๐Jannat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka saath๐
✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🍁Jannat mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka saath🍁
📚Hadees: Rabi bin Kab al-Aslami Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke saath raha karta tha aur main Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke wudhu aur jaruriyat ke liye pani laata tha, ek baar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhse maang kya maangta hai, Maine kaha ki jannat mein Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka saath maangta hu Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya iskey alawa aur kuch mainey kaha mujhe bas yahi chahiye, phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya apney liye zyada se zyada sajde karke (yani zyada Namaz paddkar) meri madad kar.
- 📔 (Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1307 - Sahih)
•─━━━━━══════━━━━━─•
❁ ❁ ❁
Comments
Post a Comment