Posts

Showing posts from December, 2017

01-01-2018​

​ Aur tum ek doosre ko taana na diya karo aur na ek doosre ko bure naamon se pukaaro. (Sura-e-Hujuraat: 11)

Allah Ta'ala Se Dur

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦ Allah Ta'ala Se Dur ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Allah Ta'ala ke zikr ke alaawah ziyadah baatein na kiya karo, Kyun ki is se dil me sakhti paida hoti hai, Aur logon me Allah Ta'ala se ziyadah dur wo aadmi hai jiska dil sakht ho.      - 📔 [Tirmizi: 2411] *Subscribe Kare​👇🏻​​​​​​​​​​​​​​* Youtube.com/IslamicGroupAk ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

31-12-2017​

​ Gaali galoch karne waale donon shaitaan hain, jo ek doosre par bohtaan (ilzaam) lagaate hain aur jhoot bolte hain. (Musnade Ahmad: 17483)

​30-12-2017​

Tum zulm-o-sitam karne se bacho! Is liye ke zulm-o-sitam ki saza doosri sazaaon ke muqaable mein jaldi milti hai. (Tabraani Ausat: 5664)

​29-12-2017​

Rahman (Allah) ke bande woh hain jo zameen par aajizi se chalte hain. (Sura-e-Furqaan: 63)

Jum’ah Ke Din Ek Maqbool Ghadi Hai Jis Me Du’a Qabool Hoti Hai

*جمعہ کے دن ایک مقبول گھڑی ہے جس میں دعا قبول ہوتی ہے* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’جمعہ کے دن ایک گھڑی ایسی ہوتی ہے کہ کوئی بھی مسلمان اس میں کھڑا ہو کر نماز پڑھے، اور بھلائی کی دعا مانگے تو اللہ تعالیٰ اس کو وہ عطا فرمادیتے ہیں۔‘‘*(بخاری:۹۳۵) *(اُس گھڑی کو عصر سے سورج ڈوبنے کے درمیان میں تلاش کرو۔)* *Jum’ah Ke Din Ek Maqbool Ghadi Hai Jis Me Du’a Qabool Hoti Hai * Rasoolullaah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya: *“ Jum’ah Ke Din Ek Ghadi Aesi Hoti hai Ke Koi Bhi Musalmaan Us Me Khada Ho Kar Namaaz Padhe, Aur Bhalaayi ki Du’aa Maange To Allah ta’ala Us Ko Woh Ataa Farma Dete Hain”* 📓 [BUKHARI : 935] *Us Ghadi Ko Asr Se Suraj Dubne Ke Darmiyaan Me Talaash Karo.*

Yateem Ka Ikraam

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​ Yateem Ka Ikraam ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jab koi shakhs sirf Allah ki khushnudi ke liye yateem ke sar par hath pheirta hai, To Allah Ta'ala har baal ke badley me neikiyaan ataa farmatey hai, Aur jo yateem ke sath achchha bartaa'o karega mai aur wo jannat me do ungliyon ki tarah hongey, Rasoolullah ﷺ ne shahaadat aur bich ki ungliyon ko pheila kar bataya. - 📗 [Musnad e Ahmad: 21649] *Subscribe Kare​👇🏻​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​* Youtube.com/IslamicGroupAk ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​28-12-2017​

Bhali baat sikhaana behtar hai khaamooshi se aur khaamooshi behtar hai buri baat sikhaane se. (Shoabul Imaan: 4993)

27-12-2017​

​ Tanhaai bure saathi se behtar hai aur nek saathi tanhaai se behtar hai. (Shoabul Imaan: 4993)

​26-12-2017​

Rasoolullah (s.a.w.) ne aurton se farmaaya ke aurtein raaston ke darmiyaan na chalein balke kinaaron par chalein. (Abu Daaood: 5272)

Kisi Takleef Ki Bina Par Maot Ki Du”aa Naa Karna

*کسی تکلیف کی بنا  پرموت کی دعا نہ کرنا* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’تم میں سے کوئی اپنے اوپر واقع مصیبت کی وجہ سے موت کی تمنا نہ کرے۔‘‘*(بخاری:۶۳۵۱) *Kisi Takleef Ki Bina Par Maot Ki Du”aa Naa Karna * Rasoolullaah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya: *“ Tum Me Se Koi Apne Upar Waaqe Museebat Ki Wajah Se Maot Ki Tamanna Na Kare.”* 📓 [BUKHARI : 6351]

​25-12-2017​

Yateemon ko un ke maal de diya karo aur kharaab maal ko achchhe maal se tabdeel na kiya karo. (Sura-e-Nisa: 2)

24-12-2017​

​ Sab se afzal sadqa woh hai jo aise rishtedaar par kiya jaaye jis ne dil mein dushmani chhupa rakhi ho. (Shoabul Imaan: 3427)

23-12-2017​

​ Tum log (maal-o-daulat aur dunyawi raahat-o-aaraam mein) apne se oopar waalon ko na dekho (is se laalach aur hasad paida hoga) aur tum log hamesha apne se neeche ke logon ko dekho (is se shukr ada karne ka jazba paida hoga). (Musnade Ahmad: 21415)

Maut ke baad ka afsos

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄       *✦ Maut ke baad ka afsos ✦* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* *Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba Raziyallahu anhuma ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega..*   *- 📗 [Tirmizi : 2403]* *Subscribe Kare​👇🏻​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​* Youtube.com/IslamicGroupAk ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

​22-12-2017​

Kanjoosi aur fuzool kharchi se bachte huwe kharch karna aadhi kamaai hai. (Shoabul Imaan: 6568)

21-12-2017​

​ Qasmon ko pukhta karne ke baad unhein mat todo. (Sura-e-Nahl: 91)

​20-12-2017​

Tum mein se koi shakhs (bila ijazzat) apne bhaai ka saamaan na mazaaq mein le aur na hi haqeeqat mein le. (Abu Daaood: 5003)

Ghar Ke Kaam Me Haath Bataana

*گھر کے کام میں ہاتھ بٹانا* *حضرت عائشہ رضی اللہ عنھا سے پوچھا گیا کہ گھر میں نبی صلی اللہ علیہ وسلم کیا کام کرتے تھے؟* *حضرت عائشہ رضی اللہ عنھانے فرمایا: نبی صلی اللہ علیہ وسلم گھر کے کام میں ہاتھ بٹا دیا کرتے اور جب نماز کا وقت ہو جاتا تو نماز کے لیے چلے جاتے۔‘‘*(بخاری:۶۷۶) *Ghar Ke Kaam Me Haath Bataana * *Hazrat Aayesha رضی اللہ عنھا Se Puchha Gaya Ke Ghar Me Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Kiya Kaam Karte The?* *Hazrat Aayesha رضی اللہ عنھا Ne Farmaaya: Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Ghar Ke Kaam Me Haath Bataa Diya Karte Aur Jab Namaaz Ka Waqt Ho Jaata To Namaaz Ke Liye Chale Jaate.”* 📓 [BUKHARI : 676]

​19-12-2017​

Tum achchhe akhlaaq aur khamooshi ki aadat banaalo. Qasam us zaat ki jis ke qabze mein Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ki jaan hai makhlooq ne in donon jaisi khoobiyon ko apne andar paida nahin kiya. (Shoabul Imaan: 4941)

​18-12-2017​

Agar kisi ne tumhaare paas koi cheez amaanat rakhi to (maangne par) us ko amaanat waapas kar do. (Abu Daaood: 3535)

17-12-2017​

​ Aye Imaan waalo! Mard doosre mardon ka mazaaq na udaaein, ho sakta hai ke woh (jin ka mazaaq udaaya gaya hai) khud un se(mazaaq udaane waalon se) behtar hon. (Sura-e-Hujuraat: 11)

Adna (M’amuli) Hadye Ko Bhi Haqeer Na Samajhna

*ادنی ٰ (معمولی) ہدیہ کو بھی حقیر نہ سمجھنا* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’اے مسلمان عورتو!کوئی پڑوسن اپنے پڑوسی کے ہدیہ کو حقیر نہ سمجھے چاہے بکری کی کھُر ہی ہو۔‘‘*(بخاری:۲۵۶۶) *Adna (M’amuli) Hadye Ko Bhi Haqeer Na Samajhna* Rasoolullaah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya: *“ Aye Musalmaan Aurto! Koi Padosan Apne Padosi Ke Hadye Ko Haqeer Na Samjhe, Chaahe Bakri Ki Khur Hi Ho”*[BUKHARI :2566]

​16-12-2017​

3 cheezon ko waapas nahin karna chaahiye: 1) Takiya, 2) Itr, 3) Doodh. (Tirmizi: 2790)

Jum’ah Ke Din Ki Maqbool Ghadi Jis Me Du’a Qabool Hoti Hai*

*جمعہ کے دن کی مقبول گھڑی جس میں دعا قبول ہوتی ہے* رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: *’’جمعہ کے دن جس گھڑی کی امید دلائی گئی ہے اُس گھڑی کو عصر سے سورج ڈوبنے کے درمیان میں تلاش کرو۔‘‘*(ترمذی:۴۸۹) *Jum’ah Ke Din Ki Maqbool Ghadi Jis Me Du’a Qabool Hoti Hai* Rasoolullaah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya: *“ Jum’ah Ke Din Jis Ghadi Ki Ummid Dilaayi Gayi Hai Us Ghadi Ko Asr Se Suraj Dubne Ke Darmiyaan Me Talaash Karo. ”* 📓 [Tirmizi : 489]

ALLAH KI  TAARIF

🔶      ﷽    🔶 💌💌💌💌💌 💝   ALLAH    💝 🌋       KI        🌋 🌻   TAARIF    🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Sab se pehley Jannat ki taraf wo log pukarey jaengey Jo khushi aur ghamee, aasaani aur pareshani me Allah ki taarif aur hamd bayaan kartey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSTDRK-1851 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (596) *════════════* *Subscribe Kare​👇🏻​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​​* Youtube.com/ IslamicGroupAk

15-12-2017​

​ Munaafiq ki 3 nishaaniyaan hain: 1) Jhoot bolna, 2) Waada khilaafi karna, 3) Amaanat mein khayaanat karna. (Bukhaari: 33)

14-12-2017​

​ Jab kisi ko (halal riqz ka) koi zariya mil jaaye to woh us ko (khushi se) ikhtiyaar kar le (chaahe kam hi kyun na ho). (Ibne Maaja: 2147)

13-12-2017​

​ Allah se darte raho, Allah yaqeenan tumhaare tamaam kaamon se poori tarah baakhabar hai. (Sura-e-Maaidah: 8)

12-12-2017​

​ Jo shakhs kisi tang dast maqrooz ko mohlat de ya maaf karde to Allah Ta'ala qayaamat ke din aise shakhs ko apni rahmat ke saaye mein jagah dega. (Muslim: 7704)

​11-12-2017​

Jo shakhs maal-o-daulat badhaane ke liye (logon se) maangne shuru karta hai to Allah Ta'ala us ki daulat ko us se bhi kam kar denge. (Musnade Ahmad: 9624)

10-12-2017​

​ Aye Imaan waalo! Allah se daro aur sachche logon ke saath raha karo. (Sura-e-Tauba: 119)

​09-12-2017​

Kisi qaum ki dushmani tumhein (un ke saath) naainsaafi karne par na ubhaare, (balke us waqt bhi tum) insaaf se kaam lo, yahi tareeqa taqwa se ziyaada qareeb hai. (Sura-e-Maaidah: 8)

​08-12-2017​

Jo shakhs rishtedaaron ka haq ada karne ke liye sadqe ka darwaaza kholta hai to Allah Ta'ala us ki daulat ko badha deta hai. (Musnade Ahmad: 9624)

​07-12-2017​

Insaan mein paai jaane waali sab se buri aadatein; intihaai darje ka laalach aur buzdili hai. (Abu Daaood: 2511)

Aap صلی اللہ علیہ وسلم  Ke Huqooq-o-Aadaab Part 03

*آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے حقوق وآداب* (۹) *کثرت سےآپ صلی اللہ علیہ وسلم پر درود وسلام بھیجتے رہنا۔* (۱۰) *اہلِ بیت اور آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی آل اولاد سے محبت رکھنا۔* (۱۱) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے صحابہ رضی اللہ عنھم اجمعین سے محبت رکھنا۔* [ختم شد] (از:سنن و آداب) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم  Ke Huqooq-o-Aadaab * (9) *Kasrat Se Aap صلی اللہ علیہ وسلم Par Darood-o-Salaam Bhejte Rehna.* (10) *Ehl-e-Bait Aur Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ki Aal Aulaad Se Mohabbat Rakhna.* (11) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ke Sahaabah رضی اللہ عنھم اجمعین Se Mohabbat Rakhna.* [The End] 📓 [Az:Sunan-wa-Aadab]

06-12-2017​

​ Koi mard doosre mard ka aur koi aurat doosri aurat ka satar na dekhe. (Muslim: 794)

06-12-2017​

​ Koi mard doosre mard ka aur koi aurat doosri aurat ka satar na dekhe. (Muslim: 794)

​05-12-2017​

Aye Imaan waalo! Allah se daro aur sachche logon ke saath raha karo. (Sura-e-Tauba: 119)

04-12-2017​

​ Munaafiq ki 3 nishaaniyaan hain: 1) Jhoot bolna, 2) Waada khilaafi karna, 3) Amaanat mein khayaanat karna. (Bukhaari: 33)

Aap صلی اللہ علیہ وسلم  Ke Huqooq-o-Aadaab

*آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے حقوق وآداب* (۵) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کےخاتم النبیین ہونے کاعقیدہ رکھنا۔* (۶) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے متعلق معصوم و بے گناہ ہونے کا یقین کرنا۔* (۷) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی ادنی ٰمخالَفت سے بھی اپنے آپ کوبچانا۔* (۸) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی محبت میں غلو (یعنی اللہ سبحانہ وتعالیٰ کے ساتھ مخصوص صفات کوآپ صلی اللہ علیہ وسلم کے لیےثابت ماننے) سے بچنا۔*(از:سنن و آداب) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم  Ke Huqooq-o-Aadaab * (5) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ke Khaatam-un-Nabiyyeen Hone Ka Aqeedah Rakhna.* (6) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ke Muta’alliq Ma’asoom Wa Be Gunaah Hone Ka Yaqeen Karna.* (7) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ki Adnaa Mukhaalafat Se Bhi Apne Aap Ko Bachaana.* (8) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ki Mohabbat Me Gulow (Yaani Allah Sub’haanahu Wa Ta’aala Ke Saath Makhsoos Sifaat Ko Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ke Liye Saabit Maanne) Se Bachna.* 📓 [Az:Sunan-wa-Aadab]

03-12-2017​

​ Jis ne zahar kha kar khudkushi ki hogi, to us ke haath mein zahar hoga aur woh Jahannam mein hamesha hamesh use phaankta rahega. (Bukhaari: 5778)

Aap صلی اللہ علیہ وسلم  Ke Huqooq-o-Aadaab*

*آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے حقوق وآداب* (۱) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم پر ایمان لانا۔* (۲) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی اطاعت و پیروی کرنا۔* (۳) *سب سے زیادہ  آپ صلی اللہ علیہ وسلم سے محبت کرنا۔* (۴) *آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے متعلق سب سے افضل ہونے کا عقیدہ رکھنا۔* (از:سنن و آداب) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم  Ke Huqooq-o-Aadaab* (1) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Par Imaan Laana.* (2) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ki Itaa’at Wa Pairwi Karna.* (3) *Sab Se Ziyaadah Aap صلی اللہ علیہ وسلم Se Mohabbat Karna.* (4) *Aap صلی اللہ علیہ وسلم Ke Muta’alliq Sab Se Afzal Hone Ka Aqeedah Rakhna.* 📓 [Az:Sunan-wa-Aadab]

​02-12-2017​

Haq baat na maanna aur logon ko haqeer samajhna takabbur hai. (Shoabul Imaan: 8152)

01-12-2017​

​ Naap tol poora poora kiya karo aur logon ko un ki cheezein kam kar ke na diya karo, aur zameen mein us ki islaah ke baad fasaad mat phelaate phiro. (Sura-e-Araaf: 85)