozey ki haalat me Jhoot ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs (rozey ki haalat me bhi) Jhuthi baatein aur burey aamaal na chhodey, To Allah Ta'ala ko us ke bhuka pyasa rehney ki koi Zarurat nahi.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1903] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Iftar ke waqt Rozedar ki Dua

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Iftar ke waqt Rozedar ki Dua ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abdullah bin Amr bin As RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya iftar ke waqt rozedar ki dua radd nahi hoti.   - πŸ“” [Ibne Maaja: 1753] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​​​​Roze ki fazeelat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Rasoolullah ο·Ί ne irshaad farmaya: Jo shakhs Allah Ta'ala ki raza ke liye ek din ka rozah rakhega To Allah Ta'ala us ke aur jahannam ke darmiyaan eik aise khandaq bana dega Jis ki masaafat (distance) aasmaan wa zameen ke darmiyaan ke baraabar hogi. - πŸ“” [Tirmizi: 1624] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​​​​Roze ki fazeelat

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄           *✦​  ​​​​Roze ki fazeelat  ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“– Al Qur'aan:* Allah Ta'ala ka irshaad hai: Aye imaan waalo ! Tum par roze farz kar diye gaye hain, jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taake tumhaare andar taqwa paida ho. - πŸ“” [Sura-e-Baqarah: 183] *πŸ“š Hadees:* Rasool Akram ο·Ί ne irshaad farmaaya: Jo aadmi sharai uzr aur beemaari ke bagair Ramazaan ka ek rozah bhi chhod de, phir woh us ki jagah umr bhar bhi roze rakhe, to jo cheez faut ho gai woh poori ada nahin ho sakti. - πŸ“” [Sahih Muslim: 2763] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Agar Roze me bhul se khaya

πŸ•ŒπŸ•ŒπŸ•Œ        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄ *✦​ Agar Roze me bhul se khaya ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *πŸ“š Hadees:* Hazrat Abu huraira RaziyAllahu anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ο·Ί ne farmaya jab koi bhul gaya aur kha liya aur pi liya to usey chahiye ki apna roza pura karey kyunki usey Allah taala ne khilaya aur pilaya.   - πŸ“” [Sahih Bukhari: 1933] ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁