ROSHNI KI MINAR

💌💌💌💌💌
💥   ROSHNI  💥
💢       KE       💢
🍄    MINAR   🍄
💌💌💌💌💌

Eik martaba do miya biwi aapas me tanhai ke lamhaat me the,
khawind baat karna chahta tha,
magar biwi kuchh naraz si thi,
Hatta ke khawind ne ghussey me keh diya:
Allah ki Qasam !
Jab tak tu nahi boleygi mai terey sath nahi bolunga
jab khawind ne qasam khaee toa biwi ne bhi qasam khaee ke
Allah ki Qasam !
Jab tak tum pehley nahi bologey mai bhi tumharey sath  nahi bolungi.
Ab shohar bhi chup aur biwi bhi chup
Raat toa guzar gayee,
subah ko dono ke dimag thandey huey toa apni ghalti ka ehsaas huwa
sochney lagey ke koee toa hal hona chahiye.
Chunanchey Sufiyan Sowri (rh.) ke paas gaey
uunhey saara waqiaa sunaya
aur uun se puchha ke ab iss ka kya hal he ?
Sufiyan Sowri (rh.) ne farmaya:
Dono me se jo baat karney me pahel karega wo Haanis ban jaeyga
uus dour me jo Haanis ban jata tha uus ki gawaahi qubul nahi ki jati thi
kyun ki wo m'aashrey ke e'atibaar se qaabil nahi rehta tha
Lihaza miya biwi dono ki khwahish thi ke hamaari qasam na tootey
Ab dono pareshaan
Khawind ko khayaal aaya ke imaam Abu Hanifa (rh.) se puchhna chahiye,
Chunanchey Shohar imaam Abu Hanifa (rh.) ke paas pahucha toa Hazrat (rh.) ne puchha :
Kis liye aaey ho? Shohar kehney laga:
Hazrat !
Mai apni biwi ko bula raha tha,
Magar wo jawab me kuchh bolti nahi thi,
aur meri baat maanti bhi na thi
Toa mainey ghussey me uusey keh diya ke Allah ki qasam, jab tak tu mujh se nahi boleygi mai tujh se nahi bolunga
Biwi toa ladney ke liye pehley hi se taiyyar thi
uus ne bhi qasam uuthai ke jab tak tu nahi boleyga mai bhi nahi bolungi,
Ab ham dono pareshaan he ke kya kiya jaey ke ham ne na bolney ki qasam khaee he,
imaam Abu Hanifa (rh.) ne farmaya:
Jaa'o !
tum uus ke sath baat karo,
wo tumhari biwi he.
Aur miya biwi ban kar raho.
Khawind hansta muskurata huwa ghar aaya aur biwi se kehney laga:
Begam !
Kya haal he ?
Tabiyat kaisi he tumhari ?
Biwi ne kaha :
Tum haanis ban gaye kyun ke tum ne apni qasam toud di.
Shohar kehney laga:
Mai toa haanis nahi bana.
Biwi ne kaha:
Wo kaisey ?
Kehney laga:
Mai imaam Abu Hanifa (rh.) se masla puchh kar aaya hun.
uus dour me ilmi zowq bahot ziyadah tha,
Biwi kehney lagi:
Achchha !
Mai bhi abhi ja kar masla puchhti hun,
phir Miya biwi dono pehley Hazrat Sufiyan sowri (rh.) ke paas pahochey aur sab tafseel suna di.
Toa Sufiyan sowri (rh.) keney lagey:
Abu Hanifa (rh.) toa haraam ko halaal karta phir raha he,
chalo mai bhi tumharey sath chalta hun,
uunho ne kaisey ye masla bataya ?
Jab ye sab imaam Abu Hanifa (rh.) ke paas pahochey toa Sufiyan sowri (rh.) ne kaha:
Abu Hanifa (rh.) !
Tumney haraam ko halaal kaisey kar diya ?
imaam Abu Hanifa muskura kar kehney lagey:
Hazrat !
Mainey toa haraam ko halaal nahi kiya,
halaal ko halaal kaha he,
Aap uun se suney toa sahi wo kya keh rahey hai ?
Hazrat Sufiyan sowri (rh.) ne uun se puchha ke wo kya keh rahey hai ?
Hazrat imaam Abu Hanifa (rh.) ne Hazrat Sufiyan sowri (rh.) se kaha :
Hazrat !
Pehley khawind ne biwi se kaha ke jab tak tu nahi boleygi mai tujh se nahi bolunga,
uus ke jawaab me biwi ne bhi qasam khaee,
Aap deikhey toa sahi ke wo (biwi) kis se baat kartey huwey qasam uutha rahi he,
Yaqinan khawind se,
lihaza khawind ki qasam puri ho gaee,
Ab biwi ki qasam baqi thi,
isliye mainey khawind se kaha ke
jaa'o, tum apni biwi se bologey toa uus ki bhi qasam puri ho jaeygi,
Tum dono miya biwi bankar zindagi guzaaro.
Sufiyan sowri (rh.) imaam Abu Hanifa (rh.) ki zahaanat aur masla'fahmi ko deikh kar hairaan ho gaye,
🔹🔹🔹🔹🔹
SUB'HANALLAH
💝💝💝💝💝
DUSRON KO FWD KARNEY KI GUZARISH 🅾♦🅾
(ATW/180)

Comments

Popular posts from this blog

QAYAMAT KA DIN

UMMAT KA FITNA

▔▔▔▔ ๐ŸJhooti Hadees bejhne ka Anjam๐Ÿ