Posts

Showing posts from November, 2017

30-11-2017​

​ Achchha sawaal aadha ilm hai. (Shoabul Imaan: 6568)

29-11-2017​

​ Nek logon se muhabbat karna aadhi aqalmandi hai. (Shoabul Imaan: 6568)

​28-11-2017​

Rozaana jab Allah ke bande subah ko uthhte hain, to 2 farishte aasmaan se utarte hain; un mein se ek kehta hai: Aye Allah! (Achchhe kaamon mein) kharch karne waale ko aur maal ata farma, doosra kehta hai: Aye Allah! Maal ko rok kar rakhne waale ka maal barbaad farma. (Bukhaari: 1442)

Jis Ko Allah Ta’ala Se Milna Pasand Ho, To Allah Ta’ala Ko Bhi Us Se Milna Pasand Hota Hai,

حضرت عبادہ بن صامت رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا: *’’ جس کو اللہ تعالیٰ سے ملنا پسند ہو، تو اللہ تعالیٰ کو بھی اس سے ملنا پسند ہوتا ہے،* *اور جس کو اللہ تعالیٰ کی ملاقات ناگوار ہو ، اللہ رب العزت کو بھی اس سے ملنا ناگوار ہوتا ہے۔‘‘*(بخاری:۶۵۰۷) Hazrat Ubaadah Bin Saamit رضی اللہ عنہ Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Irshaad Farmaaya: *“ Jis Ko Allah Ta’ala Se Milna Pasand Ho, To Allah Ta’ala Ko Bhi Us Se Milna Pasand Hota Hai, * *Aur Jis Ko Allah Ta’ala Ki Mulaaqaat Naa Gawaar Ho,  Allah Rabb-ul-Izzat Ko Bhi Us Se Milna Naa Gawaar Hota Hai.”* 📓 [BUKHARI: 6507]

​27-11-2017​

Allah Ta'ala farmaate hain: Jab main duniya waalon mein se apne kisi momin bande ka koi azeez le leta hoon aur woh sabr karta hai, to us ke liye siwaaye Jannat ke mere pass koi ajr nahin hai. (Bukhaari: 6424)

26-11-2017​

​ Tum gawaahi ko mat chhupaao aur jo shakhs gawaahi ko chhupaaye, bila shubah us ka dil gunehgaar hoga aur jo amal bhi tum karte ho Allah Ta'ala use khoob jaanta hai. (Sura-e-Baqarah: 283)

25-11-2017​

​ Tum mein bad tareen shakhs woh hai jis se log bhalaai ki ummeed na karein aur us ke shar se mehfooz na hon. (Tirmizi: 2263)

24-11-2017​

​ Rasoolullah (s.a.w) ne sone chaandi ke bartan mein khaane peene se mana farmaaya. (Bukhaari: 5837)

23-11-2017​

​ Jab aadmi hamesha sach bolta hai aur sach bolna us ki aadat ban jaati hai to Allah ke nazdeek Siddique (sachcha) likh diya jaata hai. (Muslim: 6805)

22-11-2017​

​ Qayaamat us waqt aayegi, jab log oonchi oonchi imaaratein banaane mein aapas mein fakhr karne lagenge. (Musnade Ahmad: 10858)

​21-11-2017​

Jab koi baat kaho to insaaf se kaam lo, chaahe muaamla apne qareebi rishtedaar hi ka ho. (Surah-e-An'aam: 152)

​20-11-2017​

Jo shakhs shohrat ke liye koi kaam karega, to Allah Ta'ala us ke (aib ko) mash'hoor kar dega. (Bukhaari: 7152)

19-11-2017​

​ Beshak gussa shaitaan ki taraf se hota hai, shaitaan aag se paida kiya gaya hai aur aag ko paani se bujhaaya jaata hai, lihaaza jab tum mein se kisi ko gussa aaye to us ko wuzu kar lena chaahiye. (Abu Daaood: 4784)

18-11-2017​

​ Tum log qaidiyon ko chhudaao, bhookon ko khaana khilaao aur beemaaron ki iyaadat karo. (Bukhaari: 3046)

​17-11-2017​

Jab koi aurat khushbu laga kar majlis (logon ke paas) se guzarti hai to woh aisi waisi hai yaani zaaniya hai. (Tirmizi: 2786)

16-11-2017​

​Be hayaai ke kaamon ke qareeb bhi na jaao, chaahe woh be hayaai khuli huwi ho ya chhupi huwi ho. (Sura-e-Anaam: 151)

Mu’avvizataina” Se Bimaari Ka Ilaaj

*’’مُعَوِّذَتَیْنْ‘‘سےبیماری کا علاج* حضرت عائشہ رضی اللہ عنھا فرماتی ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ سلم جب بیمار ہوتے ،تو *’’مُعَوِّذَتَیْنْ‘‘ یعنی (قُلْ أَعُوْذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ) اور (قُلْ أَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِ)* پڑھ کراپنے اوپر دَم کر لیا کرتے تھے۔‘‘ (مسلم:۲۱۹۲،عن عائشہ رضی اللہ عنھا) *“Mu’avvizataina” Se Bimaari Ka Ilaaj * Hazrat Aayesha رضی اللہ عنھا  Farmaati Hain Keh Rasoolullaah صلی اللہ علیہ سلم Jab Bimaar Hote, To *“Mu’avvizatain” Yaani (قُلْ أَعُوْذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ) Aur (قُلْ أَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِ)* Padh Kar Apne Upar Dam Kar Liya Karte The.” 📓 [MUSLIM: 2192. An. Aayesha رضی اللہ عنھا]

15-11-2017​

​ Zulm se bacho! Is liye ke zulm qayaamat ke din andhera hoga. (Muslim: 6741)

14-11-2017​

​ Kanjoosi se bacho! Is liye ke kanjoosi ne un logon ko halaak kar diya hai jo tum se pehle the, bukhl hi ne un ko logon ka khoon bahaane aur haraam ko halaal karne par ubhaara tha. (Muslim: 6741)

MAS’ALAH

*مسئلہ* *وضو کرتے ہوئے درمیان میں اگر کوئی وضو توڑنے والی چیز واقع ہو جائے، مثلا ً ہوا خارج ہو جائے تو پھر نئے سرے سے وضو کرے۔* (مراقی الفلاح:۱۲۱ مستفاد از فتاوی محمودیہ:ج۵۔ص۶۰) * MAS’ALAH * *Wuzu Karte Huye Darmiyaan Me Agar Koi Wuzu Todne Wali Cheez Waaqey Ho Jaaye, Masalan Hawa Khaarij Ho Jaaye To Phir Naye Sire Se Wuzu Kare.* 📓 [Maraaqiyul-Falaah:121 Mus’tafaad Az Fatawa Mahmoodiyah:J.5-S.60]

Qur’aan Me Allah Ta’aala Farmaata Hai

*قرآن میں اللہ تعالٰی فرماتا ہے:* *’’ جن لوگوں نے مؤمن مردوں اور مؤمن عورتوں کو ظلم کا نشانہ بنایا ہے، پھر توبہ نہیں کی ہے ، اُن کے لیے جہنم کا عذاب ہے، اور اُن کو آگ میں جلنے کی سزا دی جائے گی۔‘‘* (سورۂ بروج:۱۰) *Qur’aan Me Allah Ta’aala Farmaata Hai :* *“ Jin Logon Ne Momin Mardon Aur Momin Aurton Ko Zulm Ka Nishaanah Banaaya Hai, Phir Taobah Nahin Ki Hai, Un Ke Liye Jahannam Ka Azaab Hai, Aur Un Ko Aag Me Jalne Ki Saza Di Jaayegi.”* 📓 [Sura-e-Burooj-10]

13-11-2017​

​ Tum apne bhai ki museebat par khush mat huwa karo, is liye ke ho sak ta hai ke Allah Ta'ala us ki museebat khatm kar de aur tum ko us museebat mein mubtala kar de. (Tirmizi: 2506)

Yateem Ka Ikraam

🕌🕌🕌        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *Bismillahirrahmanirrahim*        ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄          *✦​ Yateem Ka Ikraam ✦​* ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁ *📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jab koi shakhs sirf Allah ki khushnudi ke liye yateem ke sar par hath pheirta hai, To Allah Ta'ala har baal ke badley me neikiyaan ataa farmatey hai, Aur jo yateem ke sath achchha bartaa'o karega mai aur wo jannat me do ungliyon ki tarah hongey, Rasoolullah ﷺ ne shahaadat aur bich ki ungliyon ko pheila kar bataya. - 📗 [Musnad e Ahmad: 21649]   *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

12-11-2017​

​ Gareeb ko sadqa dena buri maut se bachaata hai. (Shoabul Imaan: 3463)

11-11-2017​

​ Gareebi ki wajah se apne bachchon ko qatl na karo, ham tumhein bhi rizq denge aur un ko bhi. (Sura-e-Anaam: 15)

10-11-2017​

Raham karne waalon par Allah Ta'ala raham karta hai, tum zameen waalon par raham karo aasmaan waala (Allah) tum par raham karega. (Abu Daaood: 4941)

09-11-2017​

​ Tum mein se kisi ke sar mein lohe ki keel thhonk diya jaana is se behtar hai ke woh kisi (ajnabi) aurat ko chhue jo us ke liye halaal nahin hai. (Tabraani Kabeer: 486)

​08-11-2017​

Jo koi apne gusse ko rokega, Allah Ta'ala qayaamat ke din us se apne azaab ko rokega. (Shoabul Imaan: 8311)

07-11-2017​

​ Jis musalmaan ki 2 betiyaan hon aur woh un ke saath achchha bartaao karr jab tak woh donon us ke pass rahein, to yeh betiyaan us ko Jannat mein daakhil karaaengi. (Ibne Maaja: 3670)

​06-11-2017​

Jab tumhein koi shakhs salaam kare to tum us se bhi behtar tareeqe par salaam karo (jawaab do) ya (kam az kam) un hi alfaaza mein us ka jawaab de do. (Sura-e-Nisa: 86)

​05-11-2017​

Rasoolullah (s.a.w.) ne (ek martaba ek sahaabi ko) apni zabaane mubaarak pakad kar farmaaya ke mujhe sab se ziyaada khatra is (zabaan) se hai. (Tirmizi: 2410)

04-11-2017​

​ Jis ne dhaardaar cheez se khudkushi ki hogi, to us ke haath mein woh cheez hogi aur woh Jahannam mein hamesha hamesh use apne pet mein ghonpta rahega. (Bukhaari: 5778)

03-11-2017​

​ Waalidain ki naafarmaani ke alaawa jis gunnah ki sazaa ko Allah chaahe to qayaamat ke din tak moakhkhar kar deta hai, magar waalidain ki naafarmaani ki saza maut se pehle duniya hi mein chakha deta hai. (Mustadrak: 7263)

02-11-2017​

​ Jis shakhs ki maut is haal mein aaye ke us mein 3 cheezein: 1) Takkabbur 2) Khayaanat 3) aur Qarz na ho, to woh Jannat mein daakhil hoga. (Tirmizi: 1572)