Posts

Showing posts from February, 2016

SHAHEED KOUN

💐     (0221)    💐 💌💌💌💌💌 20-J.Awwal-1437 01- March - 2016 💌💌💌💌💌 🌻 SHAHEED 🌻 💢   KOUN     💢 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Paanch (5) log shaheed he, Ta'uun (plague-પ્લેગ) me marney wala, Peit ki bimari me marney wala, Doob kar marney wala, Deewar wagairah ke girney se (dab kar) marney wala, Allah ki raah me qatl honey wala. 🔹🔹🔹🔹🔹 BUKHARI 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁 Sacche Imaan wale log 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁 Sacche Imaan wale log 🍁 ♥Al Quran : Imaan wale to wo hi hain jab Allah subhanahu ka naam aaye to unke Dil dar jaye aur jab uski aaytein un par padhi jaye to unka Imaan ziyada ho jata hai Aur wo apne RAB par bharosa rakhte hain. Wo jo Namaz Qayam karte hain aur jo humne unhe Rizq diya hai usmein se kharch karte hain. Yahi sacche Imaan wale hain aur unke RAB ke yahan unke liye Darje hain aur bakhshish hai aur ezzat ka rizq hai. - 📖 {Surah Anfal (8), Verse: 2-4} 📚Hadees: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Saat tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 6479) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

IMAAN KI HAQIQAT

💐     (0220)    💐 💌💌💌💌💌 19-J.Awwal-1437 29-February-2016 💌💌💌💌💌 💝    IMAAN   💝 🌅        KI       🌅 🌻  HAQIQAT 🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Bandah jab tak apni zubaan ki hifaazat na karley, imaan ki haqiqat ko haasil nahi kar sakta. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI, MJMAUZ ZWAAID 1/543 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/786)

🍁Gustakh e Rasool ka Anjam🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Gustakh e Rasool ka Anjam🍁 📚Hadees: Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek shaksh pahle Esaayee (Christian) tha, phir wo Islam mein Dakhil ho gaya tha, usne Surah baqra aur Aal-e-Imran parh li phir wo Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ka munshi (unke liye likhny wala) ban gaya, phir wo shaksh murtad ho gaya aur Esaayee ban gaya aur kahne laga ki Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko jo kuch maine likh diya hai uske siwa unhey kuch bhi malum nahi, phir Allah ke hukm se usey Maut aa gayee, aur uske aadmeeyon ne usey dafan kar diya jab subah huyee to sabne dekha ki uski laash Qabr se nikal kar zameen ke upar pardi hai, Eesaeeyon ne kaha ki ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) aur unke saathiyon ka kaam hai, kyunki uska deen isne chor diya tha, isliye unhone iski Qabr khodi hai, aur lash ko bahar nikal kar phenk diya hai, phir unhone dusri Qabr khodi jo bahut ziyada gahri thi, lekin jab subha huyee to phir laas

ALLAH KA MEHBUB

💐     (0219)    💐 💌💌💌💌💌 18-J.Awwal-1437 28-February-2016 💌💌💌💌💌 💝   ALLAH    💝 🌅      KA        🌅 🌻 MEHBUB  🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Allah T'aala parheizgaar, Makhluq se be'niyaaz, Gumnaam bandey ko pasand farmatey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM -7432 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/647)

🍁Quran Padhta ja Jannat Ke Darjon pr Chadhta ja🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐ 🍁Quran Padhta ja Jannat Ke Darjon pr Chadhta ja🍁 💎 Hadees: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: (Qayaamat ke din) Saahib-e-Qur'an (Hafiz) se kaha jaayega: Qur'an padhta ja aur Jannat ke darjon par chadhta ja, aur thhaher thhaher kar padh jaisa ke tu duniya mein thhaher thhaher kar padhta tha. Bas tera maqaam wahi hoga jahaan teri aakhri aayat ki tilaawat khatam hogi.              (Abu Daawood: 1464) ◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐═══◐

🍁Allah Ta'ala Ki Yaad Se Ghaafil🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Allah Ta'ala Ki Yaad Se Ghaafil🍁 💎 Qur'an mein Allah Ta'ala farmaata hai (Tarjama): Aur jo Allah Ta'ala ki yaad se ghaafil hota hai, to Ham us par ek shaitaan musallat kar dete hain, fir har waqt wo uske saath rahta hai.                       (Qur'an: 43: 36) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

MO'AJIZA E RASUL

💐     (0218)    💐 💌💌💌💌💌 17-J.Awwal-1437 27-February-2016 💌💌💌💌💌 🍄MO'AJIZA 🍄 ♦        E        ♦ 💝    RASUL   💝 (Sallallahu alaihi w sallam) 💌💌💌💌💌 Eik dafa'a Rasulullah Sallallahu alaihi w sallam eik ansaari ke baag me tashrif ley gaey, Wahaan eik uunt khada tha Rasulullah Sallallahu alaihi w sallam ko deikh kar bilbilaney laga aur uus ki dono aankhon me aansu dabdaba aaey, Rasulullah Sallallahu alaihi w sallam ne qareeb jaa kar uuskey sar par aur kanptti par hath mubarak pheira toa wo chup ho gaya, Aap Sallallahu alaihi w sallam ne daryaaft kiya ke ye kiska uunt he? Toa eik noujawan ansaari sahabi aaey. Aap Sallallahu alaihi w sallam ne unsey farmaya: Kya tum inn jaanwaron ke baarey me Allah se nahi dartey ? Jinko Allah ne tumharey taabey banaya he, iss uunt ne mujh se shikaayat ki he ke tum isko bhuka rakhtey ho aur isko takleef deitey ho. 🔹🔹🔹🔹🔹 ABU DAWOOD -2549 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (535)

🍁3 din se Ziyada Naraz na hona🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁3 din se Ziyada Naraz na hona🍁 📚Hadees: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya ki kisi Momeen ke liye ye jayez nahi ki dusrey momeen ko 3 din se ziyada chodh de (yani naraz rahey) , agar 3 din guzar jaye to wo us sey miley aur salam karey agar usney salam ka jawab diya to sawab mein dono sharik ho gaye aur agar salam ka jawab nahi diya to wo (jawab na dene wala) sara gunaah le gaya. - 📔 (Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1481-Sahih) 📚Hadees: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya kisi musalman ke liye ye jayez nahi ki apne bhai ko 3 din se ziyada chor de (yani us sey naraz rahe) jisne 3 din se ziyada chorh diya aur mar gaya to wo dozakh mein dakhil hoga. - 📔 (Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1483-Sahih) •─━━━━━═════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

KIS KE BEITHEY

💐     (0217)    💐 💌💌💌💌💌 16-J.Awwal-1437 26-February-2016 💌💌💌💌💌 🌅    KIS KE   🌅 🌷     PAAS    🌷 🌻  BEITHEY  🌻 💌💌💌💌💌 Hazrat ibney Abbas (rd.) farmatey hai ke Rasulullah sallallahu alaihi w sallam se arz kiya gaya: Hamaarey liye kis ke paas beithna behtar he ? Aap sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jisko deikhney se tumhey Allah T'aala yaad aaey, Jiski baat se tumharey amal me taraqqi ho aur jiskey amal se tumhey aakhirat yaad aa jaey. 🔹🔹🔹🔹🔹 MJMUAZ ZWAAID -1/389 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/382)

🍁Musalmaan ki madad karna🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Musalmaan ki madad karna🍁 📚Hadees: Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ek musalman dusrey musalman ka bhai hai, isliye us par zulm na karey aur na zulm honeyde. Jo shaksh apney bhai ki jarurat puri karey Allah taala uski jarurat puri karega. Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur karey Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol.3,  2442) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

HUSN E AKHKAQ

💐     (0216)    💐 💌💌💌💌💌 15-J.Awwal-1437 25-February-2016 💌💌💌💌💌 💝   HUSN     💝 💢       E         💢 🌻  AKHLAQ  🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jab tum me se kisi ka khaadim (noukar) uus ke liye khaana taiyar karey, phir wo uus ke paas le kar aaey, jab ke uus ne uus ke pakaaney me garmi aur dhuein (ધૂએ) ki taklif uuthaai he, toa maalik ko chahiye ke uus khaadim ko bhi khaaney me apney sath bithaey aur wo bhi khaey, Agar wo khaana thoda ho (jo dono ke liye kaafi na ho) toa maalik ko chahiye ke khaaney me se eik do luqmey hi uus khaadim ko de dey. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM -4317 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (629)

🍁 Naimat ka izahr karna 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔    🍁 Naimat ka izahr karna 🍁 📚Hadees: Amr bin Shu'aib Radi Allahu Anhu  apne walid se aur wo unke dada se rivayat karte hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu apne bande par apni naimat ka izahr pasand karta hai - 📔 (Jamia Tirmizi, Jild 2, 723-Sahih) 📃 [Yani Allah subhanahu ki taraf se koi naimat ata ki gayee ho to usko chupana nahi chahiye.] •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

NASHIHAT RASUL SALLALLUHH ALAIHI WA SALLAM_🌸

💐     (0215)    💐 💌💌💌💌💌 14-J.Awwal-1437 24-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻  NASIHAT 🌻 🌅        E        🌅 💝   RASUL    💝 (Sallallahu alaihi w sallam) 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs momin mardon aur momin aurton ke liye istighfaar karey Allah T'aala uus ke liye har momin mardon aur har momin aurton ke badley eik neiki likh deitey hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI-1/352 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/416)

🍁Dil mein Gurur ya Ghamand🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Dil mein Gurur ya Ghamand🍁 📚Hadees: Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu  se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo shakhs jannat mein nahi jayega jiske dil mein zarre ke barabar bhi gurur ya  ghamand hoga , ek shakhs bola har  ek aadmi chahta hai ki uske kapde achche ho aur uske jutey achche ho (to kya ye bhi gurur mein hai) Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah khubusurat hai aur khubsurti ko pasand karta hai, gurur ya ghamand ye hai ki insaan haq ko nahaq bata de aur logo ko haqeer samjhe. - 📔 (Sahih Muslim, Jild 1, 265) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

🍁Aulaad Ka Haq🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔              🍁Aulaad Ka Haq🍁 💎 Qur’aan mein Allah Ta’ala farmaata hai : “Allah Ta’ala tum ko tumhaari aulaad ke haq mein hukm deta hai ke ek ladke ka hissa do ladkiyon ke hisse ke baraabar hai.”        (Sura-e-Nisa : 1) Khulaasa : Waalidain ki wiraasat mein ladke ke do hise aur ladki ka ek hissa hota hai, jis ka ada karna farz hai. •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

MAGHFIRAT Hi MAGHFIRAT

💐     (0214)    💐 💌💌💌💌💌 13-J.Awwal-1437 23-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻MAGHFIRAT🌻 🌅       HI         🌅 💝MAGHFIRAT 💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jab tum me se koee shakhs achchhi tarah wuzu kar ke namaaz ke liye nikalta he toa har daaein (right) qadam uuthaney par Allah T'aala uus ke liye eik neiki likh detey hai aur har baaein (left) qadam qadam rakhney par uus ka eik gunah muaaf kar deitey hai (ab uusey ikhtiyar he) ke chhotey chhotey qadam rakhey ya lambey lambey qadam rakhey Agar ye shakhs masjid aa kar jamaat ke sath namaaz padh leta he toa uus ki maghfirat kar di jaati he Agar masjid aa kar deikhta he ke jamaat ho rahi he aur log namaaz ka kuchh hissa padh chukey hai aur kuchh baaqi he toa uusey jitni namaaz mil jati he uusey (jamaat ke sath) padh leta he, aur baaqi namaaz khud mukammil kar leta he, Toa uus par bhi maghfirat kar di jaati he Aur agar ye shakhs masjid aa kar deikhta he ke log namaaz padh

🍁Har Neik kaam Sadqa hai🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Har Neik kaam Sadqa hai🍁 📚Hadees: Jaber bin Abdullah Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har Neik kaam sadqa hai. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 6021) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

DUNIYA SE BEHTAR

💐     (0213)    💐 💌💌💌💌💌 12-J.Awwal-1437 22-February-2016 💌💌💌💌💌 🔴   DUNIYA  🔴 🌅       SE       🌅 🌻   BEHTAR  🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jo shakhs kisi raat 10 aayaat ki tilaawat karey, uus ke liye eik Qintaar likha jata he, Qintaar duniya aur duniya me jo kuchh he uun sab se behtar he. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI, MJMUAZ ZAVAAID 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/346)

🍁Gunaaho ko khullam khulla (openly) karne wala🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Gunaaho ko khullam khulla (openly) karne wala🍁 📚Hadees: Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya meri tamam ummat ko maaf kiya jayega siwa gunaho ko khullam khulla (openly) karne walo ke aur ismein ye bhi shamil hai ki Ek shaksh raat ko koi (gunaah ka) kaam kare aur iske bawjud ALLAH subhananhu ne usko chupa diya hai magar subah uth kar wo kahne lage ki Eh Falah maine kal raat ko ye ye bura kaam kiya tha, Raat guzar gayee thi aur uske RAB ne uska gunaah chupaye rakha lekin jab subah huyee to wo khud ALLAH ke parde ko kholne laga. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 6069) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

ILM AUR AALIM

💐     (0212)    💐 💌💌💌💌💌 11-J.Awwal-1437 21-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻      ILM      🌻 🌅     AUR      🌅 💝    AALIM    💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Tum ya toa aalim bano, Ya taalib e ilm bano, Ya ilm tawajjoh se sunney waley bano, Ya ilm aur ilm walo se muhabbat karney waley bano, (inn chaar ke alaawah) paanchwi qism ke mat bano warna halaaq ho jaogey, Paanchvi qism ye he ke tum ilm aur ilm walon se bughz rakho. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI-BAZZAR 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (MA/310)

🍁Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai🍁 ♥Al Quran : Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai aur tumhe qayamat ke din pure pure badle milenge, phir jo koi dozakh se dur rakha gaya aur jannat mein dakhil hua so wo pura kaamyab hua, duniya ki zindagi to dhokhe ke maal ke siwa kuch bhi nahi hai. - 📖 {Surah Aal-e-Imran (3), verse 185} 📚Hadees: Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhuma ne kaha ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mera shaana pakad kar farmaya Duniya mein is tarah raho jaise musafir ho ya raasta chalne wala ho Ibn Umar kaha karte they ki sham ho jaye to subah ke muntazir na raho aur subah ho jaye to sham ke muntazir na raho, Apni sehat ko marz se pahle ganeemat jano aur zindagi ko maut se pahle. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 6416) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

DUA KI QUBULIYAT

💐     (0211)    💐 💌💌💌💌💌 10-J.Awwal-1437 20-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻     DUAA     🌻 🌅        KI        🌅 🍄QUBULIYAT🍄 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Do chizein Allah T'aala ke darbaar me radd nahi ki jaati, Eik Azaan ke waqt ki duaa, Dusari jihaad (me saffbandi) ke waqt ki duaa. 🔹🔹🔹🔹🔹 ABU DAWOOD 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (BM-4/123)

HIKMAT KE MOTI

💐     (0210)    💐 💌💌💌💌💌 09-J.Awwal-1437 19-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻  HIKMAT   🌻 🌅      KE        🌅 🔶    MOTI      🔶 💌💌💌💌💌 Eik buzurg se kisi ne daryaft kiya: Ham ilm ki baatein suntey he lekin uus se faaidah nahi hota, iski wajah kya he ? Farmaya: Tumharey andar paanch (5) baatein hai jinki wajah se tum iss neamat se mahrum ho. 1-Allah ki neamaton ka shukr ada nahi kartey, 2-Gunah ke baad istigfaar nahi kartey, 3-Jitna jaantey ho uspar amal nahi kartey, 4-Neik logon ki sohbat me beithtey ho lekin unki ittiba'a nahi kartey, 5-Moordon ko dafan kartey waqt ibrat haasil nahi kartey. 🔹🔹🔹🔹🔹 RWDTUS SALEHIN JILD-2 Safah -92  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁Aurat ka 3 din se zyada ka Safar🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Aurat ka 3 din se zyada ka Safar🍁 📚Hadees: Abu Said Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo aurat Allah subhanahu aur aakhirat par imaan rakhti ho uske liye ye baat jayaz nahi ki wo bina apne baap ya bhai ya shohar ya bete ya bina kisi mahram ke 3 din se zyada ka safar (travel) kare - 📔 (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1713-Sahih) 📚Hadees: Abullah bin umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya aurat 3 din se zyada us waqt tak safar na kare jab tak uske saath uska mahram na ho. - 📔 (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1714-Sahih) 📃 Mahram yani wo Shaksh jiske saath uska shareeyat ke hisab se nikah nahi ho Sakta. •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

SAFAR SE PEHLEY

💐     (0209)    💐 💌💌💌💌💌 08-J.Awwal-1437 18-February-2016 💌💌💌💌💌 🚌    SAFAR   🚌 💢      SE        💢 🌅  PEHLEY   🌅 💌💌💌💌💌 Eik shakhs ne Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ki khidmat me haazir hokar arz kiya: Ya Rasulullah ! mai Bahrain tijarat ke liye jaana chahta hun. Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: (Safar se pehley) Do raka'at nafal padh lena. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁Jannat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka saath🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Jannat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka saath🍁 📚Hadees: Rabi bin Kab al-Aslami Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke saath raha karta tha aur main Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke wudhu aur jaruriyat ke liye pani laata tha, ek baar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhse maang kya maangta hai, Maine kaha ki jannat mein Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka saath maangta hu Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya iskey alawa aur kuch mainey kaha mujhe bas yahi chahiye, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya apney liye zyada se zyada sajde karke (yani zyada Namaz paddkar) meri madad kar. - 📔 (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1307 - Sahih) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

ROSHNI KE MINAR

💐     (0208)    💐 💌💌💌💌💌 07-J.Awwal-1437 17-February-2016 💌💌💌💌💌 🌅  ROSHNI   🌅 🌷       KE       🌷 🌻   MINAR    🌻 💌💌💌💌💌 Imam Aaseem (rh.) jab masjid e Nabwi me jatey toa wahan Quran padha kartey the. aur unkey munh se khushbu aaya karti thi. kisi ne puchha: Hazrat ! kya aap munh me ilaeechi rakhtey he ya koee aur chiz rakhtey hai? Hamney itnee khushbu nahi sunghi. Wo kehney lagey: Nahi ! Baat ye he ke eik martaba khwab me Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ki ziyarat naseeb huee toa Nabi  sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Aaseem ! tu itnee muhabbat ke sath Quraan padhta he ke mujhey bahot pasand aata he, Aa'o mai tumharey munh ko bosa de dun. Jab se Nabi  sallallahu alaihi w sallam ne khwab me merey munh ko bosa diya he uus waqt se merey munh se khushbu aati he. 🔹🔹🔹🔹🔹 SUB'HANALLAH 💝💝💝💝💝 KHUTBAT E ZULFIQAR Jild -10 Safah-174  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (209 ATW)

🍁Waleema ki dawat ka khana🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Waleema ki dawat ka khana🍁 📚Hadees: Abu Hurairah Radi allahuanhu se rivayat hai ki waleema ka wo khana badtareen khana hai jismein sirf maaldaron ko dawat di jaye aur mohtajon ko na khilaya jaye aur jisney waleema ki dawat Qubul karney se inkar kiya usney ALLAH aur uskey Rasool (Sallallahu Alaihi wasallam) ki nafarmani ki. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5177) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

WALIDEN KE HUQUQ

💐     (0207)    💐 💌💌💌💌💌 06-J.Awwal-1437 16-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻 WALIDEN  🌻 🌅       KE       🌅 🍄  HUQUQ   🍄 💌💌💌💌💌 Eik shakhs ne Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ki khidmat mei hazir ho kar arz kiya: Ya Rasulullah ! (sallallahu alaihi w sallam) ! merey walidein ki wafaat ke baad khair ki koee aisi chiz baqi he jiskey zariye mai unkey saath neiki ka mu'aamla kar sakun? Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Haan, unkey liye duaa e rahmat aur istigfaar karna aur unki wafaat ke baad unki wasiyyat ko pura karna aur unkey muta'alliqin ke saath silarahmi karna aur unkey doston ka ikraam karna. 🔹🔹🔹🔹🔹 ABU DAWOOD 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNE KI GUZARISH 

🍁Chugal khor ko Qabr ka Aazab🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Chugal khor ko Qabr ka Aazab🍁 📚Hadees: Hazrat Ibn Abbas Radhi allahu anhuma serivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam madina munawwara ke ek baag se tashreef laye to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do insano ki aawaz suni jinhe unki Qabro mein azab diya ja raha tha phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya inhe azab ho raha hai wo bhi kisi bade gunah ki wajah se nahi balki inmein se ek shaks peshab ke cheento se nahi bachta tha aur dusra chugal khor tha, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne khajur ki ek hari shaakh mangwayee aur usko do hisso mein tod diya aur ek tukda ek ki Qabr par aur dusra dusre ki Qabr par gaad diya, phir farmaya ki shayad inke azab mein us waqt tak kami kar di jaye jab tak ki ye sukh na jaye. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 6055)                     •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

QURAAN KI PUKAR

💐     (0206)    💐 💌💌💌💌💌 05-J.Awwal-1437 15-February-2016 💌💌💌💌💌 💝  QURAAN  💝 ♦       KI        ♦ 🍄   PUKAR   🍄 💌💌💌💌💌 Quraan me Allah T'aala farmatey hai: Duniya ki zindagi siwaaey kheil kood ke kuchh nahi aur aakhirat ka ghar muttaqiyon (Allah T'aala se darney walon) ke liye behtar he. 🔹🔹🔹🔹🔹 S. AL AN'AAM Aayat-32 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (264)          

🍁Sir me Nakli baal laganey wale🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Sir me Nakli baal laganey wale🍁 📚Hadees: Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallamne farmaya sir ke kudrati balon mein nakli baal laganey waliyon par aur lagwaney waliyon par aur godney wali (tattoo laganey) par aur gudwaney waliyon (tattoo lagwaney) par Allah ne laanat bheji hai. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5933) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

🍁Ghar me tasweer ya Kutta🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Ghar me tasweer ya Kutta🍁 📚Hadees: Saalem ne apne walid se rivayat kiya ki Ek baar Jibril Alaihi salam ne Rasoollallah Sallallahu AlaihiWasallam ke wahan aane ka wada kiya lekin aane mein der huyee aur Aap Sallallahu Alaihi wasallam pareshaan huye, phir aap Sallallahu Alaihi wasallam bahar nikle to Jibril Alaihi salam se mulaqat huyee, Aap Sallallahu Alaihi wasallamne unse shikayat ki to unhone kaha ki hum (farishtey) kisi aise ghar mein nahi jaate jahan tasweer ya Kutta (dog) ho. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5960) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

ALLAH KI QUDRAT

💐     (0205)    💐 💌💌💌💌💌 04-J.Awwal-1437 14-February-2016 💌💌💌💌💌     ALLAH    🌅       KI        🌅 🌻  QUDRAT  🌻 💌💌💌💌💌 Aankhon ki hifaazat ke liye Allah T'aala ne palkon (પલકો) ki shakl me behtarin do naazuk pardey banaey, Aankhon ki hifaazat ke alaawah ye palkein chehrey ke husn w zeenat me izafa karti he, isee liye iskey baalon ko eik andazey par rakha he, Na ziyadah bada ke aankhon ko taklif ho aur na ziyadah chhota ke aankhon ke liye nuqsaan'deh ho, Phir Allah T'aala ne aansuon (આંસુઓ) ko namkeen banaya taaki aankhon ka meil kucheil saaf ho jaey, palkon ke dono kinaaro ko jhuka huwa banaya, taaki aansuon ke zariye meil kucheil aankhon ke kinaaro se beh kar baahar ja sakey, Phir uusmey harkat ki qudrat rakhi ke koee bhi maamuli chiz ya gardo gubaar aankh ki taraf aati he, toa aankhon ko khatrey se aagaah kar ke puri hifaazat karti he, Goya aankhon ki hifaazat ke liye iss par do behtarin pardey laga diye ho, Jo zarurat ke waqt khul

🌟KISI'SE ISHQ🌟

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔   🍁 Hazrat Muhammad Sallallahu                                ALAYHI Wasallam..      Ne Farmaya...,                 🌟KISI'SE ISHQ🌟 🔶Meine Do Mohabbat Krne Walon Ke Darmiyan Nikah Se Behtar Koi Cheez Nahi Dekhi...                    (Sunne - Kubraa)                           (Faidah) 🔷Kisi Se Ishq - Mohabbat Ho Jaye Toh Uska Behtar ilaaj Nikaah hai, 🔷Nikaah Se Aur Mohabbat Badh Jayegi, 🔶Lihaza Valentine's Day Manane Walon Se Darkhast hai Ke Zina Se Bache Aur Apne Sathi Se Nikaah Ki Koshish Kare,...              •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

🍁Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai aur use manaane se ALLAH ta’ala naaraaz hota hai.🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🍁Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai aur use manaane se ALLAH ta’ala naaraaz hota hai.🍁 ♥Al Qur’an : ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﺍﺩْﺧُﻠُﻮﺍ ﻓِﻲ ﺍﻟﺴِّﻠْﻢِ ﻛَﺎﻓَّﺔً ﻭَﻟَﺎ ﺗَﺘَّﺒِﻌُﻮﺍ ﺧُﻄُﻮَﺍﺕِ ﺍﻟﺸَّﻴْﻄَﺎﻥِ ۚ ﺇِﻧَّﻪُ ﻟَﻜُﻢْ ﻋَﺪُﻭٌّ ﻣُﺒِﻴﻦٌ Aye eimaan walo, Islaam me pure daakhil ho jaao aur shaitaan ke raasto par na chalo, Beshak wo tumhara khula dushman hai. - 📖 {2 Surah al-Baqarah, Aayat 208} 📚Hadees: Tum me se koi shakhs us waqt tak kaamil mo’min nahi ho sakta jab tak ke us ki khwaahishat us deen ke taabe’ na ho jaaye jise main lekar aaya hu. - 📔 (Bukhari) 📚Hadees: Jo aadmi jis qaum ki naqal karega (mushabihat ikhtiyaar karega) us ka hashr usi qaum ke saath hoga. - 📔 (Abu Daawud, Hadees -4031) 📚Hadees: Aqlmand wo shakhs hai jo apne nafs ko ALLAH ke taabe’ kare aur maut ke baad ke liye amal kare aur bewakoof wo shakhs hai jo apne nafs ko apni khwaahish ke taabe’ kare aur ALLAH par ummid rakhe. - 📔 (Ib

🔞Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai🔞

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔  🔞Valentine’s day manaana Ghair Islaami hai🔞 🚷Ghair-muslim ke tehwaar sahi maankar ya ta’azeem ke iraade se manaana ya un ke tareeqe apnaana kufr hai🚷 ♨Kai baar shaitaan Musalmano ko nafs ke zariye behkata hai aur hume lagta hai ke Ghair-muslimo ke tehwaar aur tareeqa achha hai. ♨ Aaj ke daur me gairo ke saath musalman ladke aur ladkiya bhi Valentine’s day manaate hain aur wish karte hain, Haath milaate hain aur Gale milte hain aur Rose, Chocolate, Card aur Gift dete hain. Ye sab behayaai ke kaam hain aur gunaah e kabirah hai. Aur Gift wagairah dene me maal zaaya karna hai aur Fuzul kharchi bhi gunaah hai. ♨Aur kisi ko shehwat (lust) se dekhna ya chhuna ya is ke baare me baat karna ye sab behayaai aur bad-nigaahi aur shehwat ka gunaah hai. Aur kuchh log to Jima’a (sohbat) bhi karte hain. Kisi se bagair nikaah ke sohbat karna ‘Zina’ hai aur gunaah e kabeerah hai. ♨ Ab hame ye tay karna hai ke hume Islaami tareeqa apnana h

RAHMAT E ILAAHI

💐     (0204)    💐 💌💌💌💌💌 03-J.Awwal-1437 13-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻  RAHMAT  🌻 🌅        E        🌅 💝   ILAAHI    💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Allah T'aala Qayamat ke din uun farishton ko jo Dozakh par muqarrar hongey hukm dengey ke jisney mujhey kabhi yaad kiya ya kisi mouqey par jo bandah mujh se daraa, usko Dozakh se nikaal diya jaey. 🔹🔹🔹🔹🔹 TIRMIZI -2594  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (362)

🍁Bewaon aur Miskeenon ke kaam aaney wala🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁Bewaon aur Miskeenon ke kaam aaney wala🍁 📚Hadees: Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala Allah ke raastey mein Jihad karney waley ke barabar hai  ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza  rakhney waley ke barabar hai. - 📔 (Sahih Bukhari, 5353) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁

Velentine's Day Keya Hai,,Q Hai,,Sochne ki Baat,,‪

▶‪ 5mint waqt zaroor dey Bhaio, Baheno, Dosto ←★→ Velentine's Day Keya Hai,,Q Hai,,Sochne ki Baat,,‪ Quran_o_Sunnah‬ka iss par keya Ahtajaaz ??? ←★→ Valentine's Day keya hai ▶ Darasal aaj se lagbhag 1700 saal pahle ek‪ ‎Rom‬k Badshah ne‪ Cladus‬ne Ek Padri‪ St_Valentine‬ko Fasi di the.Wo Padri Ek lardki se Mohabat karta tha, Uss ne Iss din uss ko Greeting Card dey kar apne Awaragi ka Izhar kiya...Aaj k din Yahoodi ki Bari-Bari Company Chocolates,Greeting Card,Love Tips k zarya Bare Paimane par Paisa kamati hai. ←★→ Valentine Day Q Hai ▶ Nasrani aur Yahoodi saal main Kai tarah se yasi kaamo k zarya khoob Aamdani Humse kamate hai Aur Inn Doulat se Almi Duniya ko tabah o Barbaad karte hai aur Hum bhi Innka khoob saath deyte hai,,,,, Kahi na Kahi‪ ‎Ham ne bhi khoob tabah kiya hai "ISLAM" Bhaley Hamne ye Galti jaane Ya Anjaane main ki ho... "Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Uss Inshan ko Devaes karar diya jisne apni Ahle Khana ki Behurmati par Gai

NASHIHAT E RASUL

💐     (0203)    💐 💌💌💌💌💌 02-J.Awwal-1437 12-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻  NASIHAT 🌻 🌅        E        🌅 💝    RASUL   💝 (Sallallahu alaihi w sallam) 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam eik martaba eik jangal me apney mozey pahen rahey the, Pehla mozah pahenney ke baad jab Aap ne dusra mozah pahenney ka iradah farmaya toa eik kawwa jhpta aur mozah utha kar uud gaya, aur kaafi upar le jakar usey chhod diya, Mozah jab uunchaai se nichey gira toa girney ki chot se uus me se eik saanp dur ja pada, Ye deikh kar Aap sallallahu alaihi w sallam ne Allah ka shukr adaa kiya aur farmaya: Har musalman ke liye zaruri he ke jab mozah pahenney ka iradah karey toa usko jhaad liya karey. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI safah-29-30  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (BM 5/57)             

🍁 Allah ki bandagi karo 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔   🍁 Allah ki bandagi karo 🍁 ♥Al Quran : Allah ki bandagi karo aur kisi ko iska sharik na karo aur Maa baap ke saath neki karo aur rishtedaro aur yateemo aur miskeeno aur qareebi humsayo aur ajnabi humsayo aur paas baithne walo aur musafiro aur ghulamo ke saath bhi neki karo, beshak Allah itrane wale aur fakhr (ghamand) karne walo ko pasand nahi karta. - 📖 {Surah An-Nisa (4), Verse 36} •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

ALLAH KI HIFAAJAT ME

💐     (0202)    💐 💌💌💌💌💌 01-J.Awwal-1437 11-February-2016 💌💌💌💌💌 💝    ALLAH   💝 🌅        KI       🌅 🌻  HIFAZAT  🌻 🌿      ME       🌿 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jisney kisi musalman ko kapda pehnaya Jabtak uskey badan par uus kapdey ka eik dhaaga bhi baqi rahega, Wo (pehnaaney wala) uus waqt tak Allah T'aala ki hifaazat me rahega. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSTDRK HAKIM  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁 Eesal e Sawab [Part- 10] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 10] 🍁 📚Hadees: Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to wo arz karta hai ye kaise hua irshad hota hai ki tumhare Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab. - 📔 (Sunan Ibn majah, Jild 3, 541-Hasan) 📃 Maut ke baad bhi musalman ko pahuchne wala sawab (Eesal e sawab) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

🍁 Eesal e Sawab [Part- 9] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 9] 🍁 📚Hadees: Abu Hurairah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi (Achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega. - 📔 (Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih) 📃 Maut ke baad bhi musalman ko pahuchne wala sawab (Eesal e sawab) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

QURAAN KI PUKAR

💐     (0200)    💐 💌💌💌💌💌 29-R.Aakhar-1437 09-February-2016 💌💌💌💌💌   QURAAN          KI        🍄    PUKAR  🍄 💌💌💌💌💌 Quraan me Allah T'aala farmatey hai: Aey imanwalon ! Tumhari baaz biwiyan aur baaz aulaad tumharey haq me dushman hai Toa tum unsey hoshiyar raho. 🔹🔹🔹🔹🔹 S. TAGABUN-14 💝💝💝💝💝 FAIDAH: Biwi bachchey baaz martaba duniyawi nafaa ke liye khilaaf e shari'at kaamo ka hukm detein hai, inn hi logon ko Allah T'aala ne deen ka dushman bataya he aur inkey hukm ko bajaa laaney se bachney ki hidayat dee he.  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 

🍁 Eesal e Sawab [Part- 8] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 8] 🍁 📚Hadees: Umma Aayesha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki ek shakhsh ne Rasool-Allah sallallahu alaihiwasallam se pucha ki Meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhein baat karney ka moka milta to wo kuch na kuch khairat karti, agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhein iska sawab milega ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , Haan milega. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 2, 1388) 📃 Maut ke baad bhi musalman ko pahuchne wala sawab (Eesal e sawab) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

DUNIYA KI IMAARAT

💐     (0199)    💐 💌💌💌💌💌 28-R.Aakhar-1437 08-February-2016 💌💌💌💌💌 🔴   DUNIYA  🔴 💢       KI        💢 🔵 IMAARAT  🔵 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam eik martaba eik gumbad waali imaarat ke paas se guzrey toa farmaya : Ye kisney banaya he ? Logo ne bataya ye fulaan shakhs ne banaya he. Toa Aap Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya : Qayamat ke din masjid ke alaawah har imaarat saahab e imaarat ke liye wabaal hogi. 🔹🔹🔹🔹🔹 SHOABUL IMAAN -10303 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾 (394)

🍁 Eesal e Sawab [Part- 7] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 7] 🍁 📚Hadees: Buraidah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Aurat Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huyee aur arz kiya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam meri walida ke zimmey rozey they aur unka inteqal ho gaya kya main unki janib se rozey rakh lu? Farmaya haan. - 📔 (Sunan ibn Majah, Vol 1, 1759-Sahih) 📃 Maut ke baad bhi musalman ko pahuchne wala sawab (Eesal e sawab) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁

ALLAH KI QUDRAT

💐     (0198)    💐 💌💌💌💌💌 27-R.Aakhar-1437 07-February-2016 💌💌💌💌💌     ALLAH           KI         🍄  QUDRAT  🍄 💌💌💌💌💌 Allah T'aala ne hamein be'shumar neamaton se nawaaza he, uun neamaton me eik neamat aankh he ye neamat jahaa bahot qimtee he Waheen badi naazuk bhi he Allah T'aala ne iski hifaazat ka kitna behtarin intezaam farmaya ke agar aankh ki taraf koee chhoti chiz bhi aaey toa Allah ne aisi palko ko banaya jo fowran band ho jati he, Aur agar koee bhaari chiz aankh ki taraf aaey toa aankh ke chaaro taraf uubhri huee mazbut haddi banaa dee, jo aankhon ki hifaazat karti he. Be'shaq Allah badey qudrat waley hai. 🔹🔹🔹🔹🔹 ALLAHU AKBAR KABIRAH  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (595)

🍁 Eesal e Sawab [Part- 6] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 6] 🍁 📚Hadees: Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sakey, kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap Sal-AllahuAlaihi Wasallam ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karney ka haq zyada hai. - 📔 (Sunan Nasaii, Vol 2, 550 -Sahih) 📃 Maut ke baad bhi musalman ko pahuchne wala sawab (Eesal e sawab) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

IKRAAM E MUSLIM

💐     (0197)    💐 💌💌💌💌💌 26-R.Aakhar-1437 06-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻   IKRAAM  🌻 🌷        E        🌷 💝   MUSLIM  💝 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Musalman jab apney musalman bhai se milta he uska hath pakadta he, yani musafah karta he, toa donon ke gunah aisey gir jatey hai jaisey teiz hawa chalney ke din sukhey darakht ke pattey girtey hai, aur uun dono ke gunah uusi waqt muaaf kar diye jatey hai, Agarchey unkey gunah samandr ke jhaag ke baraabar ho. 🔹🔹🔹🔹🔹 TABRANI - MAJMAUAZ ZAWAEED  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (651)

JANNAT KA BAZAR

💐     (0196)    💐 💌💌💌💌💌 25-R.Aakhar-1437 05-February-2016 💌💌💌💌💌 💝  JANNAT   💝 🌷      KA        🌷 🌻   BAZAR    🌻 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Jannat me eik bazar he, Jis me kharid w farokht nahi he, iss me sirf mard aur aurton ki suratein he, innko deikh kar jab aadmi kisi shakl ki tamanna karega (ke mai bhi iss jaisa hota) toa uski shakl waisi hi ho jaeygi. 🔹🔹🔹🔹🔹 TIRMIZI -2550  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (694)

🍁 Eesal e Sawab [Part- 4] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 4] 🍁 📚Hadees: Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ?Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN. - 📔 (Sahih Muslim, Vol 3, 2326) 📃 Maut ke baad bhi musalman ko pahuchne wala sawab (Eesal e sawab) •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁

MO'AJIZA E RASUL

💐     (0195)    💐 💌💌💌💌💌 24-R.Aakhar-1437 04-February-2016 💌💌💌💌💌 🍄 MO'AJIZA 🍄 ♦        E        ♦ 💝   RASUL    💝 (Sallallahu alaihi w sallam) 💌💌💌💌💌 Hazrat Abu Zar (rd.) farmatey hai ke eik martaba ham Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ke saath beithey huey the, Aap sallallahu alaihi w sallam ke haath me chand kankariyan thi, achanak uun se tasbeeh ki aawaz aaney lagi jisko saari majlis sun rahi thi, Phir Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne wo kankariyan baari baari Hazrat Abu Bakr (Rd.) phir Hazrat Umar (Rd.) aur phir Hazrat Usman (Rd.) ke haath me dee toa unkey haathon me bhi tasbeeh padhti rahi, Lekin jab unkey alawah logon ko dee toa kankariyon ne tasbeeh padhna band kar diya. 🔹🔹🔹🔹🔹 Dalaeel alnubuwwah, Safhani-327 💝💝💝💝💝 DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (349)

🍁 Eesal e Sawab [Part- 3] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 3] 🍁 📚Hadees: Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai (yani jab tak koi isme se khayega sadqe ka sawab milta rahega) - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 7, 6012) PLZ FORWARD TO OTHER MUSLIMS •─━━━━━══════━━━━━─• https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

AMAL KI BARKAT

💐     (0194)    💐 💌💌💌💌💌 23-R.Aakhar-1437 03-February-2016 💌💌💌💌💌 🌻     AMAL    🌻 🍄       KI        🍄 🌿   BARKAT  🌿 💌💌💌💌💌 Rasulullah sallallahu alaihi w sallam ne irshaad farmaya: Pehli qoumo me se eik aadmi ka hisaab liya gaya toa (uskey nama e aamal me) koee neiki na thi, Haan, magar wo maaldar tha, aur logon se kharid w farokht karta tha, aur apney bachchon ko kehta tha ke faqeer w tangdast se darguzar karna, Allah T'aala ne farmaya : Mai iss aadmi se ziyadah haqdar hun, (ke isey darguzar karun, phir farishton se farmaya) isey muaaf kardo. 🔹🔹🔹🔹🔹 MUSLIM -3997  DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH  (432)

🍁 Eesal e Sawab [Part- 2] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e Sawab [Part- 2] 🍁 📚Hadees: Sad bin 'Ubada Radhi allahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai. - 📔 (Sahih Bukhari, Vol 4, 2756) PLZ FORWARD TO OTHER MUSLIMS •─━━━━━══════━━━━━─• https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁

KUTTEY KI 10 SIRAAT

💐     (0193)    💐 💌💌💌💌💌 22-R.Aakhar-1437 02-February-2016 💌💌💌💌💌 💢   KUTTEY  💢 🍄     KI 10     🍄 🌻   SIFAAT   🌻 💌💌💌💌💌 Hz.Hasan Basri rh. Farmaya kartey the ke Kuttey ke andar 10 sifaat aisee he ke agar inmey se eik sifat bhi insaan ke andar paida ho jaey toa wo vali (વલી) ban jaey. ♦1♦ Kuttey ke andar Qana'at hoti he, jo mil jaey usee par raazi ho jaata he, ye Qaaney'in ya Saaberin ki nishani he. ♦2 Kutta aksar bhukha rehta he, ye saalehin ki nishani he. ♦3 Koee dusra kutta uus par zor ki wajah se ghaalib aa jaey toa ye apni jagah chhod kar dusri jagah chala jaata he, ye Raaziein (har haal me raazi rehney waley) ki alaamat he. ♦4 Uska maalik Usey maarey bhi sahi toa ye apney maalik ko chhod kar nahi jaata, ye Saadiqin (wafadaro) ki alaamat he. ♦5 Agr uska maalik beitha khaana khaa raha ho toa ye bawajud taaqat aur Quwwat ke uus se khaana nahi chhinta, dur se hi beith kar deikhta rehta he, Ye Masaakin ki alaamat he. ♦6 Jab m

🍁 Eesal e sawab [Part- 1] 🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦ ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ 🍁 Eesal e sawab [Part- 1] 🍁 📚Hadees: Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab koi insan mar jata hai to uska amal moquf ho jata hai (ruk jata hai) magar ten cheezon ka sawab jari rahta hai ek sadqa e jariya ka, dusra wo ilm jis se log fayda uthaye, teesra neik bachche ka jo uske liye dua kare. - 📔 (Sahih Muslim, Vol 4, 4223) PLZ FORWARD TO OTHER MUSLIMS •─━━━━━══════━━━━━─• https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group •─━━━━━══════━━━━━─•                          ❁ ❁ ❁