🍁Ek Gunaahgar aur Ek Ibadatguzar bandey ka ibratnaak Anjaam🍁

✦✦ Bismillahirrahmanirrahim ✦✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
🍁Ek Gunaahgar aur Ek Ibadatguzar bandey ka ibratnaak Anjaam🍁

📚Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bani israil mein do shaksh they in mein se ek to Gunaahgar tha aur dusra Ibadat mein koshish karney wala tha, Ibadat ki koshish karney wala hamesha dusrey shaksh ko gunah karta hua hi dekhta tha aur us sey kahta tha ki in gunaaho se ruk ja. Ek roz usney (ibadat guzar ne) usey koi gunaah kartey huye paya  to us sey kaha ki is sey ruk ja to gunaahgar ne kaha ki mujhe mere RAB ke saath chorh de, kya tu mujh par Nigahban bana kar bheja gaya hai? usney kaha ki Allah ki kasam Allah subhanahu teri maghfirat nahi karengey ya kaha ki Allah subhanahu tujhe jannat mein dakhil nahi karengey phir un dono ki rooh Qabz kar le gayee to dono ki roohain Rabbul Aalameen ke samney jama huyee to Allah subhanahu ne Aabid (ibadatguzar) se farmaya ki kya tu us cheez par Qadir hai jo mere qabzey kudrat mein hai, aur gunaahgar se farmaya ki ja jannat mein dakhil ho ja meri rahmat ke badaulat aur dusrey se farmaya ki usey jahannam ki taraf le jao, Abu Hurairah Radi allahu anhu farmatey hai ki Qasam hai us zaat ki us Aabid (ibadatguzar) ne aisa kalma kah diya jisney uski duniya aur aakhirat dono tabah kar di.

- 📔 Urdu Ref: (Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469)
- 📔 Eng Ref: (Sunan Abu Dawud, Book 41, 4883)
●════════════════════●
   👥  Plz Share to others also 👥
●════════════════════●
                         ❁ ❁ ❁

Comments

Popular posts from this blog

QAYAMAT KA DIN

UMMAT KA FITNA

▔▔▔▔ 🍁Jhooti Hadees bejhne ka Anjam🍁